Mein Salman Hun(Episode 7)

(HuKhan, Karachi)

Zindeghi Jis Qadar Usay Dhutkaarty Thee Wo Itna Hee Jeena Chahta Tha Wo Larna Janta Tha Magar Zindeghi Say Aap Reham Ki Bheek Tu Mangh Saktay Hu Magar Usay Ankhein Nahi Dekha Saktay Qunkay Zindeghi Ek Asay Pehalwaan Ki Tra Thee Ju Barsun Say Uss Ko Chit Kiye Ja Rahee Thee ....Iss Qadar Haraa Hun Mein Jeet Kay Mainay(Meaning) Hee Bhool Gia.Wo Asay Insaan Ki Tra Hu Raha Tha Jis Ki Zindeghi Kafi Arsay Say Kici Hospital Kay Emergency Ward Mein Usay Asa Mareez Bana Kar Rakha Tha Ju Oxygen Par Hu Magar Pher Bee Kici Achay Waqt Ki Tra Wo Bee Jeena Chahta Tha Usay Ubh Parwa Nahi Thee Kay Iss Race Mein Wo Konsay Number Par Aye Ga Akhree Ya Pher Finishing Line Uss Kay Naseeb Mein Hi Nahi Asee Train Ki Tra Ju Track Say Baar Baar Utar Jatee Thee Magar Train Nay Ehad(Self Promise) Kar Rakaha Tha Kay Wo Har Musafir Ko Uss Ki Manzil Par Pohanchaye Gee Wo Zindeghi Say Dosty Karna Chahta Tha Aur Uss Kay Liye Wo Zindeghi Kee Har Qabil Qabool Shart Manay Ko Tayaar Tha Aur Uss Kay Palay Koi Bee Shart Nahi Thee Bas Usay Apnay Wajoodh Ko Oxygen Cylender Say Hutwana Tha Bas Wo Apni Sansein Apni Marzee Say Laina Chahta Tha Apni Fazaa Main Khuli Lambhi Phephrun(Lungs) Ki Gahraiee Tak Ki Saans Wo Hath Paon Phela Kar Kici Parinday Ki Tra Kuch Ouncha Urna (Fly) Chahta Tha,,,,,Zindeghi Bas Ek Tu Meri Bee Maan Lay,,,,Hum Tu Har Ek Teree Hee Mantay Ayein Hein.Eray Dekhu Wo Manhoos Nikama Had Haraam Kamray Mein Hay Ya Kahein Dafa Hu Gia,,,Kambakht Na Karaya(Rent) Deta Hay Naa Hee Kamra Chorta Hay Asa Laghta Hay Hum Yateemun Nay Bee Koi Yateem Khana Khul Rakha Hay Pehlay Walay Mian Bv Aur Un Kay 2 Bachay Ghar Ka Satiya Naas Maar Gaye Ubh Ye Naasoor Lagh Gia Hay Jaan Lay Kay Hee Jaye Ga,,,,,,,,,Ajh Iss Ki Asee Khabar Loun Gee Sara Samaan Utha Kay Baher Naa Phaenk Diya Tu Banu Mera Naam Nahi,,,,Salman Ko Asa Lagha Jasay Wo Koi Khabh Dekh Raha Hu Uss Nay Khud Ko Tasalee Dee Han Ye Khabh Hee Hay Abee Wo Iss Khushfehmi Ki Aur Mojh Lainay Hee Wala Tha Kay,,,,,,,Erray Darwaza Khatkhatatee(Knock) Hay Ya Mein Tor Doun Darwaza ,,,,,Amman Khuda Ka Khuf Karo Subah Kay 7 Bajay Hein Allah Allah Karo,,Qun Kici Ghareeb Ki Budua Laini Hay,,,,Acha Mein Tu Koi Rajkumaari Hun Aur Tuu Shahzadi Hay,,,,,,Hay Na,,,,,Ammaa Jaan Ka Para Nechay Anay Ko Hee Tayar Naa Tha Wo Asay Garam Tandoor Ki Tra Hu Rahee Thee Jis Ki Tapish Kosun Dour Se Hee Mehsoos Hunay Laghty Hay Salman Ki Ankh Naak Kaan Sab Kay Sabh Baidaar Hu Chuckay Thay Usay Samajh Nahi Aa Rahee Thee Kay Wo Iss Nai Uftaad Ka Samnay Kasay Karay(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1195871 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.