Dharna Hukumat Ya Jhumooriyat K Khilaf

(Atique Laghari, Hyderabad)

Dharna Hukumat K Khilaf Ya Jhumooriyat K Khilaf

Aj kal har Akhbar aur har News Chanel par sirf Dhrne ki bat ki ja rahi hay, Ye Dharna Wukla Brothery ki taraf se Ailan kiya gaya hay lekin ab tak is dharne ko, Imran Khan, Kazi Hussain Ahmed, Mehmood Khan Achakzai Aur Ab Miyan Nawaz Shareef Saheb ki Mukamal himayat hasil hay. Ye Dharna Ba Zahir to Chaudry Iftikhar (Saked CJ) ki Bahali ke liye diya jar aha hay lekin pas parda is main kuch aur awamil shamil hain. Asal Mein Start mein Ye Tehreek Khalistan Wukla ki taraf se huwee thi aur is mein civil society bhi shamil hoti thi lekin ab ye mukamal taur pe ye ab siyasi ho gayee hay, ab Wukla ke leader ba qaida taur pe siyasi parties se madad ki appeal bhi karte hain. Wukla ko patta tak nahi ke un ki tehreek hi-jack ho chuki hay aur apne azym hasil karne ki koshish ki ja rahi hay. Ye is baat se sabit kiya ja sakta hay ke CJ (Saked) ka Taluk Balochistan se hay lekin Tehreek ka Mehwar Punjab Hay. Miyan Saheb to wo kar rahey hain jo un ko karma chahiye un ko koi sarokar nahi ke CJ restore hota hay ya nahi wo apni Siyasi Dukan ka image barha rahey hain. Miyan Sb ke Past ka zikar agar na kiya jaey to bat samajh mein nahi ayegi, Miyan Saheb Ek Sanatkaar Hain Siyasat mein un ko Asia Ke Model Dectator General Zia ne Introduce karwaya aur 1982 mein un ko Punjab ka Wazeer-e-Khazana Banwaya aur 1985 mein wo Chief minister Punjab Ban Gaey aur Ek Dectator ke saath kam kiya 1988 mein Dobara CM Punjab bane aur 1990 mein Mulk ke Prime Minister bane 1997 mein dobara PM bane aur 1999 mein un ki Hukumat khatam kar di gayee lekin is aakhri daur mein miyan sahib ne kuch aise karname anjam diye jin ka zikar karna zaroori samjhoon ga, sab se pehle unhoon ne 13th ammentment kar di aur kul ke malik huwey, Aitomic dhamake kiye ye do bare positive cheezen thi lekin, un ka Supreme court pe hamla karwana, SIND Govt, ko suspend karna President, se Halat ko kasheeda Karna , Supreme court ke chief justice se bigarna, Army Chief se ikhtilaf waghera waghaira.

Ab agar un ke sarey introduction ke baad un ka Musharaf ke khilaf hona, jab wo khud ek General ke supporter rahey hain, Adliya ke ehtram aur Azadi ki bat karna jab ke wo khud Supreme court pe hamla karwa chukka hain, Punjab Hukumat ke Mandet ki baat karna jab wo khud Sind ki Hukumat ke saath aisa kar chuke hain, Zardari ko agreement ka tana dena jab ke wo khud apne agreement se mukar gaye the Ye sab us ki siyasat ko sabit karne ke liye kafi hay. Lekin hamarey aj ke journalist hazrat jo ek envelop ke liye kuch bhi sabit kar dete hain wo daleel dete hain ke CJ ne pehle PCO pe halaf liya tha baad mein inkar kar diya to pichley paap dhul gaye hain, aur Miyan sahib ne hi ab jo stand liya hay us se un ke pichle paap bhi dhul chuke hain, agar ye paap nahi dhul sakte to sirf Asif Zardari ke nahi dhul saktey kiyoon ke Zardari sahib us party se taluk rakhtey hain jis ko kabhi bhi Establishment ba shamool Media ne kabhi bhi sahi nahi samjha, Mohtarma BB Shaheed ne Democracy ke liye apni jaan de di, Musharaf se wordi utarwai, democracy ke liye apni jaan ka nazrana diya aur Zardari ne bikhri aur bhipri qaum ko samet kar yakja kiya General se is qaum ki jan churai lekin un ke paap nahi dhul saktey aisa hi sochna hay hamari azad media ka.

Hamari media ke bare mein kuch na likhna ziyadti hogi, Bari development huwee hay media mein ek Admi se na insaafi huwee to poora media yak zaban huwa Farah dogar jis ko koi nahi janta tha us ko itna famous kar diya, lekin IRO-2002 jaisa Kala kanoon jo Musharaf ne Labour aur employees ke khilaf lagaya tha, PPP ki Govt ne jab ye bill khatam karwaya to Nawaz League ne us ki mukhalfit ki, aisa kanoon jis se 3 crore mehnat kashoon ko khushi naseeb huwee lekin hamari media ne ek khabar tak nahi di, sone pe suhaga keh len ke 7700 employees ko restore kiya to Maroof TV chanel ne Ek Ghante ka poora program kiya ke ye ghalat huwa hay.

Ab atey hain asal subject pe, ooper diye huwey sari baton se ye andaza lagana mushkil nahi ke PPP ki Govt. ke liyey churiyan tez ki ja rahi hain, asal mein ye Long March aur dharna Hukumat ke khilaf nahi balke Jhumooriyat ke khilaf hay, kiyoon ke Arbab-e-Akhtiyar is waqt koi interception ke mode mein nahi hay aur President apni assembly nahi desolve Karen ge aur yaqeenan halaat itne kharab honge ke wahi purana formula fit aye ga na ham aur na tum, aur koi teesra pir hoga iqtedar mein Zardari hoga Jail mein aur Miyan Saheb honge Jehaaz mein. Aur is qaum ko jo pehle hi mehengai aur bad amni mein ghiri huwee hai ek aur 10 years ek dictator ke bardasht karne honge. Is sab se bachne ke liye dono bari parties ko mil baith kar koi acha solution nikalna chahiye jo dono ke liye qabil-e-qabool ho. Isi tareeqe se is qaum ko aane wali museebat se door rakha ja sakta hay.

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 47796 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More