Ramzan Mein Kerney Key 4 Kaam

(Chiraghdeen, Karachi)

Ramzaan-Ul-Mubarak Ka Ba Barkat Mahina Shuroo Ho Chuka Hey; Dunya Bher Key Tamam Musalman Joke Iss Mah-E-Muqaddas Ka Shiddat Sey Intezaar Kertey Hein Takeh ALLAH PAK Ki Taraf Sey Honey Wali Rehmat-O-Maghferat Ki Barish Mein Ziadah Sey Ziadah Nahaker Her Qism Key Gunahon Sey Pak Hoja'ein Aur Phir ALLAH Pak Ki Raza Sey Saath Seedhey Jannat Mein Chaley Jaein.

Iss Mah-E-Muqaddas Mein Char (4) Kaam Aisey Hein Jinhein Apney Amal Mein Lana Bohot Hi Zuroori Hey, Char Mein Sey Dau (2) Aamal Tau ALLAH Pak Ki Raza Key Husool Key Liye Hein Jabkeh 2 Aamaal Khud Musalman Key Apney Faedey Key Hein, ALLAH Pak Ki Raza Ka Husool Bhi Apney Hi Faeydey Ki Cheez Hey.

Mo'azziz Qa're'een Kiraam, Aap Sab Jantey Hein Keh Mah-E-Ramzaan Mein Teen (3) Ashrey Hotey Hein, Pehla (Das Roza) REHMAT Ka, Doosra Ashra MAGHFERAT Ka Jabkeh Teesra Aur Aakhri Ashra JAHANNAM SEY NIJAAT Ka.

Jis Pehley Ashrey Mein Jahan Hamarey Ooper ALLAH Pak Ki Taraf Sey Rehmat Aani Thi Wahan Hamarey Ooper Sailaab Ki Soorat Mein Museebatein Aagaein Jiski Wajah Sirf Aur Sirf ALLAH (S.W.T.) Ki NARAAZGI Hey. Iss Waqt ALLAH Pak Dunya Bher Key Tamam Musalmano Aur Khas Ker Pakistan Key Musalmano Sey Bohot Naraaz Hein. Dunya Mein Jitney Qism Key Burey Kaam Horahey Hein Unka Tana Bana Aakhir Mein Musalamno Sey Hi Jaker Jurrta Hey, Ham Log Dunya Mein ALLAH Pak Key Naam Ki Sarbulandi Key Liye Bhejey Gaey They Magar Ham Dunya Ki Talab Mein Lag Gaey Aur Apney Haqeeqi Maqsad Ko Bhool Gaey, Mukhtalif Auqaat Mein ALLAH Pak Ney Hamein Jhinjhorra Keh Shayed Ham Wapas Apney Asal Maqsad Ki Taraf Aajaein Magar Besood Ham Aur Hi Ziadah Wahan Ki Beemari Mein Dhanstey Chaley Gaey Yani DUNYA Sey MOHABBAT Uar MAOT Sey Sey NAFRAT. Ham Maot Sey Dertey Hein Jabkeh Yeh Ek Khuli Haqeeqat Hey, Sab Ney Merna Hey Chahey Jehad Kertey Huwey Abdi Zindagi Maut Ki Shakal Mein Hasil Karo Ya Kisi Hospital Ya Gher Ki Charpai Per Sisak Sisak Ker Maot Ki Wadi Mein Uter Jao Ya Phir Nahaq Ek Doosrey Ko Qatal Kertey Huwey Jahannam Ki Andheri Mein Pohonch Jao?

Zalzala Bhi Ramzaan Key Pehley Ashrey Mein Hi Aaya Tha, Wo Pehli Tambeeh Thi…Magar Dhaak Key Teen Path, Kisi Ney Bhi Iss Tarah Na Socha Keh Yeh Rehmat Key Ashrey Mein Zehmat Kiyoon Aaee, Phir Inn Azabaat Sey Bachney Key Liye Musalamano Ko Ek Wazeefa Khowab Key Zerye Dia Gaya Keh Ziadah Sey Ziadah Balkeh Ab Qiamat Tak Rozana Namazon Mein Bhi Aur Namazon Key Alawah Bhi SURAH WASH-SHAMS Ki Tilawat Karey Takeh Inn Museebaton Sey Nijaat Hasil Hojaey, Magar Sirf Chand Din Iss Per Amal Kia Gaya Aur Phir Bhool Gaey; Yehi Wajah Hey Keh Aamaal Ko Chorney Per Ham Per Museebatein Aarahi Hein. Jab Iraq Per Hamla Huwa Tau Pakistan Ney Zalimon Ka Saath Dia, Phir Afghanistan Per Hamla Huwa Phir Bhi Zalimon Ka Saath Dia Aur Barey Mutmain Hogaey Keh Ham Tau Ittehadi Hein Ham Per Hamla Thoori Hoga? Lekin Dunya Ney Daikh Lia Keh Tumharey Saath Kia Huwa Aur Agar Ab Bhi Na Sudhrey Aur Apney ALLAH Ko Na-Raaz Rakha Aur Razi Na Kia Tau…………Her Cheez Ka Ikhtiar Tau Sirf Aur Sirf ALLAH Hi Key Paas Hey. Tum Agar Apney Musalman Bhaiyon Key Muqaabley Mein Ghair Muslimon Ki Madad Karogey Aur Usper Itraogey Bhi Tau Kia Tumhari Paker Na Hogi? Ittehadion Ki Madad Kertey Waqt Aur Apney Musalman Bhiyon Per Bomb Girwatey Waqt Tum ALLAH Ko Bhool Gaey They? Kia Pakistan Iss Liye Wujood Mein Aaya Tha Keh Dunya Key Musalmano Ki Madad Karo Ya Un Per Sitam Dhao? Islaam Key Qiley Ko Taut Um Ney Khud Apney Hathon Sey Dha Dia? Ab Kuchh Nahi Bigra Apney Rabb Ko Razi Kerlo, Insha ALLAH Baira Paar Hojaey Ga, Abhi Tau Rehmat, Maghferat Aur Jahannam Sey Aazadi Key Ashrey Baqi Hein, Sailaab Zadsgan Ki Ziadah Sey Ziadah Madad Karo Keh Yeh Khud Apni Madad Hey, Abhi Sailaab Ka Silsila Ruka Nahi Hey, Daihaton Sey Ab Yeh Shehron Ki Taraf Barh Raha Hey Agar ALLAH Pak RAAZI Na Huwey Tau Yeh Kahan Kahan Ja Sakta Hey Tum Soch Bhi Nahi Saktey, Karachi Key Aagey Tau Waisey Hi Samander Hey Panah Lainey Kahan Jaoge? Ek Paani Sey Bach Key Doosrey Pani Mein, Maot Yaqeeni Hey.

Dao (2) Kaam Jo ALLAH Ki Raza Hasil Kerney Ka Sabab Hein Wo Yeh Hein No. 1, Kasrat Sey Zikrullah Karein Yani,,, "LA ILAHA ILLALLAH" Yeh Tasbeeh Khoob Khoob Perhein, Doosri Tasbeeh "ASTAGH FIRULLAH" Uthteh, Baithtey, Chaltey Phirtey, Laitey Bethey, Safer Mein Hazer Mein, Dookaan Per, Bazaar Mein, Office Mein Ya Gher Mein, Masjid Mein Ya Masjid Key Baher Gherz Keh Her Waqt Aur Her Jah Yeh Dono Tasbeehat Her Waqt Parhein, Jesakeh Mein Ney Pehley Bhi Bataya Tha Keh ALLAH PAK KA ZIKR Kerney Key Liye Paki Napaki Ki Koi Shert Nahi Hey. Aap Her Waqt Aur Her Jagah ALLAH Ka Zikr Ker Saktey Hein.

Baqia Tau (2) Kaam Yeh Hein Keh Ziadah Sey Ziadah JANNAT KEY HUSOOL Ki Dua Mango Aur Ziadah Sey Ziadah Jahannam Sey Panah Ki Dua Mango.

Jab Aap Purey Ramzaan Mein Yeh Chaar Aamaal Ziadah Sey Ziadah Kareingey Tau Hamein Ummeed Rakhna Chahiye Keh ALLAH PAK Zuroor Bil Zuroor Ham Sey Raazi Hojaeingey Aur Rehmat Key Ashrey Mein Hamein Zehmat Sey Zuroor Bachaeingey…

Ek Aur Zurrori Baat Keh Jo Sabiq Sader Ney Ek Nara Lagaya Tha Keh Sab Sey Pehley Pakistan Jis Per Sab Ney Baghair Sochey Samjhey Labbaik Kaha Jiski Saza Tamam Musalmano Ney Utai Isliye Keh Sab Sey Pehley Pakistan Nahi Balkeh Sab Sey Pehley ISLAM Hey Aur Phir Media Keh Zeryeh Yeh Slogan Chalwaya Keh APNA KHAYAL RAKHI'YE? Astaghfirullah…Kaisa Khud Gherzi Ka Narah Hey, Keh Apna Khayal Rakho Baqi Jaey Bhaar Mein, Tobah Tobah, Musalmano Hosh Mein Aaoo, Yeh Sab Hamein Islam Sey Juda Kerney Ki Sazishein Hein, Sab Sey Pehley Islam Ka Narah Buland Karo Aur Logon Sey Karo Keh DOOSRON KA KHAYAL RAKHO Keh Yehi Ek Musalman Ka Shewa Hey, Khudgherzi Ka Sabaq Parhaney Key Bajaey Islami Ukhuwwat Ka Pahara Paerhao Keh Isi Mei Barai Aur Muslaman Ki Shan Hey, Apna Khyal Tau Sab Hi Rakhtey Hein Chahey Yaad Dilao Ya Na Yaad Dilao, Doosron Key Saath Mohabbat Paida Kerwaney Key Liye Kaha Jata Hey.

Ummedd Hey Keh Tamam Musalman Mah-E-Muqaddas Mein Na Sirf Yeh Keh ALLAH Pak Ko Razi Kerney Ki Koshish Kareinge Balkeh Apney Aamaal Ko Bhi Behter Bananey Aur Doosron Ko Bhi Iskey Barey Mein Bataeingey Takeh Hamarey Masail Hal Hoon Aur Ham Ek Achhi Aur Khushguwar Islami Zindagi Guzar Sakein Takeh Jannat Mein Janey Key Khoogar Hon Nah Keh Jahannam Key.

ALLAH Pak Amal Ki Taufeeq Ata'a Ferma'ein AAMEEN SUMMA AAMEEN.
 

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190509 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.