Tabdeeli Magar Kaisey

(Atiq Laghari, Hyderabad)

Aj Kal Media PPP Ki Govt. Ko Tabdeel Karney Ke Darpey Hai, Halat, Corruption, Mehengai, Aqarba Parvry, Supreme Court Ke Sath Mahaz Arai Dekh Kar In Baton Pe Yaqeen Sa Ho Jata Hai, Khas Kar Jab TV Show KAMRNA Khan Dekhta Hoon To Aisa Mehsoos Hota Hai Shayed Aj Raat Hukumat Khatam Ho Jaey Gi. In Halat Mein Aj Maine Bahut Dino Baad Hamariweb Kholi Socha Dekhon Kamran Khan Ke Ilawa Chote Chote Writers Ki Kiya Rai Hay. To Jinab Nadeem Haider Rizvi Saheb Ka Article Nazar Se Guzra, Kuch Cheezon Se Ikhtilaf Sahi Magar Unhon Ne Climac Nihayat Shandar Diya, Ke Koi Aur Bhi Kitne Din Chal Sakey Ga. Ab Dekhna Ye Hai Hukumat Tabdeel Ho Sakti Hay Ya Nahi, Aur Agar Ho Gayee To Wo Kitne Din Chaley Gi. Aj Ham Har Pehloo Per Ghaur Karengey Jo Tareeqa Possible Hay Hukumat Ki Tabdeeli Ka.

No Confidance.

Ziyada Tar Media No Confidance Se Hukumat Ko Hataney Ki Bat Kar Rahi Hay. Agar N-League, MQM, Aur Q-League Akathi Ho Jaen To Aram Se PPP Govt. Ko Giraya Ja Sakta Hay, Lekin Ab Sochna Ye Hay Ke Ye Jamaiten Akathi Ho Sakti Hain Agar Han To Sharait Kon Si Hon Gi Aur Agar Tamam Sharait N-League Man Le To N-League Ke Pas Kiya Bachta Hay. Pehla Jawab Hay N-League Aur MQM Akathi Nahi Ho Sakti Q- K MQM Ko Den Eke Liyey N-League Ke Pass Kuch Nahi Hay. Agar MQM Federal Govt. Ko With Draw Karti Hay To Sind Govt. Se Bhi Alag Hona Pare Ga Aur Governor Ki Seat Bhi Chorni Hogi Aur PPP Ki Provisional Hukumat Khatam Nahi Ho Sakti Q K Un Ke Pass Majority Maujood Hai. Aur Agar MQM Ne Sindh Govt Chori To Hyderabad Aur Karachi Ki Naye Hudood Bandi Jo Iltiwa Mein Hay PPP Hukumat Sirf MQM Ki Waja Se Nahi Kar Rahi. Wo Ho Jaey Gi Is Liye Mera Khayal Hay Ke MQM Ghatey Ka Sauda Nahi Kare Gi. Aur 18th Ammenment Ki Roo Se Tarqiyati Ikhrajat Provinces Ko Jatey Hain, Aur MQM Ke Pending Cases, NRO Zadgan Ke Cases MQM Ko Majboor Kartey Hain Ke Wo PPP Ke Sath Rahey. Isi Tarah ANP Bhi Majboor Na Sahi Lekin Kala Bagh DAM, Ya Khyber Pakhtoonkha Ke Nam Ki Tabdeeli Per N-League K Sath Nahi Chal Sakti. Is Sarey Scenario Mein Q-League Ki Chandi Nazar Aa Rahi Hay. Q-League Hukumat Giraney Ke Liye N-League Se Jo Kam Se Kam Keemat Mangey Gi Wo Punjab Ki Hukumat Hogi, Shayed Mian Saheb Ye Hukumat De Den To Sochna Ye Hay Ke PPP 2 Provinces Mein Hukumat Karey Gi, Jab Ke ANP Aur Q-League  Provinces Mein Hukumat Karen Ge. Ye Zikar Karna Zaroori Hay Ke Defence Aur Berooni Karzon Ki Katoti Ke Bad Jo Budget Banta Hay Us Ka 70% Lag Bhag 1000 Billion Provinces Ko Transfer Hota Hay, Aise Mein N-League Ko Kiya Mile Ga, Sirf PM Ship, Aur 2 Saal Tak Choti Jamaiton Ke Nakhrey Aur Blackmailing, Nawaz Shareef Saheb Mujhey Itney Asan Target Nazar Nahi Aatey.

Mid Term Election

Doosra Tareeqa Hay Mid Term Election Us Ke Liyey Bi Pehle No Confidance Lana Zaroori Hay, Lekin Ye Bi Provinces Pe Lagoo Nahi Hoga, Lekin Agar Ho Gaya To Teen Provinces Nawaz Shareef Ke Against Kaharey Hain, Q K Nawaz Shareef Saheb Last General Election Ke Baad Ek Baar Bhi Sind, Pakhtoonkha Aur Balochistan Nahi Gaye. To Nawaz Shareef Saheb Ko Sirf Punjab Se 147 NA Seats Mein Se Kam Se Kam 130 Seats Jeetna Hongi, Jo Mujhey Nahi Lagta.

Agar Ye Sari Soorat Haal Media Samajh Jaey To Shayed Tabdeeli Ki Bat Karna Band Kar De Ta Ke Is Anarki Ki Soorat Haal Me Mazeed Izafa Nahi Hona Chahiye. Lekin Is Ka Ye Qatai Matlab Nahi Ke Hukumat Jo Kar Rahi Hay Wo Theek Hay. Hukumat Ko Awam Ko Deliver Karna Chahiyey, Supreme Court Ka Ehtram Karna Chahiyey, Crrupt Ministers Ko Hatana Chahiyey.

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 47818 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More