Ajh Kay Sheikh Chilli

(hukhan, karachi)

Sheikh Chilli Urdu Adab Mein Taza Hawa Ki Tra Hay Jany Anjnay Mein Iss Kay Lakhon Parestaar Hein Par Kici Ko Sheikh Chilli Khalwana Pasand Nahi Balkay Punjab Mein Tu Kici Ko Sheikh Bee Keh Du Tu Wo Aap Ko Asay Alffaaz Say Nawazta Hay Kay Rahay Naam ALLAH Ka Naam,,,Agar Chilli Sahib Kay Dour Mein Face Book Huty Tu Hamein Yaqeen Hay Sab Say Zayda Fan Iss Ki Hee Hutay Shaied Iss Ka Naam Hi Chilli Book Par Jata Baharhaal Ajh Sheikh Chilli Urdu Adab Mein Har Tra Say Mojudh Hay Kia Mahwaray Kia Misaalein Algharz Ye Humaray Adab Ka Lazmi Hisa Ban Gia Hay Sheikh Chilli Ka Lafz Hakoomat ,Oposition,Talb E Elim,Shohar,Damaad ,Baita Sab Kay Liye Istemaal Hunay Wala Anmol Saa Tittle Hay.Hakoomat Daway Karay Tu Hazb E Ekhtelaaf Kay Liye Wo Sheikh Chilli Hay,Oposition Kah Day Kay Hakoomat Kay Chal Chlaow Ka Time Hay Tu Wo Bee Sheikh Chilli,Shohar Bv Ki Har Baat Maan Lay Tu Wobay Chara Bee Malick Say Sheikh Ban Jata Hay.Sheikh Saab Ka Kuch Zayda Qasoor Naa Tha Bas Unn Mein Ek Ye Hee Khaami Thee Kay Wo Bhut Say Loghun Ka Majhmoa Thay Ya Yun Kah Laein Kay Wo Hazaron Mein Ek Balkay Yakta Thay Iss Liye Ajh Bee Wo Zinda Hein Logh Unn Ki Misaalein Detay Nahi Thaktay.Hum Thoree Deir Kay Liye Hakoomat Ban Jatay Hein Or Apnay Plan Ap Ko Btatein Hein Aap Faisla Kijye Ga Kay Hum Sheikh Saab Say Kia Kam Hein,,,Arz Kia Hay,,,,,Train Be Hum Chalaein Gay Har Ghar Mein Bijli Pohanchaye Gein Asee Khushhaali Laien Gay Aap West Ko Bhool Jaien Gay Corruption Ko Bhghaein Gay Aap Ki Sada Say Pehlay Aap Kay Gahr Pohanch Jaein Gay Zaraiee Hu Ya Sanaty Bank Say Qarza Delaein Gay Na Aya Pani Tu Khudh Baalty Bhar Kar Pohanchaein Gay Dekh Laina Ek Din Pakistan Ko Asian Tiger Banaein Gay,,,,,,,,,,Ap Khud Hee Btaiye Iss Mein Sheikh Chili Wali Knci Baat Hay.Aap Agar Shohar Hein Or Aap Munh Say Asay Keh Dein ,,,,Mri Bv Itni Anmol Hay Jasay Pani Mein Mila Nimkool Hay Uss Say Baat Krnay Say Pehlay Khani Parcetamol Hay Kici Shaier Ki Wo Ghazal Baymol Hay Beshak Uss Ki Har Baat Sada Or Anmol Hay,,,,,,,Aap Insaaf Kijiye Iss Mein Kasa Sheikh Pan Hay.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195807 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.