Koi Firqa Nahi, Hum Sub Musalman [Part 1]

(Sufyan Shaikh, karachi)

“Bismillaha” As Salam wale kum wa rahematul laa hi barkatahuSub Taarifey Allaha Talah kou Saazavar hain jo Rabbul Alaameen hain,
kul kaayenat zameen o aasmaan ka haqeeqi malik hain, woh akela aur wahed laa shareek hain, paak waa be aaiab hain,
woh saame o aleem aur baseer hainSub kaa palanhar hain, woh raat din aur chand sitaro ka malik hain,

samandar aur uske ander ke kul maqlooq per khader hain, hum sub ke sub es daar ke muhtaj hain, faqeer o ghulam hum es ke tareef kerne se khasir hain,
jis khadertareef ke jaye kam hain.Allaha Talha ka bada fazal o karam hain ke hum mey aakhri paighambar Rahematul Aalaamen Hazrat Mohammed (P.B.U.H) kou maboos farmaya aur hum kou khaire-ummat ke laqab se Nawaza es neemat-e-azeemi ka jis khader shukr aada kare kam hain.

Lamhe FikarAaj Kaal ke Baaz Musalman Quran o Hadees per aamal kerne walo kou Naya firqa, waa Naya mazhab kay naam se yaad kerte hain. aur phir ess say mutjaviz hou kar Charo Imamo mey sey kisi ek Imam ke Taqleed Naa kerne walo kou Ghairmuqalidin waa Kharijul Islam ke Laqab se Nawazte hain Aakhir Yeh Quran o Hadees Per Aamal kerne walo ke Buniyad Kab sey hain?

Insha Allaha hum yaha per aab Quran o Hadees Per Aamal kab sey hain Aur Taqleed Shaksi aur nisbat aaima aur Mazahibe aarba kab se hain aur kis tarha islam mey Dakil kiye gaye?
naiz Tadween Hadees waa Tadween Fiqa kab se hui? es ke aalawa Aqwal Aaima Arba kou Paysh kerke Tafseel ke Saath Guftagu kareange Taake Fark Kiya jaaye ke Saahi aur Ghalat kya hain,

[apna Taruf Karata Chalo, Mera Naam Sufyan Shaikh Hai Aur Me Softwear Eng Ban Raha ho.
Age 20 years hai Aur Umeed Hai Ap Log Mera Sath Degy Ta Ke Hum SUb Ek Dosro Ko Bhai Bhai Keh Saky Na Ke Kafir ]

[Sub se Pehly Mai EK Bat Batata Chalo Mera Koi Maslak Nahi Mai Ek Musalman Ho Jesa Ke ALLAH Ne Quran Mai Irshad Farmaya :
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنتُم مُّسْلِمُونَ
اے ایمان والو! اللہ سے اتنا ڈرو جتنا اس سے ڈرنا چاہیے (١) دیکھو مرتے دم تک مسلمان ہی رہنا
003.102

O ye who believe! Observe your duty to Allah with right observance, and die not save as those who have surrendered (unto Him)

3.102. Aey eman walo! Allah Taalaa say daro jitna uss say darna chahaiye aur dekho martay dum tak musalman hi rehna. ]


Aksar Ulma-e-Salaf ne Firqo ke nisbat Badi Badi Keetabe likhi hain. lekin hum yaha per sirf apni esla chahate hain, kisi Imam yaa kisi maslak per uungli uthana nahi,
aur jo kuch bhi es mey ghalti hogi woh meri kotahi ke wajhe se hogi, aur jo baath es mey haq hain woh allaha rabbul ke izzat taraf sey hain,
umeed hain ke aap log kou essey faida milega, jo baath aap logo kou ess mey haq dekhe ussey kubul kar lijiye, aur jo baath ghalth dhike tou please meri esla ker di jiye.
Mohammed (pbuh) ka daur Nabuwat 23 saala raha aur dour-e- khulfa-e-rasheedin Taqreeban 30 saal raha aur daur-e-sahaba (Razi Allah hu talha an hu) 60 years raha ,
es tarha total 1 hijri say 100 Hijri tak raha, woh sub ke sub Musalman Quran aur hadees ke etteba kerte theay

yeh pahele saadi ke musalam Islam ke parwane waa shaydai Lakho ke taadat mey theay, en ke nisbat ek saawal kudh ba kudh paida hota hain ? key woh musalman Kiss Imam ke Taqleed kerte theay Aur woh kiss imam ke naam se pukare jaate theay, kya woh musalman Hanfi, Maliki, Shafai, Hambali theay ?
aur doasra saawal yeh paida hota hain ke kya en Imamo ke alag alag mazhab es waqt moujud theay ?
Teesra saawal yeh paida hota hain ke Paheli saadi ke musalman ummat, Mohammed (pbuh) khulfa-e-rasheedin,Sahaba, (R.A) jo Qura aur hadees per amal kerte theay tou baa kaul aaj kaal ke baaz musalmano ka ilzam en per bhi aayad hou sakhta hain?
En Sub Saawalo ka jawab Sirf Nafi mey hoga kyu ke paheli saadi Aaima Araba kanaam o Nisha naa tha aur naa hi enke weeladat hui thi Tou essey yeh saabit huwa ke Paheli saadi hijri mey Taqleeq Shakshi aur Nisbate Aaima Aarba ka Wajood naa tha.

Es ke Tasdeek Dopahar ke Suraj ke Taraha Weeladatey Aaima Aarba sey Zahir hojati hain,
1. Hazrat Imam Abu Haneefa 80 Hijri Mey Paida Huwey
2. Hazrat Imam Malik 93 Hijri Mey Paida Huwey
3. Hazrat Imam Shafai 150 Hijri Mey Paida Huwey
4. Hazrat Imam Ahmed Ibne Hambal 164 Hijri Mey Paida Huwey.

Insha Allah Es Tafseel Sey Saaf Zaher Hain kay Islam Naam Hain ----
Quran Aur Hadees Per Aamal Kerne Ka Islam Mehdoot Hain ----
Quran Aur Hadees Key Daire Mey Islam Mukamil Din Hain Jis ke Daleel Yeh Hain
(Surey Maida Aayat No # 3)Tarjuma:- Aaj Maine Tumhara Din Kaamil Kerdiya aur tum per apni Neymat Puri Kerdi aur Maine Islam kou tumhara Din Pasand Kiya

[Continue ]

Sufyna Xhaikh
About the Author: Sufyna Xhaikh Read More Articles by Sufyna Xhaikh: 6 Articles with 10305 views My concern is with MQM
And the MQM is a very good movement

And there is no communal
I'm A Muslims
And followers of a prophet(P.B.U.h)

And Be
.. View More