Adhuri Khwahisho Ki Mukammal Haqiqat

(inayat shaikh, mumbai)

Adhuri Khwahishe Or Un Ki Mukammal Haqiqat Is Mouzu Ka Intekhab Asal Mai Is K Piche Chupi Kahani Pr Mabni Hai....Insan Hmesha Is Bat Ko Bhul Jata Hai K Us K Is Dunya Mai Aane Ka Maqsad Kya Hai.Is Dunya Mai Ane K Bad Wo Is Dunya Or Us Ki Rangeen Or Dill Fareb Masail Mai Ulajh Kar Rah Jata H.Ye Kahani Bhi Ek Aisi Ladki Ki Hai Jis Ne Is Zindagi Ki Haqiqat Ko Samjhne Mai Bohot Waqt Laga Dia Bohot Thokare Khai Bohot Batein Suni Logo Ki Or Bohot Si Dushwariyon Ka Samna Kia...Is Afsane Ki Aham Kirdar Jise Log Sanam Ke Nam Se Jante The....Dunya Ke Baki Sabhi Logo Se Bohot Mukhtalif Tho Us Ki Khwahishe Dunya Ki Badi Badi Chizo Ko Pa Lena Nhi Tha..Wo Har Choti Se Choti Baton Mai Bhi Apni Khushi Dhund Leti...Bachpan Ma Bap Ki Sarparasti Mai Guzra Or Phr Moujuda Halat Or Mahol Se Pareshan Use Padhai Ke Liye Hostel Bhej Dia..Umar Ka Wo Pahlu Jab Ek Bacche Ko Achi Or Buri Bato Ki Samjh Us Ke Ma Bap Dete Hai Is Bat Ko Smjhne K Liye Wo Umar Bhi Munasib Na Thi Jab Use Hostel Mai Moujud Pareshaniya Satane Lagi.Apne Ma Bap Se Dur Rahna Us K Liye Asan Na Tha Par Is Haqiqat Ko Kubool Krne Ke Siwa Koi Rasta Bhi Na Tha......To B Continue InshaAllah

inayat shaikh
About the Author: inayat shaikh Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.