Azadi aur Inqalab

(Engineer Mumtaz Ali Noonari, Karachi)

Is Waqt Pooray Mulk Myn Azadi Aur Inqalab Dharnay K Charchay Hyn Jis Ki B Jis Se Se Wabastgi Hay Wo Uski Kamyabi Ki Naveed Suna Raha Hay Ya Phir Hub-E-Hussain Kam Bugh-E-Muawiya Ka Ansar B Shamil Hay. Hamari Qom Ka Ye B Buht Bada Almiya Hay K Hum Ghair Janibdar Tajziyoon Pe Kam Afwahoon Aur Khawahishoon Pe Ziadah Chaltay Aur Jeetay Hyn. Jis Ka Nuqsan Ye Howa Hay K Jhoota Har Bar Ek Nae Rang-O-Dhang Se Toofan Ban Kr Ata Hay Hay Phir Chewintee Ki Tarah Jata Hay. Jis Ki Wajah Se Kae Siyasi Samaji Zihni Jismani Beemariyan Janam Leti Hyn Jhootay Madari Ko Tu Koi Saza Nhi Milti Nuqsan Ghareeb Awam Ka He Hota Hay.

Kaee Haftoon Se Azadi O Inqalab March K Charchay Jari Hyn Kisi Ko Islamabad Tahreer Chowk Nazar Aya Tu Kisi Ko In Dharnoon Myn Tafreeh Ki Tahreer Nazar Aaee.

Bator Tareekh K Ek Adna Talib-E-Ilam Mujhe Tu Kaheen B Inqalab Nazar Nhi Aya Albata Azadi Zaroor Nazaaaee. Nach Ganay Ki Disco Dance Kee Mukhalifoon Ko Galee Deni Hee. Banao Seengar Ki Achhi Achhi Dresses Pehn Ker Modeling Ki.

Agar Ap Dunya Myn Tabdeeliyoon Tareekh Pe Nazar Doraengay Tu Apko Is Andaz Se Tabdeeli K Liye Jido Jihad Kerne Walay Kaheen B Nhi Milenge.

Tabdeeli Chahay Blood Shed Se Aaee Ho Ya Pur Aman Tareeke Se Lekin Ready Made Tabdeelay Walay Kabhi Nhi Dekhay Kamyabi K Assar Tu Wasay B Kam Hyn Q K Kabhi B Paid Worker Inqalab Nhi La Sakte Tabdeeli Hamesha Bookh Lati Hay.

Ye Log Na Tu Bookhay Hyn Na He Iqalabi Baqi Khawahishat Se Koi Inqalab Tu Nhi Ata.

Doosri Baat Ye B Jis Andaz Se E Container Le Kar Baraat Dakhil Hoi Inki Jagah Agar Koi Aur Hota Tu Shayad Ya Tu Government In Ko Bhaga Chuki Hoti Ya Phir Koi Khud Kash Bombar Nazil Ho Chuka Hota .

Phir Ye He Hota K Ek Sif Myn Khara Tha Imran O Molana Doosri Sif Myn Khara Hota Khud Kash Bombar Na Azadi Rahti Na Inqalab.

Aham Baat Ye B K Ye Baraat Nikli Thee Nizam Ki Tabdeeli Ka Naara Laga Kar Lekin Islamabad Aa Ker In Ka Poora Zor Chahray Ki Tabdeeli Pe Q?

Engineer Noonari Mumtaz
About the Author: Engineer Noonari MumtazI have a lot of Dreams for the poor, for unheard people I want to work for them but try and try again to make my dreams true.. View More