Mushkil Rastay episode 13

(farah ejaz, dearborn, mi USA)

Wo Bay Inteha Haseen Thi...Saroqad....Kali Chamakdaar Lambi Zulfain.....Firaq Paishani....Bari Bari Kali Badami Ankhain...Or Sunehri Rangath...Janath Ki Hoor Thi Wo....Hulkay Neelay Rung Kay Shalwar Qameez May Mulboos Wo Husun Ki Devi Kissi Or Jahan Ki Lug Rahi Thi....Wo Un Say Dus Qadam Kay Faslay Per Khari Sooraj Ko Neelay Pani May Doobtay Huay Daikh Rahi Thi...Un Ki Nazrain Us Per Gari Hui Thin....Jin Ki Tapish Nay Ussay Unki Mojoodgi Ka Ahsaas Dila Diya...Wo Aik Dum Wapisi Kay Liyai 
Palat Gayee.......

Rukiyai Please.........

Beqarari Say Pukar Baithay To Ruk Gayee Or Palat Ker Unhay Daikh Nay Lagi Boli Kuch Nahin......Jamal Shah Chaltay Huay Us Kay Qareeb Akar Kharay Ho Gai....Khoobsoorath Kali Ankhain Uthai Wo Unhai Daikh Rahi Thi...Qareeb Say Wo Or Bhi Haseen Dikh Rahithi....Hulki Narangi Ghuroob Hotay Suraj Ki Roshni Us Kay Sabeeh Cheray Ko Aik Ajub Sa Husun Ata Ker Rahi Thi......

Kiya Koyee Itna Haseen Bhi Hosukta Hay........

Wo Il May Sonch Nay Lugay......Poori Duniya Ghoom Chukay Thay...Aik Say Aik Haeen Larkiyan Daikhi Thin Unho Nay....Lakin Aisa Husun Kabhi Apni Zindagi May Pehlay Na Daikha Tha....Thori Dair To Kuch Bole Hi Na Pai...Us Husun Ki Devi Kay Samnay Jaisay Zuban Bhi Werta-E-Hairath May Thi..................

Ji Fermaiyai....Aap Nay Mujhayroka Kiyun Hay........

Khoobsoorath Khanakti Hui Awaz Per Wo Chonkay .....

Wo Mohterma Baath Darasal Yai Hay Kay...... Shaid Aap Ko Bura Lagay... Lakin.....May Aksar Aap Ko Apni Balcony Say Daikh Ta Tha................

Aap Nay Is Liyai Mujhay Roka Hay Kay Apni Ghutiya Harkath Kay Baray May Bata Sakain.................


Unki Baath Sun Ker Wo Ghussay Say Boli Thi ......


To Wo Thoray Say Sherminda Hogai.....Koyye Dil Phaink Qism Kay Ashiq To Thay Nahin Lakin Us Larki Nay Un Kay Tamam Usool..Tamam Ahtiyath Khaak May Mila Din Thin....

May Aap Say Sherminda Hun...Or Aap Say Mafi Bhi Cha Ta Hun...Lakin Yai Such Hay Kay May Aap Ko Qareeb Say Daikh Na Chata Tha.........

Allah Hafiz.....

Wo Us Kay Paas Say Guzartay Huay Apni Gari Ki Taraf Janay Lagay.......

Tehriyai.......................

Us Mehjabeen Nay Unhay Pukara To Wo Jatay Jatay Ruk Ker Us Ki Taraf Daikhnay Lagay...................

Wo Shahana Andaaz Say Chulti Huyee Un Kay Samnay Akar Khari Hogayee...............

Is Terha Kabhi Kisi Ki Himmath Nahin Huyee Thi Meray Ru Baroo Kuch Kehnay Ki....Is Liyai May Aap Ki Himmath Ki Daad Daiti Hun....May Nay Kayee Logon Ko Daikha Hay...Or Milli Hun....Lakin Aap Un Sub Say Muqtalif Lugay Hain Mujhay....Kiya Aap Mujh Say Dosti Kerna Pasand Karingay.....Baighurz Or Paak........

Wo Masoomiyath Say Boli To Wo Hairath Say Usay Daikhnay Lugay.....Beshak Wo Mard Or Aurath Ki Dosti Ko Bura Samujh Tay Thay...Lakin Usay Kissi Bhi Wajha Say Ab Khona Nahin Chatay Thay............

Ji Bilkul Kiyun Nahin.......

Wo Muskura Kar Ussay Daikhnay Lagay.............

Aap Ka Naam Pooch Sakti Hun....

Jamal....Or Aap Ka Naam............

Hooriya................

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 215342 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More