Pehli Tehrir (Chullu Bhar P-------? )

(shahanjapan, tokyo)

Salam , Hamesha Se , Hamesha Chaha Ke Khub Likhon Halat E Zindagi Krabnak The , Socha Aisa Likhon Nok E Qalam Se Sara Karb Khurach Kar Rakh Don . Kharasho Ke Nishan Reh Jain Gain Ye Soch Ke Kurcha Na Hi Likha Mgar Na Jane Kion Aik Ksak Man Main Rehti He Aik Chubhan He Jo Kuch Likh Daine Se Kam Hoti Mehsus Hoti He .

Sochta Hon Ke Meri Terah Hazaro , Lakho Log Hon Gain Jo Dil Aur Dimagh Main Aik Bharas Liye Phirte Honge . Jo Likh Laite Hain Bare Khush Naseeb Hain Waqti Hi Sahi Sakoon Zarur Milta He .

Likhna Aik Fun He Kisi Bhi Tehrir Ko Parh Ke Lagta He Hum Bhi Likh Lain Gain Asal Main Jab Likhne Baitho To Pata Chalta He Ke Likhna , Aur Aisa Likhna Ke Use Koi Parhe Boht Hi Mushkil Kam He .

Main Hukmrano Se Nalan Hon Mujhe Lagta He Ye Sab Aur In Ki Oladain Maira Aur Mujh Jaise Lakho Ka Haq Chine Hue Hain . In Ke Saf Shafaf Ujle Bila Shikan Kapre Aur Tar Wo Taza Chaihre Dhul Aur Gard Ka Aik Zara Bhi In Ko Nahi Chu Raha , Aur Samne Madqooq , Nile , Pile , Kale Nahif , Maile Kuchaile , Phate , Purane Shikan Alud Kapre Jhurion Bhare Gard Alud Chaihre In Aqaaon Ke Samne Khare Hain . Kamine Hukmran Jamhuryat Ka Rag Alap Rahe Hain Aur Awam Bacha Jamhora Bani Hui He .

Imran Khan Ko Daikh Ke Ghusa Nahi Ata Us Ke Liye Bad Dua Nahi Nikalti Us Ko Sab Dua Aur Sirf Dua Daite Hain Kionke Who Imandar He Is Zamane Main Imandar , Aur Charo Taraf Choro , Kanjro , Kamino , Zalimo Ke Samne Akaila Nehatta Chatan Ki Trah Dat Ke Khara He . Insha Allah Jit Is Hi Ki Ho Gi . Kionke Is Ki Jit Hi Kamzor Aur Bebas Admmi Ki Jit He . Allah Sach Ko Kabhi Nahi Harata .

Imran Khan Ko Kaha Ja Raha He Who Ilzamat Laga Raha He ,Tum Aik Hamam Main Sab Nange Ho . Tum  Ki Terah Kehte Ho , Ke Sabit Karain . Tumhari Shaklo Pe Likha Hua He Chor , Chor Aur Sirf Chor . Who Tum Gande Logo Main Shamil He Kia ? Jo Tumhare Saboot De Sake . Tum Parliman Main Jitney Bhi Ho Sharam Karo . Koi Bhi Aisa Nahi He Puri Awam Main Jo Tum Ko Fair Samajhta Ho . Dub Ke Mar Jao Chullu Bhar P----------? Main
 

shahanjapan
About the Author: shahanjapan Read More Articles by shahanjapan: 14 Articles with 24676 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.