SAFFAR SHUMAAL KAY(EPISODE 90)

(hukhan, karachi)

young discoverer

Sohail Ko Apni Love Story Se Koi Khas Raghbat Na Thee Bas Usay Humray Kirdaar Sey Bhut Say Shikway Thay Kay Hum Nay Hamesha Uss Kay Kandhay Par Bandooq Rakh Kay Chalaiee Humein Apnay Qalam Ki Ghizaa(Meal) Chaiye Huty Hay .Kaghzi Darkhton Par Likhnay Ka Programe Afraa Tafree Ki Nazar Hu Gia.Mehboob Humein Dhundhta Hua Aa Gia Fiqarmandi Sey Bola Khan Saab Dour Jungle Mein Zayda Agay Tak Na Jana Yahan Junghli Janwar Kici Bee Time Hamla Kar Detay Hein Khas Kar Bear ,,Navid Ki Citee Gum Hu Gai ,,Mehboob Bahi Qun Mazaqq Kar Rahay Hu Navid Nay Apnay Khuff Ko Chupatay Huay Kaha Hum Nay Tu Agay 1 Qadam Janay Kay Plan Ko Yaqsar Cancile Kar Dia Mehboob Humaray Sath Hi Hu Lia Hum Nay Kaha Dopehar Mein Ajh Kia Menu Hay,,Daal Daal Or Serf Daal Kalim Nay Tanzia Lehjhay Mein Kaha Bahi Jabh Daal Hi Khani Hay Tu Menu Ka Qun Pochtay Hu ,,,Sohail Nay Hanstay Huay Kaha Khan Saab Menu Ka Is Liye Pochtein Hain Kay Kahien Asa Na Hu Kay Daal Hi Na Pakaiee Hu,,,Yaro Daal Say Bar Kay Koi Cheese Nahi Mehboob Nay Faisla Suna Diya ..Daal Daal Par Likha Hay Khanay Walay Kaa Naam,Fairymeadows Dhoop Mein Chamak Rahee Thee Hum Mosam Ki Khunki Kam Hu Janay Say Khush Thay Magar Mehboob Nay Bataya Yahan Kay Mosam Ka Kuch Pata Nahi Dhoop Mein Bee Barish Shuro Hu Jaty Hay ,,Or Barish Bee Asee Thandi Kay Jahan Jahan Par Jaye Barf Ki Tra Asar Rakhty Hay Ap Logh Kapray Bee Kam Laye Hu Is Liye Barish Se Asay Dour Rehna ,,,Jasay Ghareeb Sey Khushhali ,,Humaray Sholay Kay Jay Nay Ek Baar Pher Se Entry Mari Navid Kuch Kehta Hum Nay Hath Jore Liye Or Navid Nay Darguzar Kar Dia.Nanghaparbat Kay Glacier Sey Badastoor Khufnaak Awazein Aa Rahein Thein Raat Mein Ye Awaaz Bhut Hee Purisraar See Mehsoos Hu Rhee Thein Ajh Raat Ko Camp Fire Ka Programe Thaa Iss Kay Elawa Tash Ki Baazi Bee Jamhni Thee Mehboob Dosray Hotel Walay Doston Ko Bee Bula Raha Tha Mehfil Paki Thee Mehboob Ko Iss Kay Matlab Kay Logh Mil Gaye Thay Camp Fire Kay Elawa Humara Interest Serf Raat Ko Baar Baar Milnay Wali Chai Mein Tha (Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1196403 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.