Muzaffer Garh Ki Siyasi Sortehal

(Kamran Qazi, Muzaffar Garh)

Zila Muzffar Garh Siyasi Aytbar K Lehaz Say Poray Pakistan Balky Pori Duniya Main Jana Jata Hai.Nawab Zada Nasrullah Khan Aur Ghulam Mustfa Kher K Naam Aaj Bhi Awano Main Gonjtay Hain. Muzaffar Garh Ki Mati Main Hi Koi Aisi Sifat Hai K Us Mati Say Mulki Siyasat K Azeem Spoot Janam Laytay Hain Lakin Kuch Arsa Say Ye Ilaka Apni Haqeqi Rahnmaai Say Door Ho Chuka Hai. Muzffer Garh Main Kuch Arsa Sy Chand Hi Khandan Hukmarni Ker Rahay Hain Jin Main Nawab, Kher, Doger, Quarshi Wagheara Shamill Hain In Khandano Nay Na Sirf Ghareeb Awam Ka Khon Choosa Balky Un K Haqooq Ko Ghasab Kiya Aur Un Ki Nookriyan Lakho Rupay Lay Ker Islamabad Main Farokht Ker Di Jo Wazeer Banay Unhon Nay Ilaky Ka Rukh Na Kiya Aur Jo Sirf Mna Banay To Wo Islamabad Main Ja Ker Roposh Ho Gaey Aur Phir Voto K Dino Main Hi Nazer Ayee. Jub Awam In Halaat Ko Daikh Ker Hosh Main Aai To Us Nay Tamam Nam Nahad Siyasat Dano Ko Mustarid Kiya Aur Aik Ghareeb Rahnma Jamshead Dasti Ko Rahnma Muntakhib Kiya. Lakin Jamshead Dasti K Aas Pass Rahnay Waly Logo Nay Un K Mna Ban Nay Ka Khob Faida Uthaya Aur Khob correption Ki Jo Awam K Liye Nafrat Ka Bais Banchuki Hai Muzafer Ki Awam Jamshead Dasti Per Jan NiChawer Karti Hai Mager Un K Sathiyon Say Khatra Mahsoos Karti Hai Yeni K Wo Bhi Awam K Tawaoqat Per Pora Uterny Say Qasir Hain Ub Mojooda Awam Aik Naye Maseeha Ki Talash Main Hai Jo Un Ki Mahroomion Ka Azala Ker Sakien.

kamran qazi
About the Author: kamran qazi Read More Articles by kamran qazi: 3 Articles with 3548 views i write articles .. View More