Saffar Shumaal Kay(Episode 91)

(hukhan, karachi)

Agh Apna Asar Dekha Rahee Thee Faisalabad Sey Aye Scouts Ka Ek Group Bee Aan Poncha Tha Magar Rent Ki Baho Tao Ki Waja Say Wo Mehboob Kay Hath Nahi Char Raha Tha Hum Nay Mehboob Ko Ankh Maari Or Baho Tao Mein Kuch Scouts Ko Oper Laye Kuch Mehboob Ko Neechay Laye Or Wo 22 Scouts Humaray Sath Hee Thar Gaye Kuch Ko Room Mil Gaye Ya Yun Keh Lein Wooden Hut Mil Gaye Baqi Tent Ki Nazar Hu Gaye Agh Say Hutay Hee Sardee Laghty Thee Agh Mehboob Ki Lakrion Ko Asay Khaye Jaa Rahee Thee Jasay Hakomat Sarkaar Kay Ghazanay Ko Chutt Kar Jaty Hay Shaam Ko Hum Nay Scouts Sey Cricket Match Khilla 11000 Feet Height Par Bee Humaraee Performance Buree Nahi Thee Ya Fer Scouts Ju Ajh Hee Pohanchay Thay Or Match Khel Lia Isi Liye Ek Kay Baad Ek Match Wo Hartay Chalay Gaye Hairat Anghez Tor Par Sohail Saab Bee Bhut Acha Khelay Jabh Kay Un Kay Baray Mein Humaree Raye Ye Thee Kay Ye Agar Luddu Bee Khilay Tu Thak Ya Zakhmi Hu Sakta Hay Hum 4 Thay Hum Nay Mehboob Or Wahan Kay Bachun Ko Sath Mila Liya Fer Bee Hum Ba Asani Match Jeet Gaye Kher Ye Bee Ek Owner Tha Kay Humaray Lungs 11000 Par Bee Bhut Efficient Thay Fairymeadows Ko Cricket Ki Mezbaani Ka Sharf Baksha Ja Chuka Tha Raat Camp Fire Kay Douraan Tash Ki Baazi Or Sath Sath Songs Ka Hala Gula Tha Humein Tu Tash Atay Nahi Thay So Hum Chai Or Agh Par Concentrate Kar Rahay Thay Magar Mehboob Ki Party Ko Humaree Party Nay Dhu Dhu Kay Mara Hum Har Maidaan Mein Jeet Rahay Thay Nangha Parbat Ki Safaied Barf Raat Mein Bee Chamakty Thee Asmaan Sitaron Se Bhura Hua Tha Hum Nay Itnay Chamakdaar Or Itni Tadaad Mein Stars Nahi Dekhay Thay Saaf Suthree Pollution Sey Azaad Fairmeadows Nay Humein Asal Asmaan Dekha Diya Tha Khubsorat Sitaron Sey Saja Hua Asmaan Asay Mehssos Hu Raha Tha Koi Chandi Sey Bhura Hua Bara Saa Thaal Humaray Samnay Hu Hum Tik Bht Deir Tak Asmaan Yatra Karty Rahay Ajeeb Samaa Tha ,,,,,Ajh Qudrat Bahut Meharbaan Hay Mray Samnay Asal Asmaan Hay(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195618 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.