Husna(epi4)

(Zeena, Lahore)

"Jaiye Namaz Kis Ne Mangwai Thi"Nurse Hath Main Jaiye Namaz Pakre Khari Thi Hunsa Ne Nazrain Utha Ker Dekha Our Jaiye Namaz Utha Ker Prayer Room Ke Taref Barh Gai.Namaz Se Farigh Hone Ke Baad Husna Ne Geeli Ankho Ke Sath Hath Uthaye"Aiy ALLAH Aiy Mere PARWARDIGAR Tu Ghaforo Raheem Hai Mujh Per Mere Maa Per Reham Ferma Our Mere Maa Ko Nai Zindagi Atta Ferma Dain Aiy ALLAH Main Gunahgaar Hon Per Teri Zaat Tou Raheem Hai Reham Kerne Wali Hai Aiy ALLAH Mere Dua Mere Walidah Ke Haq Main Qabool Ferma Ly Aiy ALLAH Jub Mere Baba Ke Zindagi Tu Ne Ly Li..Maine ...Maine Sabr Kia Roty Howe Us Se Bola Nahi Ja Raha Tha.Ab Aa Aab Mere Maa Ki Zindagi Na Ly Lena Roty Howe Husna Ki Hechki Bandh Gai..Aiy ALLAH Tu Jesy Chaye Zindagi Deta Hai Jesy Chaye Mout Deta Hai Sub Kuch Tere Hath Hai Sub Kuch Tere Daste Qudrat Hai Aiy ALLAH Reham Ferma Dain Or Mere Maa Ko Nai Zindagi Ata Ferma Dain"Wo Roty Roty Sajday Main Chali Gai.."Api Aa Aapi Mama Ko Hosh Agea Hai"Sohail Ne Khushi Se Khanakti Hoi Awaz Main Usy Bataya..Sohail Ke Alfaz Sun Ker Husna Ke Pure Wajood Main Jaan Agai Wo Aik Jhatke Se Uth Ker Sohail Ki Taref Surakh Soji Hoi Se Dekhne Lagi "Sohail Kia Tum Such Bol Rahy Ho..Ha Ha Mere Aapi Or Mama Tumy Bula Rahi Hai"Husna Ko Laga Waqai Duayen Qabool Hoti Hai Koi Hai Jo Hamari Sehrag Se Be Kareeb Hai Ji Hamain 70 Maoon Se Bhi Zada Piyar Karta Hai Jo Hamare Aik Ansu Ke Badley Samunder Ke Katro Se Bhi Zada Gunah Baksh Deta Hai Jo Bus Nadamit Ke Aik Ansu Ke Badle Zameen Se Lekar Asmaan Tek Ke Gunah Baksh Deta Hai Husna Ko Apne RAB Per Es Waqet Bohat Piyar Aiya Wo Khushi Se Sajde Main Chali Gai Apne Rub Ko Sajda E Shuker Kerne Kiu Ke Jo Wo Day Sakta Hai Wo Koi Day Nahi Sakta Our Jo Wo Lay Lain Wo Koi Or Day Nahi Sakta Husna Ko Laga Usy Dunia Jahan Ki Khushi Mil Gai Jo Wo Lafzon Main Biyan Nahi Ker Sakti Thi"Api Jaldi Kary Mama Apko Bula Rahi Hai Dr Ne Kaha Hai Husna Kon Hai Usy Jaldi Se Mareeza Ke Pas Bhejain"Husna Ko Aik Bar Phir Sajde Main Jata Dekh Ker Sohail Jalde Se Bola"Chalo"Husna Ne Sohail Ka Hath Pakra Or Icu Ki Taref Barh Gai(Jaree Hai)

Zeena
About the Author: Zeena Read More Articles by Zeena: 92 Articles with 202364 views I Am ZeeNa
https://zeenastories456.blogspot.com
.. View More