|
|
Junaid Sahab, Aap ka article bilkul oon haquiqat ki gammazi kar raha hai jo hum jaise bahut sare musalman jante to hain lekin aawaz uthane ke liye darte hain.
Pehle huzoor ke daur mein 100 muslim 1000 per bhari pad jate the, baad mein musalmanon ki kam himmati ki wajah se Allah Taala ne takhfeef kar di aur 100 musalman 200 per bhari padne lage.
Ab zara ham gahrayee se sochein ki iski ulti ginti kaise ho sakti hai jo haalat ke saath musalmanon ki kam himmati ki wajah se badalti rahee.
100 musalman 100 per bhari padne lage 100 musalman 50 per bhari padne lage 100 musalman 25 per bhari padne lage
aur aahista aahista
10 gunahgaar 100 nek logon per bhari padne lage, 10 gunahgaar 1000 nek logon per bhari padne lage, 10 gunahgaar 10000 nek logon per bhari padne lage
2020/25 tak 10 gunahgaar 25000 nek logon per bhari pad jaayen ge.
jo chup rahe gi zaban-e-khanjar, lahoo pukarega aasteen ka
nek musalman logon ki zaban bhi chup hai, himmat bhi murda hai, lahoo aasteen se tapak to raha hai lekin apni kam himmati ki wajah se bas aansoonuon se dho rahe hain, Dil mein sab se kam darja ke imaan ka mazahira karte huye ise bura, kharab, gunah, chori, daaka, lootmari, dhokadhadi jaan kar chup ho jaate hain.
Na hi hum ab duniya ke liye hain, na hi hum ab aakhirat ke liye hain. Na eik musalman ka doosre musalman se deeni rishta nibhate hain na hi Allah ki baargah mein sar jhukate huye aise gunahgaar musalmanon ke liye uth khade hote hain.
Aaj main khada ho gaya burayi ke khilaf, eik goli ne kaam mera tamam kar diya to mere ghar walon ko kaun dekhe ga, kiya woh bheek mangein ge?
Allah Taa'la, hamara Maa'bood, hamara Ilaha, hamara Rub, hamara Paalanhar, hamaara Khalique, hamara Maalik, hamara aaqua, hamara Paak Parwardigaar, Rabbul Aalameen, Maalik-e-Yaumuddin, balki hamara sab kuchh bas Allah Taa'la hai, ham ne us per tawakkal karna chhod diya hai.
Jo loot rahe hain unhen kahufe Khuda nahin hai, jinhe loot rahe hain woh bhi khamosh, Khauf-e-Khuda se badhkar looteron ka khauf hai.
Roz-e-jazaa to unhein bhi hisab dena hai aur ham jaise khamosh rahne walon ko bhi hisaab dena hai.
|
|
By:
Mushtaque Gafur Ansari,
Mumbai - India
on
Jul, 30 2012
|
|
|
|
|