Kya Hamain Marna Nahi?

(Saba Tariq, Karachi)

Ek Nazar Hum Apny Ird Gird Dalain,Tu Esa Lagta Ha K Hamain Marna Bhi Ha......?Ya Ek Din Ye Fani Dunya Ki Ronaqain Khatam Ho Jay Gi.......Nahi.

Ye Sub Kuch Dekh Kar Tu Nahi Lagta.......K Ek Din Hum Mano Mitti Talay Hongay. Han Esa Zaror Lagta Ha K Hum Yahi Rahain Gay. Kabhi Mot Nahi Ay Gi, Kiyun K Marnay Wala Kabhi Dunya K Pichy Nahi Bhagta.Balkay Wo Tu Marnay K Bad Ki Tayari Karta Ha.

Hamari Subha Kesi Hoti Ha. School,College,University,Office,Factory,Picnic,Play Ground,Enjoyment K Name Say Different Calub.

Subha Se Sham Tak Hum Gunha Kartay Rehtay Hain.Lekin Hamain Is Ka Ehsas Hi Nahi Hota,Ager Gunha Karty Karty Mot A Gaei Tu Hamara Kya Ho Ga. Kabhi Socha Ha Humne. Nahi,Sochnay Ka Waqat Hi Nahi Ha.

Yani K Har Kam Hum Kartay Ha.Kya Kabhi Hum Ne Socha Ha K Hum Wapsi Par Zinda Ho Gay Bhi Ya Nahi,Kahi Ye Hamari Akhri Sans Tu Nahi?

Dunya Ka Har Kam Waqat Par Karnay Ki Kosish Karty Hain.Kya Kabhi 5 Namazay Waqat Par Ada Ki.Subha Quran Pak Ki Tilawat Ki.Gharz Koei Bhi Kam Apna Allah Or Us K Habib (Sallallaho Alihi Wasalam) Ki Marzi K Mutabiq Kya.Ya Phir Shaitan Or Apny Naf K Kehnay K Mutabiq Kya? Ye Sawal Ap Khud Se Karin.

Hamain Ek Din Mot Akar Rahay Gi.Ye Dunya Ki Koei Bhi Taqat Hamain Nahi Bacah Sakti......Tu Phir Kiyun Hum Is Zindagi Ko Is Dunya K Liye Istemal Kar Rahy Hain,Is Zindagi Ko Tu Hamain Apni Qabar Ki Tayari Or Roz-E-Mehshar Hony Wali Roswai Say Bachny Ki Tayari Main Istemal Karna Chahiye.

ALLAH Pak Hum Sub Ko Eman Par Khatma Naseeb Kary.

"Jany Kab Kis Ghari Is Dunya Say Chalay Jain "
Jany Say Phelay Ao Akhrat Ka Sanman Tayar Kar Jain

 

Saba Tariq
About the Author: Saba Tariq Read More Articles by Saba Tariq: 17 Articles with 54906 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.