Saffar Shumaal Kay (episode 45)

(hukhan, karachi)

THA Kot Ki Neshaanian Shuro Hu Chuckee Thein Sher Darya Apni Mast Chaal Mn Samnay Aa Chuckaa Tha Ubh Iss Nay Janghlot Tak Huamray Sath Rehna Tha Wahan Se Ye Darye Gilgit Ka Roop Dhaar Laina Thaa Tha Kot Garam Hu Raha Tha Kam Say Kam Para 33 Centy Tak Hu Ga Magar Pher Bee Abhee Paseena Zayda Nahi Araha Tha Yun Keh Lein Garmee Control Mein Thee Magar Jagah Jagah Saaf Thanda Pani Peenay Kay Liye Moujhdh Tha Hum Nay Niaz Ki Kefiyat Ko Bhaanp Lia Tha Isi Liye Darye Sind Kay Kinaray Chai Ki Mojh Ka Faslaa Kar Lia Darya Khamosh Tha Magar Apni Power Dekha Raha Tha Sorajh Chachu Badlay Kay Mood Mein Lagh Raha Tha Tha Kot Batagram Ki Tehseel Hay 1949 Tak Yhan Kabaeli Khans Ki Hakomat Rahee Thee 2005 Kay Zalzalay Nay Iss Ko Bhut Nuqsaan Pohanchaya Tha Yahan Ki Abadee Bee Sawaty Pathano Par Mushtamil Hay Logh Khush Shakal Mehmaan Nawaaz Or Dostana Mood Kay Thay Pahaar 15000 Feet Say Zayda Height Kay Thay Darya E Sind Or Paharee Combination Nay Iss Kay Husan Mein Izafa Kar Dia Tha Bazaar Mein Rush Tha Niaz Nay Garee Kay Tyres Mein Hawa Bharwanay Kay Baad Pump Say Garee Ka Tank Full Kar Lia .Darya Kay Kinaray Ek Deewar Say Bani Hui Thy Hum Wash Room Dhundnay Nikal Gaye Pump Par Hee Humaree Talash Khtam Hu Gai 5 Minute Kay Baad Hum Nay Khud Ko Bahut Halka Phulkaa Meshsoos Kia Hum Nay Socha Qun Naa Zara Wazan Pher Say Bara Lia Jaye Navid Nay Washroom Ka Pocha Hum Nay Uss Ko Maher Washroom Specialist Ki Tra Address Bata Dia Magar Manners Sey Mehroom Navid Nay Angreiz Kay Thanks Ko Use Nahi Kia Jasay Gora Washroom Mein Pani Ko Use Nahi Karta Hum Nay Sohail Say Pocha Bahi Ek Baat Bata Ye Har Koi Washroom Ka Mujh Say Qun Pochta Hay Sohail Nay Lamha Zayaa Kiye Bina Thak Sey Jawab Dia Khan Saab Sab Ko Pata Hay Kay Poray Shumaal Kay Washrooms Kay Maps Aap Kay Paas Hein Ye Kah Kar Uss Nay Naak Par Hath Rakha Or Pump Ki Taraf Chal Para,,,,,Hum Soch Mein Par Gaye Kay Ye Uss Nay Tareef Ki Hay Ya As Usual Humaree Asee Ki Tessi,,,Sochta Hun Mein Asa Qun Hun,,Fer Sochta Hun Akher Mein Qun Hun(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1197980 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.