Kaash Aisa Hojaey - 2

(Chiraghdeen, Karachi)

Hazrat Umar-E-Farooq (R.A.) Ek Dafa Raat K Waqt Ek Muhelley Sey Guzar Rahe They Tau Ek Ghar Sey Dau Maan Beti Ki Batein Kerney Ki Awaaz Aarahi Thi…Maan Beti Sey Keh Rahi Thi Keh Beta Doodh Mein Thora Pani Milalo Doodh Ziadah Ho Jaey Ga Aur Jab Subah Farokht Karein Gey Tau Paisey Ziadah Mil Jaeyn Ge. Beti Ne Jawab Dia Keh Amman, Aapko Pata Hey Na Keh Ameerul Momeneen Ne Iss Tarah Ka Kaam Kerney Sey Mana Farmaya Hey Tau Mein Yeh Kaam Kion Karoon? Maan Ney Beti Sey Kaha Keh Ameerul Momeneen Tau Iss Waqt Dekh Nahi Rahey? Beti Ne Jawab Dia Beshak Ameerul Momeneen Iss Waqt Hamein Nahi Dekh Rahe Magar ALLAH Pak Tau Hamein Dekh Rahey Hein…Ham Kaisey Yeh Gunah Ker Saktey Hein?

Jab Amirul Momineem Ney Maan Beti Ke Dermian Yeh Makalma Suna Tau Beti Ki Eemandari And Khof-E-Khuda Ka Haal Sunker Bohot Khush Huwe Aur Agley Roz Apney Betey Ke Liye Us Lakri Ka Rishta Us Aurat K Ghar Bhijwadia.

Note: Waqt Ki Ehem Tareen Zuroorat Hamrey Mulk Mein Bhi Khilaafat Ka Nizaam Hey? Kaash Hamarey Hukumran Bhi Apne Aap Ko Riaya Ka Khadim Samjhein Na Keh Hakim?
 

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190986 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.