Manaazra

(Chiraghdeen, Karachi)

Hazrat Ali (Razi-ALLAH-O-Ta'ala Anhu) Ne Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi-ALLAH-O-Ta'ala Anhu) Ko Khawarij Se Manazra Kerney Key Liye Bhaija Tau Saath Hi Naseehat Bhi Ki Keh Manazrey Key Moqeu Per Quran Pak Sey Daleel Paish Na Kerna Balkeh Sunnat-E-Rasool (S.A.W.) Sey Daleel Paish Kerna, Hazrat Ibn-E-Abbas (R.A.) Ko Bara Ta'ajjub Huwa, Arz Kia Yah Ameerul Mumeneen "Quran Tau Wo Kitaab Hey Jis Key Liye ALLAH Ke Rasool (S.A.W.) Ney Mujhey Dua Di Hey Keh Ya ALLAH Ibn-E-Abbas (R.A.) Ko Kitaab Ki Taleem Dey Aur Inkey Seeney Ko Noor-E-Hikmat Sey Bher Dey. Chunacha Iss Dua Ki Wajah Sey Mein Tau Hikmat-E-Quran Ka Hamil Hoon And Aap (R.A.) Mujhey Quran Sey Daleel Paish Kerney Sey Mana Ferma Rahey Hein, Aakhir Ismein Kia Maslehat Hey? Hazrat Ali (R.A.) Ney Fermaya Keh Quran Pak Key Jumley Di-Wujooh Hein, Yeh Usool Ki Kitaab Hey, Aap Apney Taur Per Aayat-E-Qurani Ka Ek Mana Bayan Kareinge Jabkeh Fareeq-E-Mukhalif Isi Aayet Ka Doosra Pehloo Ley Ker Doosra Mana Bayan Kareyga Awam Kaheinge Keh Yeh Bhi Quran Perh Rahey Hein Aur Yeh Bhi Quran Hi Suna Rahey Hein Tau Iss Tarah Haq Wazeh Na Hoga (Remarks: Jis Tarah Keh Aajkal Media Per Horaha Hey…PHD Aur Lughat Sey Mani Nikalney Waley Apney Aap Ko Aql-E-Kul Samajh Ker Jo Unki Aql Mein Aata Hey Quran Key Mani Bata Detey Hein Aur Seedhey Musalmano Ko Gumrah Ker Rahey Hein Jabkeh ALLAH Pak Ney Rasool-E-Pak SallALLAHu Alaihe Wasallam Ko Quran Bhi Sikhaya Aur Quran Key Mani Bhi Sikha'ey, Ek Hi Lafz Key Mukhtalif Jaghon Per Mukhtalif Mani Hein…Isi Liye Quran Kehta Hey Keh Quran Hi Hidayet Deta Hey Aur Quran Hi Gumrah Kerta Hey…Jo Log Rasool-E-Pak SallALLAHu Alaihe Wasallam Key Bataey Huwey Mano Per Amal Kertey Hein Unko Hidayet Milti Hey Aur Jo Lughat Sey Mani Nikaaltey Hein Wo Khud Bhi Gumrah Hotey Hein Aur Doosrey Sadah Loh Musalamano Ko Bhi Gumrah Kertey Hein) Arbi Ek Bari Faseeh O Baleegh Zaban Hey Ismein Ek Ek Lafz Key Keyi Keyi Mani Hein Ab Jiska Ji Chahey Apni Merzi Doosron Per Thoosney Key Liye Ya Musalamano Ko Deen Sey Bebehra Kerney Key Liye Ya Ghair Muslim Aaqaon Ko Khush Kerney Key Liye Jo Mani Musalmano Ko Unki Sahih Rah Sey Hataney Key Liye Hoon Wo Bata Deye Jaey Takeh Wo Seedha Raasta Chhor Ker Ghalat Rastey Per Nikal Jaein Aur Gumrah Hojaein.

Ooper Baat Hori Thi Haq Ko Wazeh Kerney Ki, Tau Hazrat Ali (R.A.) Ney Fermaya Keh Jab Aap Huzoor-E-Akram (S.A.W.) Key Qaol-O-Amal Sey Daleel Deingey Tau Fareeq-E-Mukhalif Key Liye Bolney Ki Gunjaish Hi Baqi Na Raheygi.

FAEDAH: Huzoor-E-Akram (S.A.W.) Ka Qaol-O-Amal Bayan-E-Quran Kehlata Hey Aur Bayan-E-Quran Hi Hadees Hey, Inkar-E-Hadees Kerkey Insaan Kabhi Bhi Muraad-E-Quran Ko Samajh Nahi Sakta. Munkereen-E-Hadees Isi Liye Hadees Ka Inkaar Kertey Hein Takeh Quran Sey Apni Merzi Key Mani Murad Letey Rahein Jabkeh Hadees Break Laga Deti Hey Aur Quran Pak Mein Man Mani Kerney Nahi Deti, Iss Liye Wo Hadees Ka Inkaar Kerdetey Hein Aur Hadeeson Key Bataney Waley Sahaba-E-Kiraam Ko Bhi Tanqeed Ka Nishana Banaker Apni Bhi Aakherat Berbaad Kertey Hein Aur Doosrey Sadah Loh Musalmano Ka Eemaan Bhi Kharab Kertey Hein.

ALLAH Pak Ham Sab Musalmano Ko Inn Mazhabi Bazigaron Key Jaal Mein Phansney Sey Mahfooz Fermaey Aur Hamarey Deen, Sahih Aqeedey Aur Imaan Ki Hifazet Fermaey, Aameen.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 190242 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.