Mera Pehla Vote

(Irfan Ul haque, Karachi)

Tarekh E Pakistan Ke Eham Tareen Intekhabat Ki Tayariyan Zor Shor Se Jari Hein..Kahin Party Ticketun Pe Larrai Hei To Kahin Kaghzat Ki Janch Partal Key Amal Per Ungliyan Uthai Ja Rahi Hein. Mulk Ki Tamam Bari Siyasi Jamatun Ne Rawayati Manshor Ka Elan Be Kerdiya Hei. Election Commission K Iqdamat Aur Intakhabi Amal Men Taramem Ne Awam Ki Tawakat Mein Kafi Hud Tak Ezafa Ker Diya Hei. Ek Nojawan Talib-E-Ilm Hune Ki Hesiyat Se Mein Be Is Amal Se Khasa Pur Umeed Hun. Agarcha Koi Bari Tabdeli Huney K Koi Asar Nazar Nahi Arahe Hein. Magar Mere Khayal Mein Jamhori Amal Ka Bager Kisi Rukawat Ke Jari Rehna Hi Apni Zaat Mein Ik Bht Khush Aeein Baat Hei. Mein Tawaka Ker Raha Hun Ki Intekhabat Bager Kisi Rukawat Ke Baker Khobi Anjam Paein Take Pakistan Mein Jamhoriyat Ka Safar Youn Hi Jari O Sari Rahey.

Meri Zindagi K Pehley Vote Ka Sahi Huq Dar Wohi Hei Jis Ka Mazi Aur Hal Mukamal Tor Per Saaf O Shafaf Aur Awam-Un-Nas Ke Samne Ho.Jis Ke Beron E Mulk Khatun Ke Charche Aam Na Hun Aur Jise Awam Ke Dard Ka Mukamal Andaza Ho Aur Wo Assembly Mein Ja Ker Hum Logun Ki Thek Terha Se Terjumani Ker Sake.

Pakistan Ka Kon Sa Masla Sub Se Zayada Hal Talab Hei Ye Ek Mushkil Sawal Hei Kyun Ke Sabka Dorun Ki Galat Policies Ne Pakistan Ko Sahi Mainun Mein Masail Ka Garh Bana Diya Hei .Tawanai Ka Shadeed Buhran , Aman-O-Amaan Ke Sangeen Masail ,Rope Ki Qadar,Kerzun Ka Hajam,Mehngai Ka Be Kabu Jin Wagera Wagera Ye Sub Wo Masail Hein Jo Pakistan Ke Istehkam Mein Rukawat Aur Baqa Ke Liye Khatra Bane Huwe Hein. Ane Wali Jamahori Hukumat K Liye In Sub Masail Se Nematna Ek Bara Challenge Huga.Mere Khayal Mein Ane Wali Hukumat Ko In Sub Masail Per Yaksan Tawaja Deni Chaye Aur Awam Ko Khuwab O Ghaflat Mein Rakhne Ke Bajae Tamam Haqaieq Se In Ko Agha Ker Ke Hakikat Pasand Policies Banana Chaye Jin Sey Hamarey Mulk Pakistan Ko Darpesh Sangeen Masail Ka Khatma Ho Sakey.
& Mana Ke Her So Andheri Chai Hei
Aur Raste Me Hmarey Ghari Khai Hei
Per Ek Subha E Roshan He,Suno Logun
Jis Ne Hame Phir Jene Ki Umeed Dilai Hei

iRFAN UL HAQUE
About the Author: iRFAN UL HAQUE Read More Articles by iRFAN UL HAQUE: 2 Articles with 1369 views someone very special with no attitude.. View More