Kash Main Kuch Kar Leta

(Muhammad Owais , Karachi)

Kash Main Zindagi  Main Kuch Kar Leta

Meri Age 22 Thi , Mai Zindagi Ko Enjoy Kar Raha Tha Namazain Nahi PerhtaTha Koi Acha Kam Nahi Karta Tha Ye Soch Kar Kay Yaar Abhi Meri Umer TafreeKi Hai Jab Burah(Old) Ho Jaounga Tu Namazain Aur Full Ebadatain Karloon Ga Per Abhi Nahi ....Bas Ye Sochtay Sochtay Age Barti Ja Rahi Thi Aur Mai Planing Karta Raha Aur Aik Din Achanak Meri Bike Ka Accident Ho Gaya Aur Mainay Ushi Time Dam Tur Deyaa,

Mai Aur Jeena Chahta Tha Zindagi Kay Aur Mazay Karna Chahta Tha But Kya Karta ... Phir Jab Mujhe Kabar Mai Dafnaya Gaya Tu Mujhe Bahut Daar Lagh Raha Tha Mainay Sab Ko Awazain De Raha Tha Kay Mujhe Nikalo Mai Aur Jeena Chahta Hoon Per Shayd Meri Awaz Koi Sunn Nahi Sakhta Thaa , Mai Bahut Akela Ho Gaya Tha Itna Akela Shayd Mai Pehle Kabhi Nahi Tha Mujhe Tu Doston Mai Rehnay Ki Adat Si Perh Gaye Thi , Mujhe Sab Logh Youn Tanha Choor Kar Chalay Gayee Mai Unhay Rukhna Cha Raha Tha Mai
Awaz De Raaha Tha.

Ammi Mujhe Bachaoo , Papa Mujhe Yehan Say Bahar Nikaloo Mai Bilkul Badal Jaounga Mai Ap Ki Khidmat Karounga , Kabhi Kisi Ka Dil Nahi Tuuron Ga, Kabhi Koi Buri Adat Nahi Apnaounga , ALLAH Ki Ebadatain Karounga Bas Mujhe Yehan Si Bahar Nikaloo Koi ....Per Shayd Bahut Deer Ho Gaye Thi Aur Meri Ankhoon Say Ansoo Atay Rhaay Phir Achanak Mere Samnay Koi 2 Logh Atay Hain Mujhe Achanak Yaad Aya Mainay Perha Tha Kay Marnay Kay Baat Kabar Mai Farishte Atay Hain Sawal Jawab Karnay Shayd Ye Wohi Hain Phir Inhoo Nay Mujhse Sawal Jawab Kiyee Mai Jhooot Nahi Bol Paya Roota Raha Roota Raha Aur Har Such Per Shirmindah Hota Raha Aur Roota Raha Phir Woh Logh Chalay Gayee Phir Kuch Itni Khoofnak Shakal Kay Kiray(Insects) Baray Baray Mere Samnay Achanak Say Ah Gayee Mai Daar Kar Chilanay Lagaah Sanph Nay Aur In Sab Nay Mujhe Itna Kanttah Aur Mai Bas Roota Raha Aur Shirmindah Hota Raha Apnay Amal Say ........Aur Phir Achanak Mainay Dhekha Kay Mai Aik Ajeeb Duniya Mai Ah Gaya Hoon Jahan Aik Line Lagi Hoye Hai Mujhe Bahut Acha Lagah Kay Yehan Mai Akela Nahi Hoounga Koi Tu Mere Saath Hoga Yehan .

Phir Mianay Dhekha Kay Yehan 2 Raastay Hain ..Aik Jagah Bahut Line Thi Mainay Socha Mai Yehan Jaounga Bas Jab Mai Us Kay Kareeb Gaya Tu Mainay Dhekha Yehan Tu Aag Hi Aag Hai Insaan Jaal Rahay Hain Sab Ko Hunters Perh Rhaay Hain Sanph Sab Ko Daas Rahay Thay Mai Dhekh Kar Daar Sa Gaya Phir Jab Meri Bari Aye Tu Mere Sahri Zindagi Ko Aik Saath Rakha Gaya Mere Gunnah Aur Meri Naikki Doono Ko Tula Gaya Tarazoo Mai Magar Meri Zindagi Mai Tu Bas Gunaah Hi Gunnah Hi Thay Bas Phir Mujhe Bhi Ushi Aag Wali Jagah Mai Daal Rahay Thay Mai Roo Roo Kar Keh Raha Tha Mujhe Mat Dalo Yehan Per Maii Ammi Ammi Chila Raha Tha Achanak Mai Kya Dhekhta Hoon Kay Achanak Aik Urat White Dress Mai ALLAH Say Mere Liyee Bheeekh Mangh Rahi Hai Kay Aey Perwardigar Ishay Maaf Karde Ye Nadan Thaa Ye Jaisa Bhi Thaa Ye Aik Maa Ka Beta Tha ....Aey ALLAH Mai Janti Hoon Ye Bahut Gunnah Gar Tha Isnay Kabhi Baron(OLD) Ka Kehnah Nahi Mana Chooton Say Hans Kar Baat Nahi Ki , Kabhi Kisi Ko Khushyan Nahi De Sakkah , Kabhi Maa, Baap Ki Khidhmat Nahi Kar Sakkah , Hamesha Dusron Ka Dil Dhukhata Raha , Doosron
Ki Gheebat Karta Raha Hai Ye , Maa Say Unchi Awaz Mai Baat Karta Raha Hai Ye Per Mai Kya Karoon Ye Jaisa Bhi Hai ,Hai Tu Kisi Ka Beta Ishay Maaf Karde....Per Saaza Tu Milni Thi Gunnah Ki ....Mai Bas Dhek Kar Roota Raha Mai Us Urat Ko Pheechannah Cha Raha Tha Ye Koun Hai Ju Mere Liye Roo Rahi Hai Us Kay Kareb Gaaya Dhekna Cha Raha Tha Koun Hai Ye Akhir Ju Mere Liyee Roo Rahi Hai Phir Mujhe Ahsa Lagah Kay Shayd Ye Meri MAA Hai...

Jab Mujhe Us Aag Mai Dala Ja Raha Tha Mai Roota Raha Aur Apnay ALLAH Say Maafi Manghta Raha Aey ALLAH Mujhe Sirf Aik Last Chance De Day Mere Malik Mai Change Ho Jaoun Ga ALLAH Mujhe Pata Hi Nahi Tha Kay Mai Itni Jaldi Mar Jaounga Aey ALLAH Sirf Aik Bar Mujhe Wapis Us Duniya Mai Bheejh De Jahan Mai Khoob Sakoon Say Tha Zindagi Ko Enjoy Kar Raha Tha Mere Malik Acha Agar Aik Zindagi Nahi De Sakhta Tu Mujhe Kuch Din Kay Liye Hi Bheejh De Mai Bas Rota Raha Aur Kehta Raha Sirf Kuch Din Kay Liye Aey Mere ALLAH Mai Sab Achay Kaam Karounga Sirf 5 Din Mujhe De Day Mere Malik Mai Teri Ebadat Karna Chahta Hoon , Doosron Ko Khush Rakhna Chahta Hoon , Kuch Tuutay Howay Dillon Ko Jhoorna Chahta Hoon , Apni Ammi Abbo Ki Khidmad Karna Chahta Hoon Aey Mere Malik Agar Mujhe Pata Hota Kay Mai Itni Jaldi Mar Jaounga Tu Aey Mere ALLAH Mai Kabhi Ye Sab Gunnah Nahi Karta Aey Mere ALLAH Mai Kabhi Kisi Ki Gheebat Nahi Karounga Bas Mai Roota Raha Aur Yehi Kehta Raha Aur Mujhe Us Aag Mai Phankh Deya Gaaya Aur Mai Achanak Chilata Hon Phir Mujhe Meri Ammi Galay Say Lagah Kar Kehti Hai Beta Kya Howa Hai Phir Mujhe Lagah Shayd Ye Koi Darunaa Khawab Thaa Aur Ab Mai Complete Change Ho Gaya Hon Woh Sab Kuch Karta Hoon Ju Aik Betay, Aik Bhai, Aik Doost, Aik Insaan, Ko Karna Chhaye , Ab Mai Doosron Ka Bahut Khyal Rakhta Hoon Doosron Kay Baray Mai Sochta Hoon Sab Ko Khush Rakhta Hoon Bas Mujhe Ab Jeenay Ka Maqsad Mil Gaya Aur Ab Mai Samjha Kay Zindagi Kya Hai , Mai Jab Utha Tu Meri Ankhoun Mai Ansoon Thay Aur MaiYe Sochnay Lagah Kay Ju Maa , Baap Humay Apni Ungliyan Pakar Kar Chalna Sikatay Hain Aur Jab Un Ungilyoun Ko Humaray Haath Ki Zarorat Hoti Hai Tu Hum Choor Detay Hain BAS ITNA HI Dua Ki Eltija Touba Par Estiqamat

Muhammad Owais
About the Author: Muhammad Owais Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.