Muqadar Ka Sikander

(Ashar Aziz, Karachi)

Kafi Shadeed Aur Taweel Hubs Aur Garmi K Baad Kuch Loog Ghanghoor Ghata, Barassti Bondain Aur Mehkti Khusbo K Bawajood Ankhen Band Kar K Soye Hoe Hain Aur Tasawur Mei Kuch Salon Pehly Tak Hoti Zulm Aur Jabar K Bawajood Kamyabi Ko Apna Muqadar Jaan Rahay Hain ….. Kitne Nadaan Hain Yeh Aur Kitne Zalim K Hum Insaano Ko Noch Noch Kar Khanay K Bawajood In Darindon Ki Hawis Khatam Nahi Ho Rahi….

Har Khushkismat Qaum Chahe Kitni He Bati Hoi Kyon Na Ho Kai Saal Apno Se Zakham Khanay K Baad Us Ko Hosh K Nakhon Miltay Hain Aur Tab Ja Kar Wo Kisi Ek Baat Per Mutafiq Hotay Hain Warna Bikhar Jatay Hain. Khuda Ka Shukar Hai Do Teen Dahayion Ki Musalsal Mazalim K Baad He Sahi Akhir Ko Yeh Qoum Kisi Ek Cheez Per Mutafiq Nazar Aa Rahi Hai Haan Khadshaat Qat E Nazar Nahi Lekin Umeed Baharhal Bartar Hai Aur Wo Gohar Hai ‘’Tabdeli’’…… Aaj Qoum Jis Per Mutafiq Nazar Aa Rahi Hai Wo Gohar Hai Tabdeli …. G Haan Tabdeeli…..

Yeh Wo Chingari Hai Jo Guzartay Chand Palon Mei He Is Mulk Ki Ashrafia Ko Khakstar Kar Sakti Hai Aur Is Tabdeeli Ka Maqsad Bhi Yahi Hona Chahiye K Is Badshahat Ko Khatam Kya Jaye Jis Ne Hamari Qaum Ko Riyaya Bana Diya Hai Jo Apnay Masail Le Kar Rooz Kisi Darbaar Mei Hazri Deti Rehti Hai... Go K Imran Khan Ki Iman Dari, Lagan, Mehnat, Niyat Aur Khaloos Per Shayad He Kisi Badzin Ko Shikayat Ho Lekin Haan Jo Loog Jooq Dar Jooq Is Tabdeeli K Jhanday K Neechay Jama Ho Rahay Hain Un Mei Se Kuch Loog Mashkook Nighahon Se Dekhay Ja Rahay Hain Lekin Yaad Rakhye Yeh Loog Tabdeel Ho Rahay Hain Yeh Jo Baad E Saba Porab Se Chali Hai Yeh INSHALLAH Sab Ko Tabdeel Kar De Gi…Zara Sochye Yahi Loog Agar Europe Mei Jatay Hain Tu Kyon Qanoon Ka Pass Kartay Hain Kya Wahan In Ki Rooh Tabdeel Ho Jati Hai?? Nahi Balke Un Ko Wo Mahool Milta Hai Jis Mei Reh Kar Wo Ghalat Kaam Kar He Nahi Saktay…..

Jis Qaum Ka Peshwa Saaf Ho Ga Wo Gandagi Bardasht Nahi Kar Sakta Agar Koi Kali Bheran Shamil Ho Bhi Rahi Hon Tu Yaad Rakhye Wo Kali Bher Bhi Mahool Ko Dekh Kar Apne Aap Ko Badal Le Gi Warna Maari Jaye Gi….Captan Mei Aisi Koi Khasosiat Nahi Thi Jo Us Ko Pakistan Mei Siyasi Kamyabi Dila Sakay. Wo Sacha Hai, Khara Hai , Iman Dar Hai Aur Toba Karne Wala Hai Lekin Yeh Jawahir Tu Door Door Tak Kisi Kamyab Siyasi Leaders Mein Nahi Miltay, Phir? Haan Lekin Yeh Wo Moti Hian Jo Bargah E Ilahi Mei Baray Muqadam Hain Aur Yahi Waja Hai K Imran Muqadar Ka Wo Sikander Hai Jis Ko ALLAH Ne Kamyabi Ata Ki Hai…. Wo Jis Cheez Mei Haath Dalay Ga Wo Suna Uglay Gi Aur Yeh Ho Kar Rahay Ga ….. Hamari Sohni Dharti Sona Ban Kar Rahay Gi ..Yeh Zulm Ka Nizam Tabdeel Ho Kar Rahay Ga INSHALLAH… Us Ka Har Ghalat Siyasi Qadam Bhi Aap Dekhen Ge Us Ko Aur Bulandi De Ga Kyon K Jis Ki Madad ALLAH Karay Us Ko Koi Nahi Hara Sakta …..

Kafi Shadeed Aur Taweel Hubs Aur Garmi K Baad Kuch Loog Ghanghoor Ghata, Barasti Bondain Aur Mehkti Khusbo K Bawajood Ankhen Band Kar K Soye Hoe Hain…….

Ashar Aziz
About the Author: Ashar Aziz Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.