Election Ka Mozu' Pehli Baar "Karkardgi"

(Ather Ali Wasim, Karachi)

Agar Civil Aur Military Bureaucracy Pakistani Syasat Mn Bil-Wasta Ya Bila-Wasta Baar Baar Mudakhilat Na Kerti To Ye Bohut Pehlay Ho Jana Tha Keh Election Mn Wohi Party Kamyaab Hoti Jo Achhi Karkardgi Dekhati. . . . . . Duaen Dain K Baar Baar Ki Thokrain Khanay K Baad Benazir Bhutto Aur Mian Nawaz Sharif Ne Apni Jila-Watni K Doraan London Mn Baith Ker "Misaaq-E Jamhooriyat" Sign Kia Aur Jis K Nateejay Mn PPP Ki Hakoomat Ne 5 Years Pooray Kye, Aur Iss Martaba On K Paas Koi Excuse (Jawaaz) Na Raha Aur Qoum Main Itna Badnaam Ho Gaye K Aanay Walay Election Mn Apni Kharaab Karkardgi K Ba'is Baray Pemanay Per Rejection Ki Simt Barh Rahay Hain. . . . . . Pehli Martaba Pakistan Ki Civil Society, Electronic Media, Aur Adlia Nay Awaam Ki Aksariyat Ko Ye Sochnay Per Majboor Ker Deya Hay K Ab Vote Ka Faisla Brotheri, Qoumiyat, Firqa Wariyat, Ya Lissaniyat K Bajaye Siyasi Partyon Ki Karkardgi Per Karo. . . . . . Misaaq-E-Jamhuriyat Per Signature Kernay Wali Doosri Jamaat PML-N Bhi Pareshan Hy K Us Nay 5 Saal Mn Punjab Mn Power Mn Honay K Bawajood Wo Karkardgi Nie Dekhai K Jis Say Khud Per Tanqeed Ko Radd Ker Sakti, Wo Local Bodies Ka Nizam Bahaal Na Ker Saki, Rishwat Aur Zulm Se Bharpoor "Thana Culture" Mn Koi Tabdeeli Nie La Saki. . . . . . Logon Ka Shaoor Filhaal Bohat Baray Pemanay Per To Bedaar Nie Hua, Lekin Ghar Ghar TV K News Channels Ne Is Hadd Tak Bedaar Ker Diya Hay K Hakoomat Mn Reh Ker Status-Kou Na Tornay Wali Parties K Bajaye Inqilaab Ka Naara Buland Kernay Wali Parties Ki Acceptance (Qabooliyat) Barh Rie Hay. . . . . . Aglay 15/20 Din Mn 'Guzishta Karkardgi" Ka Jin Sabiq Hukmiran Partion Ko Mazeed Pareeshan Kare Ga.

Ather Ali Wasim
About the Author: Ather Ali Wasim Read More Articles by Ather Ali Wasim: 53 Articles with 56931 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.