Jannat Mera Name

(Babar, Karachi)

Har Roz Ki Tarah Aaj Bhi Mein Bus Stop Par Puhnchi To Wo Apni Makhsoos Jaga Par Apna Tokra Jis Mein Biskit Tofiyan Chips Waghera Ke Pekits Hote Thay Lekar Bethi Hoi Thi Usay Dekhtay Hi Dimagh Mein Ajeeb Se Sawal Aya K Ya Khuda Is Larki Ko Kisi Ki Bad Dua Hai Jo Yunhi Mela Kuchela Peelay Rang Ka Ghaghra Pehne Or Sar Par Mela Dupata Orhay Tokra Liye Yahan Bethi Rehti Hai Akhir Masla Kya Hai. Kya Itna Waqt Ya Pani Nahi Ke Hafte Mein 1 Bar Ya Mahine Mein Hi 1 Bar Naha Kar Saaf Suthre Kapre Pehen Liya Kare. Aaj Puchna Hi Parega B.B Ji Kuch Lengi Biskit Ya Choclate? Issay Pehlay Ke Mein Is Meli Larki Se Kuch Pochti Is Ne Khud Akar Mere Dimagh Mein Mojod Sawalon Ko Muntashir Karte Howe Pocha, Nahi Kuch Nahi Chahiye Mene Chonk Kar Kaha, Wo To Aap Meri Taraf Kafi Der Se Dekh Rahi Thi To Mene Socha Ke Shayad Aap Ko Kuch Chahiye Is Liye Pochne Agai, Mene Isay Roka To Wo Ruk Gai Ji Is Ne Muskurate Howe Kaha, Tumhara Name Kya Hai? Mene Issay Pocha, Jannat Name Hai Mera Ji Is Ne Tokra Zameen Par Rakhte Howe Kaha, Jannat Ye Kesa Name Hai Ye Name To Is Par Bilkul Bhi Thik Nahi Lagta Is Name Ka To Soch Kar Hi Koi Haseen Wa Jameel Chehra Zehen Mein Ghoom Jata Hai Or Ye Name Is Larki Ka? Nakash To Achay Lag Rahe Hain Likin Pata Nahi Kiyon Ye Larki Apne Aap Ko Itna Ganda Kiyon Rakhti Hai, 1 Bar Phir Mein Soch Mein Ghum Hogai, Bi Bi Ji Aap Mere Name Ke Bare Mein Soch Rahi Hain Na? Is Ne Muskurate Howe Kaha, To Mein Kuch Sharminda Se Hogai, Wo Bus Yonhi Mene Muskurate Howe Kaha, Aap Wo Samne Wale School Mein Parhati Hain Na? Is Ne Sarak Ke Bilkul Samne Ki Taraf Ishara Karte Howe Kaha, To Mein Heran Reh Gai, Aray Tumhain Kese Pata Ke Mein Parhati Hun Parti Nahi? Mene Isse Pocha, Kiyon Ke Bi Bi Ji Jo Khud Parhte Hain Un Ke Paas Bara Sa Basta Hota Hai Or Rozana 1 Hi Rang Ke Kapre Or Jote  Pehente Hain. Or Jo Parhate Hain Un Ke Paas Aap Ki Tarah 1 Kitab Or Paras Hota Hai Or Kapre Bhi Jese Marzi Ke Pehen Lo. Is Ne Apni Zahanat Ka Saboot Dete Howe Kaha, Wa Bhai Tumhain To Buhat Malomat Hain Han Mein Parhati Hun Wo School Nahi College Hai. Mene Issay Daad Dete Howe Kaha, 1 Baat Kahun Jannat Agar Tum Bura Na Mano To? Mene Ise Pocha Ji Bolen Is Ne Mukhtasiran Kaha, Jannat Tumhare Naqoosh Itne Achay Hain Tum Zara Saf Suthra Raha Karo Tum Buhat Khubsorat Lago Gi Or Agar Tum Saf Ho Kar Ao Gi To Log Tum Se Ye Chzen Lena Pasand Karenge Or Ye Hamare Mazhab Mein Bhi Hai Ke Safai Nisaf Iman Hai , Tum Apne Name Ki Tarah Khubsorat Ho Sakti Ho, Agar Tum Cha Ho To, Mein Isay Kehti Rahi Or Wo Musal Sal Muskurati Rahi. Bi Bi Ji Mujhe Bilkul Bura Nahi Laga Wo Dekhain Aap Ki Bus Arahi Hai Is Ne Tokra Uthate Howe Kaha To Mein Door Se Ati Bus Ko Dekhne Lagi, Dobara Jannat Ki Taraf Dekha To Wo Ja Chuki Thi, Shayad Ise Bura Laga Likin Mene To Ise Kuch Nahi Kaha, Likin Agar Ise Bura Laga To Mein Ise Sory Keh Dungi Mein Bus Mein Beth Kar Bhi Jannat Ke Bare Mein Hi Sochti Rahi. Balke Sara Din Jannat Ke Bare Mein Hi Sochne Mein Guzara Tha, Is Liye Aaj Chuti Se 15 Minute Pele Hi Bus Stop Par Agai Thi, Magar Jannat Nazr Nahi Arahi Thi. Bi Bi Ji Jannat Ki Awaz Par Peechay Mur Kar Dekha To Mein Heran Reh Gai, Gulabi Rang Ka Saaf Suthra Ghaghra, Sar Par Tokra Uthay Bari Bari Kali Ankhon Mein Kajal, Satwan Nak Or Nak Mein Sone Ki Tar Khilti Howi Rangat Gulabi Hont Kale Siyah Balon Ki Kuch Laten Chere Or Surahi Daar Gardan Mein Lipti Hoi Dupate Ka Palu 1 Taraf Se Danton Mein Dabaya Howa Wo Larki Sar Se Per Tak Khoubsorti Ka Mojasma Lag Rahi Thi. Tum Koun ? Mene Ise Herani Se Pocha? Bi Bi Ji Mein Jannat Hun, Is Ne Kaha To Is Ke Mun Se Dupata Ka Palu Nikal Gaya, Or Chera Saaf Nazar Ane Laga. Jese Chand Par Badal Hat Gaya Ho. O Jannat Tum Aaj Such Mein Jannat Lag Rahi Ho, Mene Kaha Tha Na Ke Tum Buhat Khubsorat Lag Sakti Ho Agar Tum Chaho To, Ab Ase Hi Raha Karo Lagta Hai Tumhare Tokre Mein Sari Chezen Khatam Hogai Hain, Gi Bi Bi Ji Aaj Tokra Khali Hi Hone Wala Hai Lekin Bi Bi Ji Mujhe Asi Kamai Nahi Karni Jis Mein Mujhe Apni Bhi Keemat Lagani Pare, Kya Matlab? Mene Pocha, Ye Khubsorti Hum Jese Gharibon Ko Raas Nahi In Biskit Or Tofiyon Ki Tarah Log Hamari Bhi Keemat Lagate Hain, Aap Thik Samajhti Thi Mein Khud Hi Meli Ho Kar Ati Thi, Take Mein Tokre Mein Rakhi Chezen Bech Sakon Apni Khubsoroti Nahi. Aaj Logon Ne Mujhe Nazdeek Se Dekhne Ke Liye Mujh Se Cheezen Kharidin Hain Matlab In Chezon Ke Saath Mene Apne Aap Par Bhi Keemat Lagai Hai. Jannat Apne Name Ki Tarah Khobsorat Hai Is Ka Husan Chupa Rahe To Behtar Hai. Bi Bi Ji Jannat Itni Sasti Nahi Ke Asani Se Bik Jay Na Hi Jannat Sab Ke Liye Hai. Itna Sab Kuch Ek Aam Si Chezen Bechne Wali Larki Keh Gai Or Mein Herani Se Sunti Rahi. Jannat Ke Peechay Kuch Manchale Larke Chalne Lage, Mene Socha Ke Jo Kuch Jannat Ne Kaha Wo Shayad Thik Kaha, Kal Aygi To Issay Bat Karongi................. Kal Pasoun Jane Kitne Hi Din Ghuzar Gay Lekin Jannat Is Bus Stop Par Nahi Ae. Shayad Isliye Ke Is Ne Mujhe Apni Asal Shakal Dikhadi, Or Dubara Mere Samne Akar Mujhe Sahrminda Nahi Karna Chahti Thi, Ya Phir Is Ne Mujhe Orat Ki Wo Shakal Dikhadi Jo Mene Isse Pehle Kabhi Na Dekhi Thi.......... Special For Women...

Babar
About the Author: Babar Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.