Games Ka Rujhan

(Aamir Ejaz, university of central punjab)

Games ka department kisi bhi mulk ka fame phailanay k lia bohat ahm role play karta hai. Pakistan ki awam bohat hardworking or strong hai. agar yaha par games ka rujhan paida kar dia jai to hamaray mulk k nojwan pori dunia main Pakistan ka name roshan kar saktay hain.

Pakistan main sirf cricket, hockey, squash or chund aik do or games ko hi farogh hasil hai. in chund games k alawa kisi dosri teesri game ko ghaas bhi nai dali jati. Agar main kahon k hamari government ko chahia k wo is silslay main koi kadam uthai to ya to bhains k agay been bjanay wali bat hai. lehaza hamaray mulk k rich or aware people ko chahia k wo is silslay main koi kadam uthain. Unhain chahia k table tennis, swimming, park tennis cycle racing, bike racing or car racing jaisi games k lia clubs ya societies banain un ki advertisement karain or asan sharait par mulk k har ameer ghareeb tabkay k nojwan ko in societies ki taraf say khailnay k moka dain. Is say games khilanay walay ki income main bhi izafa ho ga unka fame bhi ho ga or mulk k nojwan tabkay ko agay anay ka or apni salahiaton ko show karnay ka moka bhi milay ga.
Aamir Ejaz
About the Author: Aamir Ejaz Read More Articles by Aamir Ejaz: 7 Articles with 11844 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.