Har Taraf Dawakhanay

(hukhan, karachi)

Paksiatam Mein Wesay Tu Har Koi Sehaat E Aamaa Se Mutaliq Kuch Achay Khiyaalaat Nahi Paye Jatay Magar Humein Iss Fiqar E Nahaq Se Qadray Ekhtakaf Hay Qun Kay Mulk Kay Kici Bee Konay Par App Chalaein Jaien Magar Majaal Hay Koi Deewaar ,Koi Pathar ,Koi Dukaan,Koi Pull Hakeemon Kay Dawakhano Kay Eshthaar Se Khali Hu Hakeem Khah 33 Saal Ka Hu Magar Majaal Hay Kay Tajraba 60 Ya 70 Saal Se Kam Hu Har Kisam Kee Beemarion Ka Chutki Baja Kar Elajh Mujood Baaz Dafa Ap Chutki Se Bee Mehroom Reh Saktay Hein Qun Kay Hakeem Khud Kamal Ka Sahib E Hikmat Hutay Hein Ap Ki Nabz Dekh Kar Hee Un Ko Pata Chal Jata Hay Kay App Ka Rangh Peela Or Ap Ka Daant Neela Qun Hay Kici Lab Ki Un Ko Bilkul Bee Zrorrat Nahi Ankh Se Bhulay Kuch Na Dekhaie Deta Hhu Par Marz Dour Se Hee Nazar A Jata Hay.Kher Baat Hu Rhi Thee Deewaron Ki Jin Par Paint Ki Zrorat Nahi Huty Par Fiqar Wahan Huty Hay Jabh Aein Hakeem Kay Eshtehaar Ki Naak Kay Neechay Maiyet Kay Ghusal Kafan Or Miyet Garee Ka Bee Eshtahaar Hu Baad Mein Pata Chalta Hay Ye Kaam Hakeem Kay Bahi Ka Hay .Yeni Ju Bach Gia Wo Hakeem Ka Ju Mar Gia Wo Hakeem Kay Bahi Ka.Ek Sahib Nay Ju Zahir Hay Bakaamaal Eshteharee Hakeem Thay Kraye Ki Ziyadtee Ya Fer Dukaan Bazaar Mein Na Milnay Ki Waja Se Qabristaan Kay Samnay Hi Hikmat Khana Khul Lia Painter Nay Ek Ghazab Or Kar Dia Kay Ambulance Ki Jagah Miyet Garee Ki Tasveer Bana Dali Kher Ye Tu Un Kay Kaorobaar Na Chalnay Ka Bahana Ban Gia Or Bhut Se Logh Mazeed Beemaar Hunay Sey Bach Gaye .Hakeemon Kay Daway Bhut Ajeeb Se Hutein Hein Jasay Kay Jawani Pher Say Lot Aye Gee,Khudkushi Se Pehlay Sahib E Hikmat Se Mil Lijiye,Mayusee Kufar Hay,Kon Kehta Hay Operation Zrori Hay,Har Qisam Ka Elajh Huta Hay.Algharz Asa Laghta Hay Kay Sehat Kee Saholoton Ki Adam Dasteyabee Ka Rona Ronay Wala Na Serf Nadaan Hein Balkay Apnay Ass Pass Mojudh Sehat Denay Walay Asal Sarchashmon Se Nawaqif Or Nabulaid Hein .Ap Train Se Ya By Road Safar Kar Rahay Hun Ye Hikmat Kay Khazinay Ap Kay Sath Sath Safar Kartein Hein Baqol Shaier Tuu Jaha Kahien Bee Jaye Mera Adress Yaad Rakhna Meray Dumm Se Hay Ye Jawanai Ye Maajun Hamesha Pass Rkhna.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1196081 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.