SAFFAR SUMAAL KAY(EPISODE13)

(hukhan, karachi)

hukhan,writer,author,tourist

Pakistan Kay Shumaal Ju Duniya Mein Sab Say Anukhay,Purisraar,Hareton Say Purr Jahan K2 Hay,Nanghaparbat,Sher Darya Khubhsurat Dilkashjheelein Ye Sab Kay Sab Ap Ko Bulatay Hein App Unn Ki Taraf Khanchay Chalay Jatay Hu Bhut Say Khatron Kay Bawajhudh Aap Ko Silk Road Ya Shara E Resham Yaad Aty Hay App Uss Ko Duniya Kay Ajoobay Ki Tra Mehsoos Kartain Hein Fer Iss Kee Tameer Kay Douraan Un Shaheedon Kay Naamon Ki Takhtiaan Unn Ki Lazawaal Qurbanion Ki Daastanay Sunaty Hein Silk Road Aap Ko Insani Aqal Himat Or Engineering Kaa Shahkaar Nazar Aty Hay.Sher Darya Aap Kay Sath Sath Dorta Rehta Hay Kabi Dour Hu Kar Aap Ko Esharay Karta Hay Kabi Bilkul Paas Aa Kar Khufzada Karta Hay Kabi Ap Ko Bhut Neechay Say Kehta Hay Jitnay Bee Opar Chalay Jao Mein Choron Gaa Nahi .Train Ek Cheekh Kay Sath Ruk Gai Hum Fer Say Bhut Say Hajoom Mein Aa Gaye Hum Acha Acha Saa Feel Kar Rahay Thay Train Nay Raiwind Cross Kar Lia Tha Hum Lahore Kay Bhut Qareeb Thay Magar Iss Tra Say Train Kaa Ruk Jana Bhut Hee Takleef Dey Tha Samnay Baithay Chacha Jee Nay Ek Tight See Gaali Dee Sohail Muskara Dia Hum Samajh Gaye Chacha Jee Nay Sohail Kay Jazbaat Ki Turjamani Ki Thee.Hum Nay Apnay Bag Par Moujudh Mity Jaahrna Shuro Kar Dee Jis Ko Baqi Loghun Nay Pasand Nahi Kia Hum Nay Bari Mehnat Say Karachi Kay Light House Urfe Aam Lundaa Bazaar Say Iss Mein Mozay Shirts Or Jutay Khreed Kar Dalay Thay Jis Say Humara Budget Mein Koi Khaas Kami Nahi Ayee Thee Ubh Sab Ko Bas Ek Hee Fiqar Theee Kay Peenay Ko Thnda Saaf Pani Mil Jaye Or Nahanay Ko Bhut Saa Pani Werna Tu Train Nay Humaree Aci Durgat Banayee Thy Kay Marhooma Naani Yaad Aa Gein Humein Plan Mein Thoree See Tabdeli Karni Thee Ubh Hum Raat Ko Lahore Pohanch Rahay Thay So Hum Nay Mazeed Saffar Kay Bajaaye Kici Sastay Say Hotel Ko Talaash Karna Tha Ju Kay Humaray Baien Hath Ka Kaam Thaa .Sab Musafer Garmi Habs Bearaami Ki Waja Say Bhut Tangh Thay Bachon Kay Ronay Ki Awaazein Bhut Barh Chuki Thein Ye Train Kam Or Maternity Home Zayada Lagh Rahee Thee.Ubh Train Mein Mojudh Market Or Hotel Wala Shore Sharaba Bhut Kam Hu Chucka Thaa Logh Apnay Samaan Or Bachon Ko Gin Rahay Thay Kai Shaadi Shudaa Hazraat Ko Afsoos Tha Kay Un Ki Begmaat Sahi Salamat Hein Kher Ye Un Kaa Zaati Mamlla Tha Humaray Jalnay Say Unn Ko Kiaa Farq Par Jana Tha Kaleem Or Naved Nay Bee Apna Samaan Check Karna Shuro Kar Dia Hum Train Ki Takaaleef Ko Ahesta Ahesta Bhoolna Shuro Hu Gaye Thay(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195586 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.