Koi Firqa Nahi, Hum Sub Musalman [Part 2]

(Sufyan Shaikh, karachi)

Quran Aur Hadees Key Daire MeyIslam Mukamil Din Hain Jis ke Daleel Yeh Hain (Surey Maida Aayat No # 3)Tarjuma:- Aaj Maine Tumhara Din Kaamil Kerdiya aur tum per apni Neymat PuriKerdi aur Maine Islam kou tumhara Din Pasand Kiya Hain

Allaha Talaha ney yeh aayat nazil farma kar Islam ke mukamil hone ke mohar Lagadi. Esko koi musalman inkar nahi ker sakhta, Lehaza es aayat-e-kareemake moujudgi mey kisi musalman ummati kou hargiz yeh haq nahi ke Islam mey koi Nai chiz dakil kare yaa koi chiz kharij kare yaa kisi chiz ke kaami samajh kar ezafa kare Agar koi ummati Islam mey es kisam ke dakhal andazi karega tou Nouzbilla es aayate karema ka inkari hoga aur zara souchiye asie inkari logo ka Qayamat ke din Kya Hashar hoga?

Allaha ne Quran mey Farmaya hain (Surey: Altagabeen Aayat No # 12)Tarjuma:- Etaat karo Allah ke aur etaat karo Rasool (PBUH) Ke
Hadees:- Ershad-e-nabawi hain Musa (PBUH) ke Ummat mey 72 Firqey theayMere Baad meri Ummat mey 73 Firqey Houngey jin mey say 72 Firqey Jahanumi Houngey aur Ek Firqa Jaanati hoga, tou Sahaba (R.A) ney Dariyafat kiyaYaa Rasool Allaha woh kaunsa Firqa hoga?
Aap ne farmaya jis raha per mey hou aur mere sahaba. eske bawajud agar koi shaksh Rasool Allah ke Tareeqey kou chor kar kisi aur ke tareeqey kou tarji deta hain aur es per aamal karta hain tou woh kis muqam kou hasil kerta hain aap kudh faisla karey ?

Umeed hain ke Quran aur hadees per Aamal kerna koi naya firqa yaa naya mazhab nahi hain yehi aamal shru sey tha aur insha allaha Qayamat tak rahega.Aab aaiye Hadees ke Nisbat kuch Ghour kerte hain Hadees-e-Mubarak ka Majmua Rasool Allaha ke Dour mey bhi moujud tha aur eske baad khulfa-e-rasheedin aur Sahaba (R.A) ke pass muntaqil hota raha Kisi ney Likh liya tou kisi zabani yaad kerliya agar yeh naa hota tou Quran-e-azeem aur Hadees-e-rasool per aamal kerna naa mumkin tha.

Eske Baad Doasri Saadi Hijri mey Aaima Arba aur Muhadeesin ney Mazeed Hadeeso kou Jama kerke Hadees ke Kitabe likhi hain jis kou saarey Aalam ke Ulma-e-karam Khas-o-aam es ke tasdeek kerte hain aur essey mutafiq hain Doasri aur teesri Saadi ka Dour Aaima aur Muhadiseen ka raha Es waqt agarkoi masla darpesh aata tou log Aaima ke rai leyte theay, tou woh log Quran aur Hadees sey apni rai pesh waa khayas pesh kerte huwe khofe-e-khudawandi aur Taqwe ke Bina par Saaf Irshad bhi farmate theay key Agar unke Rai Quran aur Hadees ke Khilaf hou tou essey chode dou aur Quran aur hadees kou apna lou,
es lehaz sey sub ke sub Ulma aur sub Musalman Quran aur Hadees per hi Aamal kerte theay, Charo Imamo ney Aachi aur Saachi Baatein HI kahi hain Enke Khol Kabil-E-ehtaram hain, aur kisi bhi Imam ney apni Taqleed aur Firqa Bandi ke liye Nahi farmaya aur kisi ney khub kaha hai Agar hou Muqalid tou Aamal ker ke Baatao Bante hou Wafadar
tou Chouti Saadi Say Taqleed Shakshi Ke Ebteda hui magar Nisbat-e-aaminake naamo ke firqo ka Wajod Aamal mey naa aaya Phir bhi yeh Tasleem kerna hogake Chouwthi saadi mey bhi es Nisbat-e-aaima ka Naam Manzar aam per Naa tha.
Fiqa ke Paheli Kitab Khaduri 428 Hijri mey Likhi Gai es ke baad aur kitabe likhi Estarha Kitab Fiqa ke Tadween Paachivi (5) saadi sey hui aur ek baad yaad rakheke Tadween-e-hadees shru sey hi hain.
Chothi(4) Saadi sey Chatvi (6) saadi tak Taqleed Taqleed Ka Silsila Jaari raha Jab es ke raftar Roz-ba-Roz Badhti gai Yaha tak key 665 Hijri mey Saalatin ke Jaanib sey Aksar Muqamat per Firqa Bandi ke saath Nisbat-e-aaima waa Mazahib Hanfi, Shafai, Maliki, Hambali Char Qazi Muqarar huwe lehaza saathwi saadi sey En Naamo ke Nisbat Manzar-e-aam per aai.

aur Taqleed Shaksi ka Aaghaz huwa,Yeh Naye firqe aur Mazahibo kou es Tarha Islam mey Dakhil kiya gaya, Ghour karne ke Ek Khas baath yeh hain key (7) Saathivi Saadi mey Ek Islam ke Char Hissey Ker kay Ek Ek hissey kou ek ek imam ke taraf nisbat ker ke muqalideen-e-aaimaney eqtiyaar ker liya.
yeh kis khader naa insafi ke baath hain aap hi bataiye?
Acchi tarha yaad rakho ke Aakhirat ke Paheli Manzil Kabr hain jissey Aakhiratke Imtihan ka Pahela percha Kehna Bey jaa naa hoga Allah Talaha ke Taraf sey Teen Saawalat Kiye jayeange jin mey hergiz yeh naa puccha jayega ke Tera Mazhab Kiss Imam ka hain?
Aur Tera Imam kaun hain balki Teen Saawalat wohi hounge jo Allaha ke Rasool (Pbuh) ney Batlaya hain aur woh yeh hain
Questions Answers
1. Tera Rub kaun hain? ------------ Mera Rub ALLAH Hain
2. Tera Din kya hain? ------------- Mera Din Islam Hain
3. Tere Nabi Kaun hain? ------------Mere Nabi Mohammed (pbuh) Hain(

[Continue ]
 

Sufyna Xhaikh
About the Author: Sufyna Xhaikh Read More Articles by Sufyna Xhaikh: 6 Articles with 10298 views My concern is with MQM
And the MQM is a very good movement

And there is no communal
I'm A Muslims
And followers of a prophet(P.B.U.h)

And Be
.. View More