Nishaan-e-Imtiaz

(Chiraghdeen, Karachi)

Ek Dafaa Hazrat Aayesha Siddeeqah (RazeALLAHu Anha.) Jo Keh Tamaam Musalmano Ki Roohani Maan Hein (Yani Rasool-E-Pak; Sallalahu Alaihe Wasallam Ki Jitni Bhi Azwaaj-E-Mutahiraat Hein Wo Sab Ham Musalmano Ki Roohani Ma'ain Hein) Ne ALLAH Key Nabi (S.A.W.) Sey Deryaaft Fermaya Keh Ya RasoolALLAH (S.A.W.) Kia Koi Shakhs Aisa Bhi Hey Keh Jiski Naikian Sitaron Key Barabar Hoon? (Choonkeh Sitarey Tadaad Key Lehaz Sey Bohot Hi Ziadah Hein Jinkey Shumaar Ka Ehata Kerna Mushkil Hi Nahi Balkeh Na Mumkin Hey, Tau Yehi Soch Ker Hazrat Aayesha, (Siddeeqa, Sahabia, Afeefa) R.A. Ney Rasool-E-Pak (S.A.W.) Sey Yeh Baat Puchhi Thi. Iss Sawaal Key Jawab Mein Rasool-E-Pak, Hazrat Muhammad Mustafa, Ahmad-E-Mujtaba (S.A.W.) Fermaya Keh Haan Hein Aur Wo Hazrat Umar-E-Farooq (R.A.) Hein. Yeh Jawaab Sun Ker Hazrat Aayesha Siddeeqah (R.A.) Khamosh Ho Gaein. Rasool-E-Pak (S.A.W.) Samajh Gaey Aur Deryaaft Fermaya Keh Khamosh Kion Ho Gaeen, Tau Hazrat Aayesha (R.A.) Ne Jawab Dia Keh Mein Samjhi Thi Keh Aap Merey Abba (Hazrat Abu Baker Siddeeq – R. A.) Ka Naam Lainge? Jisper Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ne Irshaad Fermaya Keh Tumharey Abba Ne Jo 3 Ratain Mere Saath Ghar-E-Sor Mein Guzari Hein (Makkah Mukarramah Se Madinah Munawwarah Ki Taraf Hijrat Ke Moqeh Per) Unmein Ki Her Ek Raat Itni Fazeelaton Wali Hey Aur Uska Itna Maqaam O Martaba Hey Aur Uskey Badley Mein Itna Sawab Aur Naikian Hein Keh Jo Hazrat Umar-E-Farooq (R.A.) Ki Saari Zindagai Ki Ibadaton Aur Nekiyon Sey Bhi Ziadah Hey, Baqi Doosrey Aamaal Iss Key Alawa Hein. Yeh Jawab Sun Ker Hazrat Aayesha (R.A.) Ka Chhehra Khooshi Sey Khil Uttha.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190984 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.