Rehnoma Ki Zarorat Hai

(Amjad Simaab, Bradford )

Har Koi Pakistan Main Lagi Hovi Aag Ko Aur Bharkaney Main Apney Tayeen Hisa Dal Raha Hai, Agar Aisa Howa Tu Waisa Ho Jaye Ga, Lekin Hal Koi Nahi Dey Raha Aur Agar Chand Aik Kalam Nigar Hazarat Koi Hal Tajaveez Kartey Bhi Hain Tu On Ko Zameeni Haqaiq Sey Bekhabar Qarar Dey Diya Jata Hai, Tareekh Gawah Hai Kay Jab Tak Kisi Bhi Mulk Ki Awam Hukumat E Waqt Key Faisaloon Ko Mustarad Kar Detey Hai Wo Kisi Bhi Maidan Main Kamyabi Nahi Pa Sakti Hai, Aur Sharmindagi On Ka Muqadar Hoti Hai... Hamari Modjoda Qayadat Ney Apney Mazi Sey Koi Sabaq Nahi Sekha ..... Muhtaram Zardari Ko Tu Hukumat Plait Main Tayar Mil Gai Hai Is Liye Wo Tu Jald Sey Jald Apna Account Mazeed Barhaney Key Chakro Main Hain On Ko Pakistan Ya Awam Ki Halat Sey Kuch Lena Dena Nahi Hai .....Kiun Key Wo Bhi Jantey Hain Key Ainda On Ki Bari Nahi Aney Wali ...... 32 Salon Main 4 Taqtwar Ameron Ney Peoples Party Ko Khatam Karney Sar Toor Koshish Ki Lekin Aisa Na Kar Sakey ..Wohi Kam Zardari Sahab Ney 3 Mah Main Kar Dekhya...... In Hazrat Ney Tu Wapis Surrey Palace Chaley Jana Hai Lekin Baqi Manda Peoples Party Ki Qayadat Ko Tu Aqal Key Nakhun Leney Chaiye....

Quid E Awam Shaheed Zulfiqar Ali Bhutto Ney Sanehey Mashriqi Pakistan Key Baad Kaisey Aik Aik Zakham Par Marham Rakha Aur Naye Serey Sey Aik Jamhuri Pakistan Ki Bunyad Rakhi Aur Mulak Ko Almi Biradri Main Aik Ba Izat Maqam Dilwaya. Jo Key Pakistan Ki Sunehri Tareekh Main Darj Hai Aur Koi Bhi Impartial Insan Un Ki In Kawishoon Ki Nafi Nahi Kar Sakta ....Tu Aj Bhi Pakistan Ko Bhutto Jaisey Azeem Leader Ki Zarorat Hai, Lekin Afsos Key Hum Aisey Chakar View Main Phas Chukey Hain Key Jis Allah Ki Zaat Hi Nikal Sakti Hai ..... Hamarey Hukamran America Key Bedam Ghulam Ban Chukey Hain ...... Nawaz Shareef Sahab Sey Kuch Umeed Thi Lekin Halbrook Key Chand Mulaqatoon Ney Un Hazrat Ko Bhi Zameeni Haqaiq Sey Agah Kar Diya Or Wo Hidayat Pa Gay Key America Ko Naraz Kar Key Wo Agli Bari Nahi Ley Saktey ..... Bahar Hal Aaj Pakistan Ko Aik Belaq Or Nadar Rehnoma Ki Zarorat Hai Na Kay ..... Nam Nihad Leaderon Ki Jo Apni Jaibeen Bharney Sey Matlab Rakhtey Hain ... Jin Ko Kisi Aur Ki Problem Nazar Nahi Ati Hai ..... Aj Security Risk Ki Waja Sey Koi Leader Bahir Akey Awam Ka Aiteemad Jeetney Kay Liyee Maidan Main Ayee Aur On Ko Hukumat Key Faisaloon Main Shareek Karey Aur On Ko Bataye Key Kia Aisi Majboriyan Hain Jo On Ko Awam Mukhalif Policy Bananey Par Majboor Hain .... Kiun Wo America Ke Pay Dar Pay Hamley Nahi Rokwa Sakta... Kiun Wo Musharaf N Sons.... Ko Katherey Main Nahi La Saktey .....Kiun Qaum Key Kharboon Rupey Khaney Waley Aj Bhi Khul Khel Rahey Hain On Ki Aj Bhi Panch Ki Panch Ghee Main Hain.
 
Kia Aj Koi Aisa Leader Nahi Hai Pakistan Main Jo Samney A Key Awam Key Dil Jeet Sakey Aur Koi Aik Aisi Policy Awam Ki Omangon Key Mutabiq Banaye Key Jo Mulk Ki 17 Carore Awam Key Dilon Ki Tarjumani Karey .....Faisala Jo Bhi Kareeen Kam Az Kam Awam Main Akar Us Faislon Ki Tayeed Hasil Kareen .... Pakistani Tu Wo Kaum Hai Key Jis Se Zara Si Safqat Ar Lagao Dekho ..Aur Frontline Par Larney Marney Ko Tiyar Hain Har Qisam Ki Qurbani Deney Ko Tayar Hotey Hain .... Lekin Aj Koi Zufiqar Ali Bhutto Nahi Hai Hamarey Beech ..... Aj Koi Amam Khumeni Nahi Hai...... Aj Humey Aik Aur Muhammad Ali Jinnah Ki Zarorat Hai.

Amjad Simaab
About the Author: Amjad Simaab Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.