Maayoos(frustrate)

(Imtiaz Rajar, Hyderabad)

Maayoos Eik Aisa Alfaz Hai Jise Har Mazhab Ne Gunnah Karar Diya Hai, Yeh Eik Aisa Dor Hota Hai Jo Aksar Logoon Ki Zindagy Mei Aata Hai.....Yeh Aisa Dor Hota Hai Agar Insan Iss Se Na Bacha To Zindagi Gunwa Deta Hai Aur Jo Iss Dor Se Kamyab Hogya To Dunya Uss Key Kadmoon Mei Hoti Hai ..........Mei Ne Kuch Saal Se Pakistan Ki Haalat Ko Observe Kya Hai Lekin Jaise Haalat Aaj Hai Wese Kbhi Na Thi ........Logoon Se Jab Sunte Hain K Pakistan Na Rahe Ga To Yeh Baatein Mere Under Bhet Jaty Hai Aur Mei Khud Ko Hazaar Dilasey Deta Hu Lekin Phir Jab Pakistan Ki Haalat Dekhta Hu To Sochta Kab Inqelab Aaega Pakistan, Kab Yaha Log Parties Chor Kar Pakistan K Liye Sochna Shrou Karei Gey......60 Saal Hogey Humare Mulk Mei Lekin Hum Corruption Khatam Na Kar Pae, Bhut Se Log Apni Koshishey Bhi Kar Rahe Hain Lekin Nateega Sifar ....Hazaar Koshish Key Bawajood Humara Mulk Wahi Khara Hota Hai Jahan Pehlay Tha................Iss Tarah Mujhe Mayoosi Jakar Leti Hai Aur Mei Dilesey Deta Hu Key Pakistan Mei Inqelaab Aaega

Imtiaz Rajar
About the Author: Imtiaz Rajar Read More Articles by Imtiaz Rajar: 40 Articles with 50972 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.