Pakistan Ki Cricket

(Kashif Rauf, Karachi)

Sare Pakistani Ko Salam . Is Article Main Kuch Pakistan Ki Cricket Ki Mojoda Soratehal Per Kuch Kaho Ga. In Dino Hamari Cricket Zawal Pazer Hai Jiss K Zimmadar Players Aur Board Dono Hain. Aik Taraf Tu Player Apne Zati Mafadat Ko Quami Mafadat Per Tarjeeh Dete Hain Jiss Ki Wazih Misal Younis Ki Captaincy Main Team Ki Performance Thi. Her Koi Younis Per Tanqeed Kar Raha Hai Aur Un Ki Performance Ko Tanqeed Ka Nishana Bana Rahe Hai. Main Un Logo Se Pocho Ga Key Sirf Captain Ka Kaam Hi Acchi Inning Khel Ker Team Ko Jitwana Hota Hai Dosre Palyers Ka Koi Kaam Nahi Hota Hai Agar Captain Score Na Kar Sake Tu Dosre Players Ko Zimmandari Leni Chahiye Lekan Yaha Tu Apne Mafadaat Ko Pehle Dekha Jata Hai Baki Sub Ka Kuch Bhi Ho Bhoot Se Logg Younis Ko Tanqeed Ka Nishana Bana Rehe Hai Lekan Abhi Unho Ne Yeh Dekha Ke Dosre Palyer Ki Kiya Performance Hai Agar Vice Captain Ka Camparision Kiya Jaye Tu Younis Ki Performace Ka Graph High Hai Dosri Taraf Yousuf Aur Malik Yousuf Ne Bangladesh Ke Tour Se Lekar Abh Taak Sirf Aik Century Score Ki Jab Key Malik Ki Bhi Sirf Aik Century Hai Tu Logg Younis Per Tanqeed Se Pehle Un Players Ke Bare Main Bhi Kuch Kahe Sirf Aik Bande Ko Qurbani Ka Baqra Bana Acchi Baat Nahi Yeh Wohi Captain Hai Jiss Ne 17 Saal Baad Aik Bara Event Main Pakistan Ko Kamyaab Karwaya Aur Is Ke Baad Champions trophy Ka Semifinal Ke Liye Qualify Kiya. Younis Ne Aik Baat Kahi Key Jab Inzimam Captaincy Ke Last Years Main The Tu Unse Score Karna Mushkal Ho Raha Tha Aur Woh Khud Ziyada Score Nahi Kar Pa Rahe The Tu Mujh Samet Sub Log Mil Ker Score Kiya Karte The Lekan Jab Mere Bari Aye Tu Sub Ki Performance App Ke Samne Hai Agar Koi Sakhti Karne Wala Person Aye Tu Team Main Groups Ban Jate Hai Agar India Ki Team Ko Dekhe Tu Unho Ne Test Main 3 Aur Odi Main 2 Position Le Rakhi Hai Aur Pakistan Ku Dekhe Tu Odi Main 5 Aur Test Main 7 Position Hai Tu Mere Sare Player Se Request Hai Key Plz Apne Mafadaat Ko Aik Taraf Rakh Ker Mulk Ke Liye Khele Agar Koi Ghalat Fahmi Hoti Hai Us Ko Mil Jul Kar Solve Kare

Umeed Hai Pakistani Team Phir Se Form Main Ayegi InshALLAH
 

Kashif Rauf
About the Author: Kashif Rauf Read More Articles by Kashif Rauf: 3 Articles with 3833 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.