Pakistan Ki Khani

(muhammad muzzammil, karachi)

Choudhary Rehmat Ali Ka Kirdar

Pakistan Ka Lafz Aik Alehda Muslim Watan Key Leay Sab Sey Pehley Choudhary Rehmat Ali Ney 1933 Mein Istemal Keya. Iss Waqt Choudhary Rehmat Ali Cambridge University Key Aik Tallib Ilm They. Choudhary Rehmat Ali Ney 28 January 1933 Ko “Ab Ya Kabhi Nahi”(Now Or Never) Key Nam Sey Aik Ketabcha Shaya Keya Jis Mein Na Sirf Aik Alehda Muslim Watan Key Qayam Ki Tajweej Pesh Ki Gaye Balkey Majuza Muslim Watan Ko Pakiktan Key Nam Say Mousom Kiya Geya.

Choudhary Rehmat Ali Nay Apni Tajweej Mein Punjab Sey “P” Suba Sarhad Key Afghanon Sey “A” Kashmir Sey “K” Sindh Sey “S” Aur Balochistan Sey “Tan” Ley Ker Unko Apas Mein Jor Ker “Pakistan” Banaya. Iss Key Bad Ye Lafz Taizi Sey Maqbol Hota Chala Gaya. Hindustan Key Mukhtalif Alaqon Mein Na Sirf Pakistan Key Nam Sey Tanzemein Qaim Huein Balkey “Pakistan” Key Nam Sey Akhbarat O Jaraed Bhi Jari Kiya Gaya Pehla Resala 1933 Mein Choudhary Rehmat Ali Ney Cambridge ( Britania) Sey Jari Kiya Jo Pakistan Qaumi Movement Ka Terjuman Tha.
 

muhammad muzzammil
About the Author: muhammad muzzammil Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.