Saffar Shumaal Kay(Episode 93)

(hukhan, karachi)

Shaam Hu Chuki Thee Jisam Mein Mojudh Humara Masoom Sa Dil Kici Corruption Kay Ilzaam Mein Pakray Gaye Politiciankay Dil Ki Tra Tez Tez Dahrak Raha Tha Abhi German Climbers Ki Akhree Araam Gahein Dekh Kar Wapsi Ka Safar Tha Magar Ubh Wapsee Mein Dehlaan Kam Thee Or Oper Ki Janib Safar Zayda Tha Garmee Ki Shidat Bahut Kam Hu Gai Thee Nangha Parbat Sey Hum Dour Hutay Jaa Rahay Thay Mehboob Kay Hathun Ki Chai Yaad Aa Rahee Thee Humein Yaqeen Tha Kalim Ki Waja Say Kici Janwar Ki Humara Rasta Katnay Ki Himat Nahi Hui Thee Balkay Baqol Sohail Sab Nanghaparbat Kay Basee Khud Heraan Thay Kay Ye Konsee Makhlooq Yahan Aa Gai .Humara Jisam Humein Baree Baree Or Buree Buree Gaalian Dey Raha Tha Kay Itni Kamzoor Emaarat Par Hum Nay Bahut Boojh Daal Dia Tha Kalim Or Navid Bee Apni Bardassht Kay Akhree Marhalay Mein Thay Sohail Ko Pora Yaqeen Tha Hum Nay Uss Say Kici Khaas Baat Ka Badla Lia Hay Magar Chunkay Hum Nay Uss Kay Bachon Ko Kahaanian Sunani Thein Uss Nay Humein Maaf Kar Dia Tha.Base Camp Adventure Sey Bharpoor Tha Base Camp Kaa Raasta Itna Khatarnaak Ya Jaan Lewa Nahi Tha Jitna Hum Nay Soch Rakha Tha Han Magar Mushkil Zaror Tha Aap Ka Dehaan Apnay Paon Par Rehta Tha Werna Paon Hee Nahi Rehta Or Paon Kay Sath Hum Bee Gumshuda Hu Saktay Thay Magar Bala Ki Fitness Chaiyee Thee Khas Kar Jabh Aap Nay Base Camp Par Raat Naa Guzaarni Hu Qun Kay Thoray Se Araam Or Base Camp Ki Yaatra Kay Baad Aap Ko Ultay Qadmon Wapis Huna Huta Hay ,,,,Hum Nay Bharpoor Dhooop Mein Base Camp Ka Nazara Kia Magar Glacier Kay Paas Janay Ki Himat Na Kar Sakay Uss Ki Haibaat Naak Awazein Hee Hum Jasay Ashiq Ko Dara Denay Kay Liye Kafi Thay Asa Hi Tha Jasay Aap Ko Kici Larki Sey Yaktarfa Muhabat Hu Jaye Or Uss Ka Bahi Boxer Hu Baat Aap Ki Samajh Mein Aa Gai Hu Gi Qun Kay Koi Nangha Parbat Kaa Ashiq Hu Na Hu Magar Ashiq Zaror Huta Hay.Navid Nay Baithay Huay 2 Gold Leaf Pharka Diye ,,Kalim Nay Kaha Iss Ki Jaan Dekhu Or Badmashi Dekhu Cigret Peetay Huay Khud Ko John Travolta Samajhta Hay Jabh Kay Ye Uss Kay Jutay Mein Pori Raat Paon Phela Kay So Sakta Hay(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197573 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.