Yeh Kahan Aa Gay Hum

(wasiqa, Lahore)

Main aik hasaas insan hoon maray ird gird hone wali her tabdeli muj pay asar undaz hoti hai.last week ki baat hai main jab subha jagi tou geo tv pay news batai ja rahi thi k ak ourat nay apnay do bchoon k sath khudkushi kar li, kyun k wo un ki zaroorat zindagi ko pura nahi kar sakti thi. Daily hum esay kei sanhay news paper aur news chanels k hawaly say suntay our phartay hain. Es news nay mujay bohat mental torcure kiya. meray demagh nay kai sawal kiye jin ka jawab kiya hai pata nahi.

Kya insaan, hi insaan ka itna bara dushmun hai k wo dosary insaan say jeenay ka haq bhi chheen lyna chahta hai.
Kya yeh mehangai koi gar ab nahi choray gi.
Kya ab society main ab sirf milion walon ka raj hai. Ab khanay k leye in ka muh dekh na peray ga. Ata ghee suger aur estmal ki cheezein short kar k aur un ki qeemat ziada kar k logon ko bhook say mar rahay hain.
Kya aaj k insaan main insaniyat aur qanaat khatum ho choki hai.

Aur ager esa nahi hi tuo pher us aurat nay khudkushe kyun ki kia us ko yeh yaqeen nahi tha k ALLAH hai jesnay peda kiya hai wo malik rezaq bhi dey ga.

Humary masheray k her nizaam mein shadeed esllah ki zaroot hai.aur yeh esllah hum ko khud hi karni hai. Najay hum kis khezar k intazaar kar rahay hain

Kisi shaer nay kaha hai, aaj k dour k insaan ko esay samujnay ki bohat zaroorat hai.


Khuda nay aaj tak us qoom k halat nahi badli
Na ho khyaal aap jisay apnay halat k badalnay ka
 

wasiqa
About the Author: wasiqa Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.