Quaid Ka Nazriya Kis Ko Yad Dilaen

(Atique Laghari, Hyderabad)

Muhtaram Qareen, Kuch Dino Se Kaam Mein Masroof Rehne Ki Waja Se Koi Article Nahi Likh Saka, Aur Is Daurania Mein Do Chaar Khas Issues Bhi Huwey Lekin Un Issues Par Bahut Ziyada Likha Ja Chuka Hay, Chahey Wo Droan Hamley Hon, Sawat Mein Ek Masoom Larki Ko Korey Marna, Ya Mujooda Mulki Soorat Haal Ho. Lekin Maine Socha Ke Aj Kal Hamari Media Aksar Leader Hazraat Ko Un Ke Waadey Yad Dila Rahi Hay. Pehley Ch. Iftikhar Ki Bahali Ka Wada, Jo Muhtarma Ne Kiya Tha, Media Ne Khoob Yad Dilaya, Ab Ajkal, 17wen Tarmeem, Aur 58-2b Ka Wada Yad Dilaya Ja Raha Hay. Lekin Main Ye Baat Kataee Samajhne Se Qasir Hoon Ke Waadey Sirf Govt. Ko Yad Karayey Jaatey Hain. Lekin Ek Nazriya, Ek Demand Ek Nukta, Meri Nazar Mein Ek Wada, Jo Baba-E-Qaum Ne Kiya Tha, Agar Wo Wada Na Bhi Tha Lekin Ek Nazriya To Tha, Ab Wo Nazriya Kis Ko Yad Dilaya Jaey, Aur Ye Wada Kaun Yad Dilaey Ga. Kam Se Kam Hamari Media To Ye Kam Nahi Karey Ga.

Ye Nazriya Jo Baba-E-Qaum Ne Pakistan Banane Se Pehley Nehroo Report Ke Jawab Mein Diya Tha Jo 14 Nukat Pe Mushtamil Tha, Jis Mein Wazeh Taur Pe Provinces Ki Mukamal Khud Mukhtiyari Ki Baat Ki Gayee Thi, Quaid Ne Us Waqt Bari Bahaduri Ka Muzahira Kiya Tha Aur Angrez Se Aisa Mutalba Kiya Tha. Lekin Quaid Ki Maut Ke Baad Ye Nazriya Kis Ko Yad Dilaya Jaey Is Ka Tauyun Kon Karey Ga. Agar Ye Nazriya Qaim Ho Chuka Hota To Pakistan Kabhi Do Lakht Nahi Hota, Lekin Aj Bhi Agar Provinces Ko Autonmy De Di Jaey To Shayed Balochistan Aur Deegar Provinces Ke Masail Hal Ho Saktey Hain.

Pakistyan Mein Is Waqt Kai Muslim League Maujood Hain, Aur Sab Ki Sab Quid-E-Azam Ke Janasheen Kehlatey Hain, Wo Shaikh Rasheed Ho, Peer Sb Pagara Ho, Nawaz Shareef Ho, Ya Chaudry Shujaat Ho, Sab Quid Ke Janasheen Hain, Lekin Quaid Ko Sab Own Kartey Hain Lekin Quaid Ke Nazriyey Ko Koi Own Nahi Karta. Functional League Ke Ilawa Sab Leagon Ka Taluk Ziyada Tar Punjab Se Hay, Aur Provisional Autonomy Mein Sab Se Bari Rukawat Bhi Punjab Hay, Baloch, Gawadar Port, Aur GAS Ki Milkiyat Mangtey Hain, Sind Shipping Port Aur Coal Ki Milkiyat Mangtey Hain, NWFP, Pani Ki Milkiyat Mangta Hay.

Pakistan Ki Federation Per Bahut Sarey Sawalat Kharey Ho Gaye Hain Aur Is Ka Wahid Hal Yahi Hay Ke Provinces Ko Mazboot Kiya Jaey, Mazboot Provinces Hi Mazboot Pakistan Ki Alamat Ban Saktey Hain. Central Ko Sirf, Defence, Foriegn, Aur Curency Apne Pass Rakhni Chahiyey Baqi Tamam Cheezen Provinces Ko De Di Jaen, Aur Tamam Provinces Par Makhsoos Hisa Fix Kiya Jaey Jo Province Markaz Ko De Ta Ke Defence Aur Currency Ko Deal Kar Sakey.

Agar Balochistan GAS Dega To Zahir Hay Us Ko Pani NWFP Se Lena Hoga, Gandam, Punjab Se, Aur Sugar And Rice SIND Se Lena Hoga, Isi Tarah, Punjab Agar Provinces Ko Wheat Faraham Karega To GAS, Pani, Aur Shipping Charges Us Ko Bardasht Karney Hongey, Isi Tarah Sindh Agar Por Aur Shipping Ki Mad Mein Taxes Le Ga To Us Ko Bhi Balochistan, NWFP Aur Punjab Se Kuch Zaroor Lena Parey Ga, Aur NWFP Bhi Sirf WAPDA Ki Rylity Pe Nahi Jee Sakta Us Ko Wheat, Gas, Coal Sab Cheez Chahiyey.

Maujooda Halat Mein Provisional Autonomy Ki Behad Zaroorat Hay, Har Province Yahi Sochta Hay Mere Resources Doosrey Province Ke Liyey Use Ho Rahey Hain. Is Liyey Nihayat Zaroori Hay Ke Sab Provinces Apna Kamaen Apna Khayen, 1997 Mein Nawaz Shareef Sb Ki 2/3 Ki Govt Ko Ye Kaam Karna Chahiyey Tha Lekin Quaid Ko To Wo Own Kartey Hain Lekin Quaid Ke Nazriyey Ko Own Nahi Kartey. Aj Koi Hay Jo Govt Ka Saath De Aur Provinces Ko Autonomy De, Govt Ye Sab Karna Chahti Hay, Lekin Quaid Ke Janasheen Ye Nahi Chahtey, Tamam Leagues Quaid Ke Nazriyey Ko Own Karien Aur Media Bhi Un Leadran Ko Yad Dilaey Ke Un Ke Quaid Ka Nazriya Kiya Tha, Warna Jis Tarah Pakistan Ke Awam Ne Asif Ali Zardari Ko Muhtarma Ka Nazriya Roadon Par Aakar Yad Dilaya Tha, Kaheen Wahi Awam Roadon Par Aakar Tamam Leagon Ko Quaid Ka Nazriya Yad Dilaen.

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 47816 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More