Qom-E-Samood

(Hina Ali, karachi)

Tum Se Pehle Bhi Qomon Ne Apne Aap Ko Taqatwar Samjha Lekin Jab ALLAH Ka Azab Aaya To Qomen Aad Hva K Bagolon Men Ur Gai Or Un K Sir Aapas Men Takra Gay, Phir Qome Samood Aayi Hum Paharon Per Rahen Ge Hva Hmara Kuch Nahi Bigar Sake Gi Phir Jab ALLAH Ka Azab Aaya To Aik Farishte Ne Cheekh Mari Or Qome Samood K Kaleje Phat Gay, ALLAH Mohlat Dete Hen Lekin Usko Apni Taqat Mat Samajh Lena, ALLAH Ki Nafarmani Halakat He. Aaj Musalman, Musalman Maa K Pait Se Birth Le Ker Bhi Zana Ker Raha He, Sood Kha Raha He, Peat Peche Burai Kerta He To Dekh Lo, Dekh Lo Firon Ki Halat Dekh Lo, ALLAH Ne Firon Ko Bahar Rakh K (Egypt Men) Tumhare Liay Sabaq Bana Dia. Abhi To Namaz Men Halal Or Haram Khane Wale, Sach Or Jhoot Bolne Wale Aik Saf Men Khare Ho Jate Hen Roz-E-Qyamat Inki Safen Alag Alag Hongi. Jab Tum Sharm-O-Haya Na Karo To Jo Chahe Karo, Tum Gheb Ki Khabren Sunane Wale K Pas Na Jaya Karo, Qbron Ko Sajda Gah Na Banao (Hadiths, Sahi Muslim).

Hina Ali
About the Author: Hina Ali Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.