Faisloon mein Takheer Nuqsan Kis ka?.

(Atiq Laghari, Hyderabad)

PPP Ne Hamesha Faisloon Mein Takheer Se Kam Liya Aur Ye Rawish Ab Tak Jari Hay Jis Se Mulk Ka Aur Khud PPP Ka Nuqsan Ho Raha Hay. Sab Se Pehley Adliya Ki Bahli Jo Ki Bhi Lekin Jab Us Ka Koi Credit PPP Na Le Saki. In Se Koi Poochne Wala Nahi Ke Jab Ap Ne Koi Kam Karna Hay To Us Mein Be Ja Der Q Kartey Hain.

NRO Case Mein Bhi Kuch Aisa Hi Huwa Hay Ap Ne Khat Likhna Tha Aur Likh Diya Lekin Ap Ki Der Ki Waja Se Ek Prime Minister Qurban Karna Para, Doosra Bhi Bal Bal Bach Gaya. Isi Tarah Political Faisley Bhi Isi Tirz Pe Kiye Ja Rahey Hain, Mujhey Yad Hay Jab PPP 2008 Ke Election Jeeti Thi To AAJ TV Pe Bolta Pakistan Pe Jinab Nusrat Javed Ne Ek Tabsara Kiya Tha Ke Agar PPP Sahi Card Khele Aur KPK Ke Liye Anwar Saifullah Ko CM Candidate Declare Kar De Aur Punjab Ke Liye Manzoor Watoo Se Behtar Koi Candidate Nahi Hay. Aur Aj Ham Ne Dekha Ke PPP Hamesha Ki Tarah Riwayti Susti Ke Baad Aj Q-League Ke Saath Baithi Hay Jo Us Ko 2008 Mein Karna Tha Na To N League Ki Hukumat Banti Na Hi Koi Unification Block Banta Aur Na Hi Q-League Ka Ye Hasher Hota. Sahi Waqt Pe Sahi Patey Khelna Hi Siyasat Hay. Zardari Aj Punjab Aur KPK Provinces Mein Sab Kuch Lutake Takheer Se Hi Sahi, Sahi Taraf Gamzan Huwi Hay Lekin Ab Bahut Der Ho Chuki Hay Aur PTI Aur N-League Punjab Aur KPK Mein Bahut Achi Position Mein Aa Chuki Hain, Jis Ka Andaza Maujooda Gelp Survey Mein Dekha Ja Sakta Hay Jis Mein PPP Ki Position Bahut Kharab Hay Kiya Ab Anwar Saifullah Aur Mian Manzoor Watoo PPP Ko Pehley Jaisa Mazboot Bana Saktey Hain, Ye Bahut Bara Challenge Hay. Yahan Par Ye Zaroor Kahoon Ga Ke PPP Punjab Mein Kamzor Zaroor Huwi Hay Lekin Itni Bhi Nahi Jitni Media Pe Tasawar Ki Ja Rahi Hay. PPP Ke Jiyaley Apni Party Se Naraz Ho Ker Ghar Baith Jatey Hain Lekin Wo Kissi Doosri Jamait Ko Vote Nahi Dete. Jis Ke Liye Mere Pass Ek Thos Daleel Hay Ke Pichle Dino Media Par Ameer Jamait-E-Islami Syed Munwar-Ul-Hassan Se Jab Ye Sawal Kiya Gaya Kea P Ayenda Election Mein Kis Se Alliance Banayen Ge To Jawab Diya PPP Aur MQM Ke Ilawa Sab Se Bat Ho Sakti Hay Us Ki Waja Yeh Hay Ke PPP Aur MQM Ka Voter Non Convertible Hay.

Sindh Mein Bhi PPP Ko Bahot Sarey Challenges Ka Samna Hay Mian Nawaz Shareef Ne Sindhi Nationalists Se Alliance Kar Liya Hay Aur Un Ko Finance Bhi Kiya Jar Aha Hay, Aur Filhal Nawaz Shareef Apni Hikmat-E-Amli Mein Kamiyab Nazar Aa Rahi Hay. Nationalists Ne PPP Ko Sindh Mein Engage Kiya Huwa Hay, Zardari, Faryal Talpur Ko Bahut Jaldi Sindh Ki Politics Mein Intervene Karna Chahiye Warna Riwayati Susti Kaheen Sindh Card Ko Zayal Na Kar De. Jald Se Jald PPP Ko MQM Se Chutkara Hasil Karna Chahiyey Controversial Baldiyati Bill Ko Undo Karna Hoga Aur Sindh Ki Siyasat Dr. Zuilfiqar Mirza Ko De Deni Chahiyey Jis Se PPP Ki Qayadat Sindh Mein Achi Result Hasil Kar Sakti Hay Aur PPP Ke Aham Leaders Punjap Par Focus Rakh Saktey Hain. Jaisa Ke Mian Manzoor Ahmedf Watoo Andiya De Chukey Hain Ab PPP Leaders Ko Apney Naraz Jiyaloon Ko Mananey Ke Liye Sab Ke Ghar Par Jana Hoga Un Ko Samjhana Hoga Aur Un Ko Active Karna Hoga. Agar PPP Ke Markazi Leaders Aisa Karne Mein Kamiyab Ho Gaye To Next Election Mein Wo Achey Result De Saktey Hain Lekin Bat Pir Wahi Agar Faisley Takheer Se Huwe To PPP Sindh Ki Party Ban Kar Reh Jaey Gi.

Atique Laghari
About the Author: Atique Laghari Read More Articles by Atique Laghari: 16 Articles with 47817 views Me From Hyderabad, 36 Married working in PTCL.. View More