Saffar Shumaal Kay(Episode 94)

(hukhan, karachi)

Wodden Hut Mein Baithay Or Laitay Huay Har Karwat Per Humaree Aahh ,Ouee Ba Asaani Nikal Rahee Thee Nanghaparbat Hum Sey Bhut Naraaz Tha Hum Kici Khas Tyaree Kay Bina Hee Uss Ki Qadambosi Ko Pohanch Gaye Thay Pehlay Hum Fairy Fairy Kar Rahay Thay Ubh Humaree Ahh Aah Oi Oi Nikal Rahee Thee Painkiller Bee Kaam Nahi Kar Rahee Thee ,,Ufff Ye Dard Kitna Zayda Hay,,,Ubh Ahh Oi Ka Kia Faida Hay.Hum Sab Nay 2 ,,,2 Golian Khaien Thee Jabh Kay Kalim Ko 3 Bee Asar Nahi Kar Rahee Thein Kalim Ki Complain Sun Lainay Kay Baad Navid Nay Kaha Yaar Golian Expire Tu Nahi Fer Repour Parnay Kay Baad Kaha Yaar Tablets Tu Expire Nahi Magar Sath Hi Likha Hua Hay,,Only For Human Use,,,,,Kalim Tujh Par Asar Nahi Huna Am Sorry,,,Kalim Nay Kaha Abhi Uth Nahi Sakta 3 Ghantay Baad Pochun Ga .Hum Base Camp Pohanch Tu Gaye Thay Magar Chand Biscuit Or Pani Nay Kuch Zayda Energy Nahi Dee German Climbers Ki Qabrein Dekhnay Kay Baad Hum Fatiha Tu Par Nahi Saktay Thay Magar Hum Nay Socha Kay Ye Hum Say Puranay Nangha Parbat Kay Ashiq Hein Hum Nay Un Kay Eshq Ko Salaam Kia,,,,Tumharee Muhbat Ko Salaam Ajh Bee Nanghaparbat Kay Qadmon Mein Sotay Hu Tum Kia Logh Hu Tum,,,,,Hum Pohanch Tu Gaye Magar Ubh Wapsee Bee Zarori Thee Wo Bee Andhera Hunay Sey Pehlay Nanghaparbat Kay Khufnaak Glacier Kay Pass Janay Ki Himat Na Hui Iss Time Ye Glacier Ek Haseena Ki Tra Tha Jis Ka Bahi Koi Boxer Hu.Mehboob Nay Kah Dia Tha Kay Jaldi Wapis Hu Laina Koi Janwar Na Takar Jaye Magar Kalim Kay Hutay Huay Kici Janwar Ki Himat Naa Hui Kay Humara Rasta Kat Deta Balkay Nanghaparbat Kay Basee Khud Heraan Thay Kay Ye Konsee Makhlooq Yahan Aa Nikli Wo Khud Dabak Kay Apnay Thekanay Se Nahi Niklay.Raastay Mein Hum Thak Haar Kay Baith Gaye Qunkay Wapsi Mein Dehlaan Kam Or Ounchaiee Zayda Thee.Navid Nay Ek Kay Baad Dosri Gold Leaf Jala Li Sohail Nay Kaha ,,Cigret Peetay Khud Ko John Tarvolta Samjhta Hay Jabh Kay Uss Kay Jutay Mein Ye Paon Phella Kay So Sakta Hay Fer Bee Juta Bara Rahay Ga.(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197755 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.