Firqoo Ki Haqeeqat

(Ahmer Jameel, Karachi)

As Salam Walikum All,

(Note: May Quran Ki Ayatoo Ka Matllab Likh Raha Hoon Word To Word Nahi Hai Agaar Kisi Ko Aytaraaz Hoo Tu Mujh Ko Mrhnaat Karni Paray Gi Per May Aap Ko Quran Say Ayat No Kay Saath Hawala Day Doo Ga Mukhtasir Meri Baat Pori Parhnay Kay Baad Jo Ghalat Lagay Wo Bataay.).

Aaj Hum Muslmanoo May Kafi Firqay Hain Aur Wajha Sirf Itni Hai Kay Hum Logo May Maloomat Ki Kami Hai. Jis Ko Dekhoo Quran Aur Hadith Say Apnay Aap Ko Sahi Saabit Karwanay Per Tulaa Betha Hai Aur Hum Souchtay Hain Kay Ye Sahi Hongay Ya Aur Kabhi Wo Sahi Hongaay. Bahtreen Tareeka Hai Kay Hum Khud Hi Islam Ki Maloomat Karaay Tu Kafi Haqeeqat Khul Jay Gi. Quran Kay Apnay Alfaaz Hain Kay Ye Utara Giya Hai Un Kay Liya Jo Naseehat Hasil Karaay. Ek Jaga Per Hai Kay Ye Kitaab Sarasaar Hidayaat Hai Un Kay Liye Jo Parhaazgar Hain. ALLAH(S.W.T) Hum Logo Ko Sahi Rasta Dekhay Ameen.

Aisay Kai Jaghaoo Per Likha Hai Quran May Kay Jis Nay Is Kitaab Ko Choor Kar Dosri Kitaabo Say Hidayaat Hasil Karnay Ki Kohsish Ki Wo Saab Khasaaray May Hai.

1, Tu Pehla Nazariya Yahi Hona Chahiya Kay Hum Har Cheez Ko Quran May Dekhay Aur Quran Ko Sahi Samjhna Hai Tu Hadiths Ka MutALLAH Karaaen.

Dosri Khaas Baat Jo Quran May Aai Hai Wo Hai Kay Muslmanoo Apass May Ek Hokay Rahoo Apaas May Firqay Maat Banao Ek Aur Jaga Per Hai Kay Tum Yahood Nisara Ki Tarha Choti Choti Batoo Per Larna Jagarna Mat Warna Tum Bhi Un Ki Tarha Barbaad Hojaoo Gaay. Aur Ya Ayaat Tu Bohat Hi Mashoor Hai Kay Aay Logo ALLAH(S.W.T) Ki Rasi Ko Mazbooti Say Thamloo. Ek Aur Ayaat Hai Jis May Samjhaya Gaya Tha Kay Wo Tum Say Kahaay Gaay Kay Wo 4 Thay Aur Kuch Kahay Gaay Wo 5 Thay Keh Do Kay Ginti Tu ALLAH(S.W.T) Hi Janta Hai Tum Ko Sirf Baat Samjhni Chahiya Kiya Kaha Ja Raha Hai. (Is Ayaat Ko May Baad May Sahi Lafzoo Kay Saath Likhoo Ga. Apnay Andaaz May Mukumal Likhi Hai).

Asaal Cheez Hai ALLAH (S.W.T) Ka Farmaan Ko Pora Karna Usko Samjhna. Aab Bataaye Mujh Ko Konsa Firqa Sahi Hai ?
Aab Ek Aur Baat Jo Aaj Tak Sawaal Hai Mayray Zahaan May Aur Aap Saab Say Pouchta Hoon.

Kay Hamaray Darmiyaan Jo Masllay Hain Kiya Un Masloo Ko Qabar, Hashar Ya Qiyamaat Kay Roz Hum Say Poucha Jaay Ga?

Jaisay Nabi Kareem (S.A.A.S) Noor Thay Kay Nahi ?
Wo Gaib Ka Ilim Jantay Thay Kay Nahi ?

Is Kisim Ki Baat Karnay Say Kiya Hamara Martaba Bulland Hojay Ga? Ya Qiyamaat May Baghir Hissab Kitaab ALLAH(S.W.T) Hum Say Razi Hojaay Ga?

May Phir Kahoo Ga Kay Quran Aur Hadith Ka MutALLAH Karaayen Us Point Ko Note Karayen Jo Qiyamaat Kay Roz Qabar May Ya Hashar May Hoga. ALLAH(S.W.T) Hum Saab Ko Hidayaat Daay Ameen.

Aur Aap Saab Say Durkhowaast Hai Apnay Aap Ko Sirf Muslman Kahaay. Quran Aur Hadiths Ko Parhayen Nabi Kareem (S.A.W.S) Kay Baad Koi Nabi Nahi Hai Tu Sirf Muhammad(S.A.A.S) Ki Hi Baat Ko Mannay Hosakay Tu Akhri Khutba Muhammad(S.A.A.S) Ka Zaroor Parhay.