Hum Kahan Jarahe hain?

(Atif Yaseen, Karachi)

Aj Maa'shray Pe Phelay Howe Inteshaar Or Afra-Tafree Ko Dekh K Samjah Nahi Aata K Hum Kis Taraf Jarahe Hain? Aj Haqiqatan Hum Me Kahin ISLAM Mojod Bhi Hai Ya Nahi? Maa'shre Ka Koi Ek Bhi Tabqa, Goroh Ya Idara Theek Bhi Hai Ya Nahi? Subha Aakh Khulne Se Rat Me Aankh Band Hone Tak Hum Por Por Gunaho, Na-Insafiyon Or Dosro Ka Haq Khane Me Masroof Rehte Hain, Ek Taraf Hum Hukomat Ko To Galiyan Dete Hen But Ye Bhool Jate Hain K Jis Qom Me "Abu Jehal" "Abu Lahab" Se Bhi Baddar Log Hon, On Per UMER (R.A) Jesa Hukamran Nahi Aatay, Jis Qom Me "Zina O Qom E Loot Ka Amal", "Haram Khori", "Sharab Noshi", "Rishwat" Ka Bazar Garm Ho Us Per "Mano Salwa" Nahi Utrta, Aj Maa'shre Ka Koi Ik Pehlo Aisa Hai Jis K Baray Me Ye Kaha Jasaky K Hum MUSALMAN Hain? Namaze Choht Rahi Hain Mager Perwah Kisse Hai? Sood K Name Me Munafa Jaiz Samjh Liya Mager Ye To Chalta Hai, Sharab Thori Si Pe Li To Ye Shugal Hai, Jis Mulk Me Rozana Hi Masoom Phoolon Ko Hawas Ka Nisahna Banaya Jata Ho Us Qom Pe ALLAH Ka Azab Nahi Aye To Kya Abr-E-Rehmat Berse? Hum Ba-Haisiyet Qom Sirf Ungli Uthna Apna Kam Samjhte Hain, Koi Gandagi Ko Saf Nahi Kerna Chahta, Chorahon, Hotels Or Gatherings Me Beth K Taqreeren Kerna Mehboob Mashgala Hai Magr Sadday-Bab Koi Nahi Kerta, Bus Her Kam Ki Zimmadari Hukomat Pe Dali Or Bus Hath Jhar K Beth Gaye. Aj K Tarraqi Yafta Dor Me Zaroori Nahi K Asman Se Pather Bersay Ya Koi Or Azab Aye, Aj Bijli Ka Na Hona, Pani Ka Na Ana, Mobile Or Internet K Dor Me Mobile Services Band Kiya Jana, Ajeeb Ajeeb Bemariyan, Kya Ye Sub MODREN AAZAB Nahi? Quran Kehta Hai K Yahood O Nasara Tumhare Dost Nahi Hosakte, But Jo MUSALMAN Yahood O Nasara Se Bhi Neeche Gir Jaye To Kya Kaha Jaye? Yahan Sirf Kuch Misaalen Pesh Kerha Hoo, Aj Muje Or Apko Murda Gosht, Gadhe Or Kutte Ka Gosht Khilan Wale Yahoodi Hain Ya Nasar Hain? Janwaron Ki Ghilazat Se Tyar Cooking Oil, Ketchup, Achar Khilanay Wale Hindu Hain? Ramzan K Babarkat Mahine Me DHA Or Deegar Ilaqon Me Zina K Adday Chalane Wale Kya Sikh Hain? Deobandi Ki Masjid Alag Or Barelvi Ki Masjid Alag Kehne Wale Kiss Mazhab K Perokar Hain? Shadi Halls Se Jhoota Khana Khareedne Or Bechne Wale Musalman Nahi? Najaiz Munafa Khori, Haram Chezon Ko Halal Packing Me Bachne Wale, Milawat Kerne Wale Kiss Khuda Ko Mante Hain? Bacho Se Bheek Mangwane Walon Ka KHUDA Nahi Kya? Hum Subha Se Sham Tak ALLAH Ki Nafer-Mani Me Itna Dob Chkay Hain K Ab Ehsas Hi Nah Hota, Zindagi Ka Kissi Be Pehlo Me ALLAH Or RASOOL (S.A.W.W) Ki Ita'at Nahi Kerty, Hum Sirf Bari Bari Baten Kerna Jante Hain, Amali Tor Pe Kuch Nahi Kerna Humko, Humne DEEN Sirf Ibadaat Ka Nam Rakh Chora Hai, Huqooq Ul Ibad Ka Koi Ta'luq Nahi Rakha Aj Humne DEEN E MUHAMMADI Se, ISLAM Me ALLAH Ne Apna Hissa To Bohat Thora Rakha Hai, Bara Hissa To Apne Bando K Liye Rakha Hai. Islam Namaz 5 Waqt Farz Kerta Hai Mager Walden K Huqooq, Behn Bhaiyon K Huqqoq, Maa'shray Ki Zimmadaryan, Mazooron Ki Falah O Behbood, Kamzooron Ki Madad, Zina O Rishwat Ki Rok Tham, Gunahon Se Bachna Or Bachnam ISLAM Ki Dawat Kya Ye Zimmadari Ek MUSALMAN Ki Nai Kya? Mathay Pe SAJDAY Ker Ker K Mehrab Bana Lena Hi To Sirf MUSALMAN Ki Shan Nahi? Ye Kya K Bus SAJDAY Kerte Rahi Sath Sath Rishwat Be Chal Rahi Hai, Qata Rehmi Bhi Ho Rahi Hai, Huqooq Ul Ebad Ki Adaegi Se Mon Bhi Mora Jarha Hai Mager Sahab QURAN Ki Tilawat To Chal Rahi Hai Na!! Kya Hum Ne Khud Ba-Haisyet MUSLAMAN ISLAM Ki Shakl Masnah Nahi Kerrehe? Hum Anay Wali Nasalon Ko Kya ISLAM Muntaqil Kerreh Hen? Hum AMEEN Hain, Ye ISLAM Agli Nasalon Ko Den Hai, Hum Amaanat Me Bohat Khayanat Kerchuke Hain, Roz E Mehsher Kya Mon Dekhayege ALLAH Or Rasool (S.A.W.A) Ko? Hum Hazrat Abu Bakr (R.A) Ki Maali Qurbani K MAQROOZ Hain Hum, Hazrat Usman (R.A) Ki HAYA Ka QARZ Hai Hum Per, Hazrat Umer (R.A) Ne ISLAM Ka Jo JHANDA Hazaroon Miles Per Lehraya Us JHANDAY Ko Girny Sa Bachana Hamri Zimmadari Hai, Hazrat Ali K Sajday Ka QARZ Hai Hum Per. Waqi E Kerbala K Shuhda Or AHLE BAIT Ki Lazawal Qurbaniyon Ko Hum Bhool Nahi Saktay Werna Ratay Se To Hum Bhatak Hi Gaye Hain........ Kahin Aisa Na Ho K Vapassi Ka Rasta Hi Khojaye............. Sochiyega Zaroor K Hum Kahan Jarahe Hain??

Atif Yaseen
About the Author: Atif YaseenCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.