Bijli Ka Battareen Bhoran Aur 11 May

(Mohsin shaikh, Hyderabad sindh)

Watan-E-Aziz Main Bijli Ke Bhoran Ki Suratain Hal Sangeen Se Sangeen Tar Hoti Ja Rahi Hai Is Battareen Bhoran Ka Agaz Aaj Se 5 Saal Phaly Yani 2008 Main P.P.P Ki Hakomat Qaim Hone Phar Huwa Sub Jante Hai 18 Feb 2008 Main P.P.P P. Baray Zor O Shor Se Roti Kapra Makan Ka Nara Laga Kar Iqtidar Par Qabiz Hui Aur Phir P.P.P Ne Awam Ki Zindagi Ko Urooj Baksha Ya Zawal To Yakinan Jawb Zawal Hoga To Sabiqa Jamoori Hakomat Ne Awam Ko Roti Kapra Makan Dena To Door Ki Bat Roti Kapra Makan Bi Cheen Lia To Bat Bijli K Bhoran K Ho Rahi Tha P.P.P Ke Iqtidar Main Ate Hi Media News Papers Se News Anay Lagi K Mulk Main Bijli Bhoran Shart Faal Itne Hazar Mega Watt Tak Pouch Gaya Kahi K.E.S.C K Raqam Wajbat Na Milna To Kahi Gus Oil Ka Na Milna Gus Oil K Bi Battareen Bhoran Ya Silsela Chalte Chalte Puray 5 Saal Beet Gay Ya Bhoran Katam Hone K Bajae Sangeen Suratain Hal Aqtiyar Kar Gaya Halanky Journel Musharaf Ke Door-E-Hakomat Main Bijli Ka Bhoran Mehangai Bada Mani Nam Ki Koi Cheez Hi Nhi Thi Ab Nigra Hakomat Qaim Hai Aur Bijli K Battareen Bhoran Aur Tawalat Aqtiyar Kar Gaya Yani Time Limit Se Ziyada 24 Hour Main Se 4 Ya 5 Hour Bijli Mil Rahi Hai Awam Ko Aur Awam Dhoray Azab Ka Shekar Hai Bijli Chalay Gi To Sub Chalay Ga Wrna Kuch Bi Nahi Ab Jabkay 11 May Bi Bhot Qareeb Hai Aur 11 May Ko Phir Awam K Apni Qismat Ka Faisla Karna Hai K Inha Ab Tareeqi Main Rehana Hai Phir Se Ya Ujaalay Main Is Time Awam Sakt Azab Kashma Kash Depration Aur Bijli Ke Battareen Bhoran Ka Shekar Hain Aur Ab 11 May Ko Ya Awam Kesa Faisla Karti Hai.

mohsin noor
About the Author: mohsin noor Read More Articles by mohsin noor: 273 Articles with 245079 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.