Tawajjah Chahta Hun

(S. Asif, India)

Bismillah Hir Rahman Nir Raheem

Mere Azeez Bhaiyon Aor Bahnon Aor Qabile Ehtaram Buzurgon. Maine Ba Zate Khud Kai Articles And Ahadeesen Is Web Per Bheji Hain Aor Bahut Sare Bhai Bahno Ne Bhi Apni Apni Tahriren Shaye Ki Hain Masha ALLAH Sab Qabil-E-Ehtaram Hai Qabil-E-Amal Hai. Ab Main Ap Sabse Kuch Tawajjah Chahta Hun Ke Hum Jo Bhi Tahreer Shaye Karen Ya Phir Jo Bhi Tahreer Parhe Shaye Aor Parhne Dono Halat Mein Jazba Yeh Hona Chahiye Ki Hum Deen Ka Kam Kar Rahe Aor Deen Ka Kam Khalis ALLAH Ke Liye Hota Hai Isse Hume Kiya Milega Hum Uska Ghuman Bhi Nahi Kar Sakte Apne Is Adna Se Dimagh Se Kion Ke ALLAH To ALLAH Hai Uske Khazane Mein Koi Kami Nahi. Mere Azeezon Humko Apna Aqeeda Theek Karna Hai Pahle Kion Ke Yeh Wahid Aik Rasta Hai Jisse Hume ALLAH Ka Qurb Hasil Hoga Dusra Koi Rasta Nahi Aqeeda Kharab To Sab Kharab. Chahe Hum Jitna Likhen Ya Parhen. Maine Ap Logon Ki Tawajjah Islie Chahi Ke Hum Is Erade Se Parhen Ke Insha ALLAH Tala Hum Ispar Amal Karne Ki Puri Koshish Karenge Aor Waqt Ba Waqt Apna Jaiza Lete Rahenge Ke Kahin Hum Deen Se Door To Nahi Ja Rahe Kahin Humara Haal Upar Se To Theek Hai Par Andar Se Khokhla Hota Ja Raha Hai. Kahin Humne Apni Zindagi Ko Rab Chahi Ke Bajaye Nafs Chahi To Nahi Bana Li? Iska Jaiza Lete Rahna Chahie Yeh Bahut Zaruri Hai Jaisa Ke Aik Businessman Apne Business Ka Jaiza Leta Rahta Hai Ki Company Loss Mein To Nahi Ja Rahi Kahin Uske Fikar Mein Rahta Aor Sal Ke Last Mein Jab Final Balance Sheet Banti Hai To Usko Itminan Hota Hai Ki Is Sal Humari Company Mein Itna Faida Hua Aor ALLAH Ka Shukr Ada Karta Hai. Theek Waise Hi Hume Ane Wale Marhalon Ke Bare Mein Sochte Rahna Chahie Ke Kahin Hum Apni Akhrat Ke Lie Nuksan Mein To Nahi Ja Rahe Kahin Aisa Nahi Ke Wahan Jayen To Balance Sheet Loss Mein Mile Aor Haye Tauba Haye Tauba Karte Rah Jayen Bahut Sochne Aor Darne Wali Baat Hai.

Mere Bhaiyon Aor Bahno Main Apne Is Tahreer Ke Zariyen Main Sabse Yahi Kahna Chah Raha Ki Hum Apni Niyat Theek Kar Len Dil Par Len Baton Ko Yeh Nahi Ki Bas Parh Lia Aor Waqti Asar Dikha Chahre Par Uske Baad Phir Wahi Nafs Ke Kahne Par Chalne Lage Hargiz Nahi. ALLAH To Bas Niyat Dekhte Hain Ki Bande Ne Dil Se Kaha Hai Ya Sirf Dikhawa Kion Ke ALLAH Jahan Rahman Hai Wahin Par Qahar Bhi Hai. Aor Mujhe Nahi Lagta Hai Ki Yeh Batane Ki Zarurat Hogi Ke ALLAH Ka Qaher Kaise Nazail Hota Hai Aj Hum Sab Apni Ankhon Se Dekh Rahe Hain Jo Bhi Aalam-E-Dunya Mein Ho Raha Hai. Islie Mere Pyare Bhaiyon Aor Bahno ALLAH Ki Taraf Ruju Karo Uske Sajde Mein Gir Kar Tauba Karen Aajizi Se Mange Apne Lie Rahem Ko Aor Afiat Ko Eman Ki Daulat Ko Uske Siwa Koi Nahi Jo Humare Hal Par Rahem Kare. Wahi Ail Zaat Hai Jiski Sare Qaenat Par Huqumat Hai Aor Wahi Hume Bacha Sakta Hai Aor Izzat To Baqa De Sakta Hai Ao Aj Hi Se Yeh Tahayya Kar Len Ke Abse Sirf ALLAH Aor ALLAH Ke Rasool Ke Bataye Huye Tariqe Par Chalenge. Issi Mein Aman-O-Aman Hai Issi Mein Dono Jahan Ki Falah Aor Baqa Hai.

ALLAH Hum Sabko Sacchi Tauba Karne Aor Rahe Haq Par Chanle Ki Taufeeq Ata Farmaye Ameen Suma Ameen.

Duaon Ka Talabgar
Fi Aman ALLAH

S. Asif
About the Author: S. Asif Read More Articles by S. Asif: 3 Articles with 10176 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.