Kaash Aisa Hojaey - 1

(Chiraghdeen, Karachi)

Hazrat Umar Bin Khattab, Raze ALLAHu Ta'ala Anhu, Ek Jalilul Qadr Sahabi Hein. Jinka Shumar Khulfaey Rashida Mein Doosra He, Aap (R.A.) Pehley Khalifa Hazrat Abu Bakar Siddiq (R.A.) Ke Baad Khalifa Muqarrar Huwey. Aap Ki Khilafat Zamana Bhi Charon Khulfaey Rashida Mein Sab Sey Ziadah Hey Aur Apke Daur Mein Lakhon Murabba Mile Ka Ilaqa Islami Saltanat Mein Shamil Huwa Tha. Baitul Muqaddas Aap Hi Ke Daur Mein Fatah Huwa Jo Yahoodion Ne Baghair Kisi Larrai Ke Hazrat Umar-E-Farooq (R.A.) Ke Hawale Kerdia Tha.

Aap (R.A.) Ki Aadat-E-Mubarka Thi Keh Raton Ko Apni Riaya Ki Dekh Bhaal K Liye Khud Jaya Kerte They. Ek Roz Hasb-E-Mamool Aap Ek Khadim K Hamrah Raat K Waqt Abadi Se Nikal Ker Jangle Ki Taraf Chaley Gaey. Dekha Keh Aag Jal Rahi Hey…Samjhey Keh Koi Qafla Hoga Jo Raat Honey K Sabab Jungle Mein Parao Daley Huwe Hey Subh K Intezaar Mein, Thora Aage Gaey Tau Dekha Keh Ek Aurat Bethi Hey Aur Chulhey Mein Aag Jal Rahi Hey Us Per Ek Handi Hey Aur Pass Hi Uske Bachchey Letey Huwe Ro Rahey Hein. Aurat Se Ijazat Leker Aage Barhe Aur Pucha Keh Wo Kon Hey Aur Bachchey Kion Ro Rahe Hein Aur Degchi Mein Kia Hey. Tau Us Aurat Ne Kaha Keh Bchchey Bhook Sey Ro Rahey Hein, Degchi Mein Pani Hey Jo Bachchon Ko Behlaney Ke Waste Chulhey Per Charha Rakha Hey Keh Wo Khana Pakney Ka Intezaar Karain Aur Bas So Ja Ain. Ab Tau Mera Aur Ameerul Momeneen Ka Mamala ALLAH Ke Han Hi Hoga? Hazrat Umar (R.A.) Ne Us Aurat Sey Kaha Keh Ameerul Momeneen Ko Tumharey Halaat Ki Kia Khabar…Aurat Ne Jawab Dia Wo Hamarey Ameer Hein Unka Farz Hey Keh Hamari Khabargiri Karain, Yeh Jawab Sun Ker Janab Umar-E-Farooq (R.A.) Roney Lage Aur Khadim Ko Lekar Wapas Aye, Baitul Maal Sey Ek Bori Mein Kuchh Aata, Charbi Aur Khajoorein Leker Us Bori Mein Khoob Achchi Tarah Bhareen Aur Khadim Se Kaha Keh Yeh Bori Meri Kamar Par Rakh Dey. Khadim Ko Ta'ammul Huwa Aur Arz Ki; Ya Ameerul Momeneen Mein Ley Chalta Hoon, Farmaya Nahi, Meri Kamar Per Rakh Dey, Teen Dafa Dono Key Darmiyan Yehi Makalma Huwa Phir Hazrat Ney Farmaya Keh Kia Qiamat K Roz Bhi Tu He Mera Bojh Uthaey Ga? Chunacha Khadim Ney Woh Bori Aap (R.A) Ki Kamar Per Rakh Di Aur Dono Jaldi Jaldi Chal Ker Us Jagah Phonch Gaey. Hazrat Ne Khud Hi Us Garam Pani Mein Kuchh Aata, Charbi Aur Khajoorein Dalein Aur Usmein Chamcha Hilana Shuroo Kia…Aag Taiz Kerney K Liye Khud Hi Poonkein Bhi Marein Keh Aap (R.A.) Ki Darrhi Mubarak Sey Dhuwan Saaf Nikalta Huwa Nazar Aya. Jab Harira Tayyar Hogaya Tau Apney Hath Sey Plate Mein Nikaal Ker Bachchon Ko Khilaya Aur Thoori Deir Wahan Beth Ker Bachchon Ko Hansta Muskurata Dekha…Wo Aurat Kehney Lagi Keh Tum Hi Is Ke Mustahiq They Keh Khaleefa Banaey Jatey Nakeh Umar? Us Waqt Bhi Aap Ne Us Aurat Ko Yeh Na Bataya Keh Mein Hi Khalifa Hoon Balkeh Iske Jawab Mein Hazrat Umar (R.A.) Ne Farmaya Jab Tum Khalifa Ke Paas Aaogi Tau Mujhey Bhi Wahein Paogi.

Note: Waqt Ki Ehem Tareen Zuroorat Hamrey Mulk Mein Bhi Khilaafat Ka Nizaam Hey? Kaash Hamarey Hukumran Bhi Apne Aap Ko Riaya Ka Khadim Samjhein Na Keh Hakim?

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190981 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.