Adab ka Taqaza

(Saba tariq, Karachi)

Kaha Jata Ha K...."Ba Adab Ba-Naseeb,Bay Adab Bay Naseeb".

Jis Tarhan Hum Musalmano Main Bohat C Ekhlaqi Khamiyain Peda Ho Rahi Hain.Un Ma Say Ek Khami Ye Bhi Hai K Hum Main Say Adab Bhi Khatam Hota Ja Raha Hai.

Aj Say 10 Saal Phelay Dekh Lejaye K Hum Mai Adab,Sharmo-Haya Mojood Thi.Lekin Is K Bar-Aks Aj K Halat Us Say Mukhtalif Hain.Kya Hamain Khud Mehsos Nahi Hota.Ya Hum Ne In Chezo Ko Mehsos Karna Chor Diya Hai.Tu Ye Bat Yad Rakhye K Is Ka Nuqsan Bhi Hum Hi Uthay Gay.Or Us Nuqsan Ka Hum Tassawar Bhi Nahi Karsakty Jo Hamain Hony Wala Hai.Dunya-O-Akhrat Dono Main Hamain Sharmindagi Ka Samna Karna Ho Ga.

Phelay Ki Nojawan Nasal Apny Baro K Agay Koei Bhi Ghalat Kam Karny Say Phelay Sharmindagi Mehsos Karti Thi.Un Mai Adab Tha,Sharam Thi,Mohobat Thi,Kya Aj Hamain Ye Nazar Ati Hai.......? Nahi Bilkul Nahi..Ye Mera Zamir Mujh Say Kehta Hai.Ap Apny Zamir Say Puch Kar Dekhye.....K Ap Ko Kya Jawab Milta Hai ? Yaqinan Ap Ka Jawab Bhi Nafi Mai Ho Ga.

Kitny Naseeb Walain Hai Wo Log Jin K Waldain,Olad,All Family Members Ek Dosry Ka Adab Karty Hain,Ek Dosry Say Haya Karty Hain,Mohobat Karty Hain. Or Ek Dosray Ko Achi Bat Ki Nasehat Karty Ha.Or Khud Bhi Is Par Amal Karty Hai. Ye Zarori Nahi Hai K Choty Bachy Hi Baro Ka Adab Karin Balkay,Baro Ko Bhi Chahiye K Apny Choto Ka Adab Kary,Un Ki Pasand Na Pasand Ka Khayal Rakhy.Is Tarha Hi Choty Ap Saymohobat Karin Gay.

Aj Ager Koei Apny Say Choty Ko Dant Dey Ya Phir Kisi Ghalat Kam Karny Say Koei Mana Karay Tu.......Kya Hota Hai ? Ye Tu Hum Sub Achi Tarhan Janty Hain.
Bachy Ulta Hi Lari-Jhagra Shoro Kar Detey Hai.

"Shakh Saadi Rehmatullah Aalehi"Farmaty Hain K....
"Jo Shakhas Bachpan Main Adab Karna Nahi Sekhta,Bari Umar Main Bhi Us Say Bhalai Ki Koei Umeed Nahi"

"Hazrat Ali Razi Allah Tala Anha"Farmaty Hain K.......
Adab Behtareen Kamalat Or Kherat Afzal Tareen Ebadat Main Say Hai
.
Adab Ka Taqaza Hai K......Hum Ager Student Hain Tu Apny Teacher Ka Adab Karin, Waldain Ka Adab Karin,Or Ghar Main Jo Bhi Barin Hain Un Ka Adab Karin.

Ye Bat Hum Sub Ko Yad Rakhni Chahiye K Aj Jo Apny Bachoo Ko Sekhain Gay.Kal Wohi Hamain Milay Ga.Chahay Wo Koei Bhi Ho.

ALLAH Pak Hum Sub Ko Apny Baro-Choto Ka Adab Karny Wala Banaye.Or Tamam Ekhlaqi Khubiyan Hum Main Peda Ho Jain.(Ameen)

Lekin Akhir Ma Sub Say Important Bat Yad Rakhiye K Asal Adab Karny Wala Wohi Ho Ga.......Jo K ALLAH Or Us K Rasul(S.A.W)Ka Adab Karny Wala Ho Ga Or Un Say Mohobat Karny Wala Ho Ga.

ALLAH Hum Sub Ko Amal Karny Wala Banaye.(Ameen)

Saba tariq
About the Author: Saba tariq Read More Articles by Saba tariq: 17 Articles with 54901 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.