Zikr-e-Elahi

(Chiraghdeen, Karachi)

Aap Ney Aksar Jaghon Per Likha Huwa Dekha Hoga Keh Faltoo Baat Kerney Sey Behter Hey Keh Khamosh Rahein, Aur Khamosh Rehney Sey Behter Hey Keh Zikr-E-Elahi Karein Aur Sab Sey Behter Zikr Kalma-E-Tayyaba Hey. Beshak, LA ILAHA ILLALLAH Sab Sey Behter Zikr Hey, Ek Dafa Hazrat Moosa Alehissalam Ney ALLAH Tabarak Wa Ta’ala Sey Arz Kia Keh Ya ALLAH Aap Mujhey Koi Aisa Kalma Bataein Jiska Mein Rozana Wird Kia Karoon Tau ALLAH PAK Ne Fermaya Keh “LA ILAHA ILLALLAH” Parha Karo, Tau Hazrat Moosa (A.S.) Ne Fermaya Keh Ya ALLAH Yeh Kalma Tau Sab Parhtey Hein, Mujhey Koi Khas Kalma Bataeyey, Tau ALLAH Pak Ney Fermaya Keh Ey Moosa (A.S.) Yehi Sab Sey Khas Kalma Hey. Chunacha Hamein Bhi Chaheye Keh Ham Ziadah Sey Ziadah Iss Kalmey Ka Wird Kia Karein.

Kuchh Aur Muntakhab Ahadees K Ma’akhaz Zail Mein Bayan Kiye Jarahey Hein Takeh Ham Musalman Ziadah Sey Ziadah Inn Aamaal Ko Ikhtiar Kerkey Ziadah Sey Ziadah Ajro Sawab Hasil Kerkey Jannat Mein Apney Liye Na Sirf Jagah Banaein Balkeh Hmarey Darjaat Bhi Ziadah Buland Hon:

Mukhtasar Waqt Mein Bohot Hi Chhotey Sey Amal Per Be-Inteha Ajr-O-Sawab Jiska Koi Thikana Nahi. Bohot Sey Logon Ko Ilm Hey Magar Nahi Kertey Jabkeh Ziadah Logon Ko Ilm Nahi, Agar Ilm Hojaey Tau Yaqeenan Ziadah Sey Ziadah Amal Kerney Ki Koshish Karein.

Zikr-E-Elahi, Jokeh Her Musalman, Mard O Aurat, Aqil Aur Baligh Per Farz Hey. Her Ibadat Apney Apney Waqt Per ALLAH Tabrak Wa Ta’ala Ka Zikr Hey. Namaz K Waqt Namaz Zikr Hey, Rozey K Waqt Roza Zikr Hey, Zakaat, Hajj Aur Kalma-E-Tayyaba K Waqt, Yehi Zikr Hein.

Jo Musalman Rozana Subh K Waqt Aur Raat K Waqt 100 Martaba SUBHANALLAH Kahey Ga Tau Uske Nama-E-Aamaal Mein Rozana 100 Hajj Kerney Ka Sawab Likha Jaeyga, 100 Martaba ALHAMDULILLAH Kehney Per 100 Ghorey Maey Harbi Samaan ALLAH Pak Ki Raah Mein Sadqah Kerney Ka Sawab, 100 Mertaba ALLAH-U-AKBAR Kehney Per 100 Oont (Camel) ALLAH Pak Ki Raah Mein Qurban Kerney Ka Sawab Hey (As Per Hadees) ALLAH Pak Iss Sey Bhi Ziadah Deney Per Qadir Hein. Isi Tarah 100 Dafa LA ILAHA ILLALLAH, 100 Dafa ASTAGHFIRULLAH, 100 Dafa Mukhtasar Tareen Durood; SALLAL LAHU ALAIHE WASALLAM, Inkey Ada Kerney Per Bhi Bhari Ajro Sawab Hey. (Subh Ka Waqt Sub-He-Sadiq Sey Shuroo Hoker Zawal Sey Qabl Tak Jabkeh Sham Ka Waqt Baad Namaz Asr Ta Nisf Raat Tak Ya Yeh Keh Lain Keh Raat 12 Bajey Tak).

Zikr Kerney Ka Koi Waqt Muqarrar Nahi, Jab Aapka Ji Chahey, Aap Zikr Karein, Raat Ko Din Ko Ya Kisi Bhi Waqt, Her Halat Mein Zikr Ki Ijazat Hey, Chahey Aap Ba Wuzoo Hon Ya Be Wuzoo, Pak Hon Ya Napak, Khawateen Apney Makhsoos Ayyam Mein Hon Ya Bachey Ki Wiladat K Baad K Napak Dino Mein, Kharey Hoker Zikr Karen Ya Beth Ker Ya Lait Ker, Ghar Mein, Kaam Per, Safer Mein Hazer Mein, Yani Koi Pabandi Nahi, Jin Auqaat Mein Namaz Parhna Mana Hey Jaisey Tuloo Ya Ghuroob Aftaab K Waqt Aur Zawal K Waqt Tau Inn Auqaat Mein Bhi Zikr Kia Jasakta Hey, Baad Namaz Asr Ta Maghrib Nafil Namaz Perhna Mana Hey Magar Zikr Per Koi Pabandi Nahi, 100 Dafa SubhanALLAH Kehney Mein 2~4 Minutes Kharch Hotey Hein Magar Sawab Itna Bhari K Kia Kehne, Ummed Hey Keh Ab Tau Her Musalman Ko Iska Mamool Bana Lena Chaheye Aur Doosrey Musalmano Ko Bhi Iskey Faedey Bata Ker Unhein Bhi Iski Talqeen Kerna Chaheye Aur Apney Ghar K Logon Ko Bhi Iska Paband Banana Chaheye.

Isi Tarah Zikr-E-Fatmi, Yani 33 Martaba SubhanALLAH, 33 Mertaba Alhamdulillah, Aur 34 Martaba ALLAHu Akbar, Her Namaz K Baad Aur Raat Ko Soney Se Qabl, Iska Bhi Bohot Ajro Sawab Hey.

Insaan K Jism Mein 360 Jorr Hotey Hein Aur Her Jorr Ka Ek Sadqah Hota Hey Jo Rozana Dena Hota Hey, Sadqey Sey Logon K Zehen Mein Sirf Paisa Ataa Hey Jabkeh, Ek Dafa SubhanALLAH Kehna Bhi Ek Sadqah Hey, Jab Aap Ziadah Se Ziadah Dafa Zikr Kerney Waley Ban Jaeinge Tau Aapka Rozana Ka Sadqah Bhi Iss Sey Ada Hojaeyga.

Yeh Tau Aap Ko Maloom Hi Hey Keh Ek Dafa SubhanALLAH Kehney Sey Jannat Mein Ek Darakht Laga Dia Jata Hey Jiska Saya Itna Bara Hota Hey Keh Agar Arbi Nasal Ka Ghora 500 Baras Uskey Saey Mein Daurrey Tau Uska Saya Khatam Na Ho?

Aamaal Chhotey Chhotey Hein Magar Faedey Bohot Barrey Barrey.
ALLAH Pak Ham Sabko Inper Ziadah Sey Ziadah Amal Kerney Ki Taufeeq Ata’a Fermaey, Aameen.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190278 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.