Welcome to Ramadan Al Mubarakk

(Afshan Rahman, Chicago usa)

In Al Quran Allah Subhannah Wa Talla Said Ae Logo Jo Eeman Lae Ho Tum Per Roza Ferz Ker Dea Gae Hein. Jis Terha Tum Se Pehle Anbia Or Qomon Per Kia Gae Thay. Take Tum Taqwa Per Qaem Hojao Gintee Ke Chund Din Ke Rozay Hein. Ager Tum Mein Se Koee Beemar Ho Ya Woh Travelling Per Yanee Safer Per Jare Ho Or Kuch Mushkil Ka Andesha Ho To Doosre Dino Mein Gin Ker Tadad Pooree Kerlen. Or Jo Log Roza Ki Taqat Na Rakhte Hon To Fidya De Den.Fidya Ye Hay Keh Kisee Gareeb Miskeen Jo Rozadar Ho On Ko Khana Kheladen Poore Ramazan Keh Lia Itna Pesa De Den Ke Woh Asaani Se Khana Khaseke. Lekin Behter Hoga Ke Roza Baad Mein Rakhlo.Ramazan Woh Month Hay Jis Mein Al Quran Otara Gayya Al Quran Jo Ensanon Ke Lia Sraser Hidayat Hay Or Esee Talimat Hay Jo Rasta Batatee Hay Rehnomaee Kertee Hay Haq Or Batil Ke Dermian Ferq Batatee Hay Lehza Jo Bhi Tum Mein Se Is Mah Ko Paae To Chae Ke Roza Rakhen Allah Tumhare Saath Nermee Kernee Chata Hay Mushkil Nahi Chahta.To Sub Se Pehlee Baat Keh Allah Tallah Aapki Niyat Dekhte Hein Or Phir Esa Roza Jo Poore Ehtemam Ke Saath Rakha Jae Five Time Namaz Ki Pabendee Ho Roza Srf Khana Peena Chorne Ka Naam Naee Hay Balke Jo Bhi Baat Aapko Pasand Ho On Sub Se Aapko Bachna Hoga Music Haram Hay Movies Haram Hay Yeh Naee Ke Aap Roza Rakh Ker Roza Ka Time Pass Kerne Ke Lia Movies Dekhen Aapka Roza Qabool Hi Na Hoga Balke Aapko Quran Perna Chae.Bhut Se Log Sara Saal Ebadet Nahi Kerte Or Srf Ramazan Mein Khud Ko Booraee Se Rokte Hein Ye Baat Bhi Derst Naee Hay Humko Koshish Kernee Chae Dua Keh Saath Keh Allah Tallah Hamaree Help Kare Naik Kamoon Mein .Poor Logon Ko Pese Se Help Karen Take Woh Roza Rakh Saken.Jo Log Hidayat Nahi Maangte On Ko Allah Batecne Ke Lia Chor Dete Hein Or Woh Saree Life Geltee Kerte Rehte Hein Aakher Ek Din On Ki Life Esee Terha Compelete Hojatee Hay Or Woh Jo Hamesha Ki Life Hay Akheret Ki Life Os Ka Saamna Kerte Hoowe Sawae Afsos Ke Kuch Baqee Naee Bache Ga.Hum Sab Ko Magferet Mangnee Chae Death Se Pehle Tak Mafee Qabool Hay .Ramadan Ke Last Ten Days Bhi Bhut Important Hote Hein Shabe Qader Jo Hazar Raat Se Behter Hotee Hay Ten Days Mein Taq Raton Mein Posheeda Hotee Hay 21-23-25-27-29 Her Saal Date Change Hotee Hay Ye Koee Nahi Jante Ke Konsee Raat Hay.Kuch Log Ne 27 Ko Hi Maan Lia Or Srf Usee Raat Ebadet Kerte Hein Jub Ke Quran Mein Hay Keh Taaq Raton Mein Talash Kero.Allah Ka Shuker Hay Keh Oos Ne Hum Ko Pyara Maheena Ramadan Atta Kia Allah Hum Sab Ko Poore Rozay Naik Niyat Ke Saath Rakhae Ameen.

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 214033 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.