Aakhir Tumhay Jana Tha

(Syed Kifayat Ullah Hashmi, rawalpindi)

 (Ye Column Main Ne Nawaz Shrif K Hukumat Se Alag Ho Janay K Bad Likha Tha Magar Mujay Isay Publish Krne Main Dair Ho Gai .)

Aakhir Tumhay Jana Tha
Bus Zara Dair Lgi Ha

Ye Sher Main Ne Mr.Musharraf K Lye Bnaya Hai.Aakhir Kar Musharaf Ne Resign Kar Hi Dia.Or Mere Khayal Main Ye Pakistani Awam Ki Boht Bari Kamyabi Hai K Aik Aamir Jo 9 Saal Tak Hum Par Musallat Raha Humari Us Se Jan Chut Gai.Musharraf Sahab Ko Apne Uper Fakhar Ha K Uno Ne Mulk O Qom Ki 9 Saal Tak Khidmat Ki Or Pta Nahi Kaise 18 August Ko Un Ko ''Mulk O Qom Ka Waseeh Tar Mafad'' Yaad Agaya.

Jaisa B Ho Aakhir Mush Chala To Gaya.Main To Kya Puri Pakistani Qom Ye Bat Samajti Hai K Unho Ne 9 Saal Tk Pakistan Ko Tabahi K Mor Par La Khara Kia Tha Wo To Rab E Karim Ka Karam Ha K Hum Tabahi Se Buch Gaye.Aik Lamhay K Lye Hum Ne Maan Lia K Unho Ne 09 Saal Mulk Ki Khidmat Ki Ha Magar Is Khidmat Ko Sur Anjaam Dene K Lye Unho Ne Jo Rasta Apnaya Wo To Qanooni Nahi Tha Phir Un Ki Khidmat Is Kam Ki???

Agar Un Ko Mulk Ki Khidmat Karne Ka Itna Hi Shoq Tha To Wo Qanooni Tariqa B Apna Sktay Thay. Unho Ne Kya Aik Jamhuri Hukumat Ko Gira K Mulk Ki Khidmat Ki ?Foj Ko Unho Ne Budnam Kia Pakistani Qom K Sar Sharrm Se Jhuka Diye Hmari Qom K Muqaddas Baitay Or Betio Ko Dollar K Lye Baich Dia.

Ye Khidmat Ki Hai Unho Ne Hmare Lye? 9 Saal Tak Ye Khidmat Ki Ha K Aj Hum America Ki Kisi Bat Se Ikhtilaf Nahi Kr Sktay
Hmare Tribal Areas K Log Bombs Or Rockets K Nishanay Par Hain ..

Aye Roz Khud Kush Hamlo Ne Pakitani Qom Ka Sakon Barbaad Krdia Hai Abhi Thursday Ko Hi Wah Cantt Main Suicide Attacks Hoye Hain Jin Main Atleast 100 Log Shaheed Ho Gaye. Ye Sub Kis Ki Policies Ki Wja Se Hoa Jawab Sub Jantay Hain K Musharraf Ki Wja Se ... Aj Pakistan Ka Bacha Bacha Ye Kehne Se Khof Nahi Khata K Mush Ne Pakistan Ko Jitna Faida Dia Hoga Wo To Aatay Main Namak K Brabar Ha Lekin Jitna Nuqsaan Ponchaya Ha Us Ka Azala Aaj Hum Burdasht Kr Rhay Hain .Jine Zulm Pakistani Qom Burdasht Kr Rhi Hai Us K Hisaab Parliament Main Na Shi Magar Us K Darbaar Main Zrur Lain Gay Jis K Smanay Sub Brabar Hain Or Jo Sub Se Supreem Ha

Aj Halat Is Qadar Kharab Hain K Mush K Jane K Bad Bi Mujay Judges Ki Bahali Mukammal Tor Par Nazar Nahi Aati .Main Ne Pehle B Apne Coulumn Main Likha Tha K Asif Zardari Apne Bachao K Lye C.J Iftikhar Chaudhry Ki Bahali Nahi Chahtay.Or Wahi Hoa Jis Ka Dar Tha K Nawaz Sharif Ne Hukumat Se Alehdgi Ikhtiar Krli Or Mere Khayal Mai Ye Bilkul Durust Kia Hai .Ppp Se Ye Tuwaqqo Nahi Ki Jaskti K Wo Judges Ko Bahaal Kray Gi Or Mujay Ye Hota Nazar Nahi Aata.Ab To Asif Zardari Ne Bhi President Ka Election Jeet Lia Ha Unko Chahiye K Ab Bhi C.J Ko Bahaal Kr Dain.

Pakistan Ki Tareekh K 61 Saal Main Pehli Dafa Aala Adlia K Judges Ne Dastoor Or Qanoon K Mutabiq Faisle Krnay Ki Himmat Ki Hai .Unho Ne Kisi Bhi Dictator K Agay Jhukne Se Inkar Krdia Tha Jis Ka Sara Cradit C.J Ko Jata Hai Jinke Aik ''Na'' Se Judges Main Hosla Paida Hoa.Aj Zrurat Is Bat Ki Hai K Judges Ko Foran Bahal Krna Chahiye Or Dusri Sub Se Ehem Bat K Apni Forign Policy O Mazbut Bnana Hai Hmay Kisi Se Darnay Ki Zrurat Nahi Ha Chahay Wo Indian Ho Ya U.S.A.

Pakistnai Qom Ka Dusra Ehem Masla Mehngai Hai .Aj Gharib Ko Do Waqt Ki Roti Muskil Se Naseeb Ho Rahi Hai Hukmarano Ko Is Maslay Par Khas Tawjja Deni Chahiye.Agar Kisi Mulk Ki Imdad Chahiye To Kitnay Hmaray Brother Islami Mumalik Hain Jin S E Madad Li Ja Skti Hai In Main U.A.E Ha Saudia Arabia Ha Iran Ha Uzbekistan Ha Tajikistan Hai Qatar Hai Egypt Ha Syria Ha Turkey Ha Aazar Baijan Hai.Ye Sub Pakistan K Bohot Achay Dost Hain Or Qudrat Ne In Mumalik Ko Har Dolat Se Nawaza Hai.Pkistani Hukumat Ko Kisi Ghair Muslim Mulk Se Madad Nahi Leni Chahiye.Hukumat Ko Jis Field Main Madad Chahiye To Wo In Mumalik Se Bhi Apni Matluba Madad Maang Skti Ha.

Aakhir Main ALLAH Se Dua Hai K Pakistan K Halat Theek Ho Jaye ( Ameen)

Khuda Kray Meri Arz E Pak Par Utray
Wo Fasl E Gul Jise Andesha E Zawal Na Ho

 

Syed Kifayat Ullah Hashmi
About the Author: Syed Kifayat Ullah Hashmi Read More Articles by Syed Kifayat Ullah Hashmi: 3 Articles with 10476 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.