Deen Ki Samajh

(Chiraghdeen, Karachi)

Hazrat Imam Sha'fai (Rehmatullah Alaih) Ek Dafa Haram-E-Kaba'a Mein Baitullah Sey Taik Lagaey Tashreef Ferma They Keh Qalb-O-Zehen Mein Ilm-O-Irfan Ka Ek Samander Mo'ajzan Huwa Aur Fermaya Keh Aaj Mujh Sey Jo Bhi Mas'ala Puchogey Uska Jawab Quran Sey Doonga.

Ek Shakhs Hazir-E-Khidmat Huwa Aur Arz Kia ; "Hazrat Aap Ka Mazhab Hey Keh Haram Mein Jis Tarah Saanp Aur Bichhoo Ko Maar Saktey Hein Usi Tarah Bhirr Ko Bhi Mara Jasakta Hey Tau Aap Quran Pak Sey Saabit Karein Keh Bhirr Ko Bhi Haram Shareef Mein Mara Jasakta Hey? Aap (Reh. Alaih) Ney Fermaya Keh Kia Tum Ney Quran Nahi Parha Keh Jo Yeh Elaan Ker Raha Hey: Surah Hasher Aayet No. 7, Tarjuma: "AUR JO CHEEZ PAIGHAMBER TUMHEIN DEIN WO LAILO AUR JIS CHEES SEY ROKEIN, BAAZ AAJAO". Yeh Hey Na Quran Ki Aayet, Arz Kia Ji Haan, Tau Iss Aayet Mein Quran Bata Raha Hey Keh Rasool (S.A.W.) Ki Baat Mano, Tau Quran Key Hokum Key Mutabiq Zuroori Huwa Keh Ham Rasoolullah Sallal Laho Alaihe Wasallam Ki Baat Manein…Ab Rasoolullah (S.A.W.) Ney Irshaad Fermaya Keh; "MEREY BAAD ABU BAKER WA UMAR (Rizwanullah-E-Alaihim Ajmaeen) Ki Iqtida'a Kerna…Tau Quran Pak Sey Rasoolullah (S.A.W.) Ka Hukm Manna Waajib Huwa Aur Rasool-E-Pak (S.A.W.) Key Hukm Sey Hazraat-E-Shaikhain Yani Hazrat Abu Baker O Hazrat Umar (R.A.) Ka Hukm Manna Wajib Huwa; Aur Hazrat Umar (R.A.) Fermatey Hein Keh Haram Mein Zamboor Yani Bhirr Ko Mara Jasakta Hey Tau Ba-Waasta Quran Sey Yeh Hukm Saabit Hogaya.

FAEDAH:
Baaz Ahkaam Quran Pak Sey Bila Waasta Nikaltey Hein Aur Baaz Ba Waasta Hadees Nikeltey Hein Aur Baaz Ba Waasta Ijtehaad-O-Bayaan. Wo Tamam Ahkaam Qurani Samjhey Jaeingey Sirf Waasta Ya Bila Waasta Ka Ferq Hoga. Jo Log Hadees-O-Fiqah Ka Inkaar Kertey Hein Wo Der Haqeeqat Quran Ka Inkaar Kerna Chahtey Hein – Quran Ko Manney Key Liye Hadees-O-Fiqah Ko Manna Zuroori Hey.

Jo Log Khud Ko Ehley Quran Kehtey Hein Aur Hadees-O-Fiqah Ka Inkaar Kertey Hein Wo Der Haqeeqat Sadah Loh Awam Ko Quran Key Naam Per Quran Sey Door Kerkey Apney Mann Chahey Afkaar Logon Key Zehno Mein Utaarna Chahtey Hein Jabkeh Hadees-O-Fiqah Unhein Aisa Kerney Nahi Daiti.

Iss Sey Yeh Baat Bhi Saabit Hogai Keh Sahaba-E-Kiram Mein Sab Sey Bara Maqaam-O-Martaba Sayyadna Siddiq-E-Akbar (R.A.) Ka Aur Sayyadna Farooq-E-Azam, (R.A.) Ka Hey. Goya Tamam Sahaba-E-Kiram Mein ABU BAKAR O UMAR (R.A.) Ki Afzalyet Bhi Quran Sey Sabit Hogai, Jo Quran Ko Manta Hey Wo Inkey Maqaam Ko Bhi Manta Hey Aur Jo Inkey Maqam Ko Nahi Manta Wo Derasal Quran Ko Nahi Manta Aur Jo Quran Ko Na Maney Wo Deen-E-Islam Sey Kharij. ALLAH Pak Ham Sab Ko Apney Apney Girebano Mein Jhankney Ki Taufeeq Ta'a Ferma'ein, Kahein Aisa Na Ho Keh ABU BAKAR-O-UMAR Key Maqaam Ko Kam Kertey Huwey Kahein Be-Dheyani Mein Ham Deen-E-Islam Sey Hi Kharij Na Ho Ja'ein, ALLAH Ham Sab Ka Hami O Madadgar Ho. AAMEEN.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190373 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.