Koi Firqa Nahi, Hum Sub Musalman [Final Part]

(Sufyan Shaikh, karachi)

Essey Saaf Zahir Hain Ke Hum Quran Aur Hadees Per Aamal Kar Ke Seedha Raastatay Kerte Huwe Es Duniya Say Apne Asli Watan Jannat Kou Wapis Hou Jaye Es Aayate Kareema Ke Roshni Mey Kisi Kou Yeh Haq Hasil Nahi Hota Ke Quran Aur Hadees Kou Chode Kar Kisi Ummati Ke Pairwi Karey.
Raahe Jannat(*) Abdullah Bin Masood (R.A) Riwayat Kerte Huwe Kehte Hain Kay Mohammed (Pubh)Ney Hamare Liye Ek (Seedha) Khat Keecha,
Phir Farmaya Ke Yeh Raah Allaha Ke Hain, Phir Aap Ney Seedhe Khat Ke Daaye Baaye Kuch (Teerchey) Khat Keecheay Aur Farmaya Yeh Raahey Hain En Mey Say Her Raah Per Shaitan Hain Jo Pukarta Hain Es Raah Ke Taraf Phir Mohammed (Pubh) Ney Quran Ke Yeh Aayat Padhi
Tarjuma: Aur Tahqeeq Yeh Hain Rah Meri Seedhi Bus Pairwi Karo Es Ke (Surey Inam Aayat # 153)
Note: Jo Naksha Mohammed (Pubh) Ney Keecha Woh Hadees Ke Keetab(Ahmed, Neesai, Aur Darmi Mey Hain) Yeh Hadees Bhi Wahi Say Lee Gai Hain.
(*) Hazrat Jaber R.A Say Riwayat Hain Kehte Hain Ke Hum Mohammed (Pubh) Ke Kidmat Mey Bhaite Huwey Theay Ke Aap (Pubh) Ney Ek Seedhi Lakheer Keechi Phir Do Lakeere (Teerchi) Eske Daaye Aur Do Lakeere (Teerchi) Eske Baaye Keechi Phir Darmiyani (Seedhi) Lakeer Per Haath Rakh Kar Farmaya Yeh Allaha Ke Raah Hain (Ibne Maja).
Note: Woh Naksha Ibne Maja Mey Moujud Hain.En Dono Hadeeso Waa Shukul Ka Matlab Ek Hi Hain Mohammed (Pubh) Ney Darmiyani Seedhi Lakheer Kou Allaha Ke Raah Kaha Hian.
(*) Rasool (Pubh) Ke Etaath Allaha Ke Etaath Hain (Sure Nisa Aaayat # 80)
Es Aayate Kareema Say Allaha Ka Enkeshaf Hou Raha Hain Ke Rasool (Pubh) Ke Pairwi Kerna Aur Enke Naqshe Qadam Per Chalna Gooya Allaha Ke Raah Per Chalna Hain, Es Tarha Say Rasool (Pubh) Khol Waa Fail Ke Raah Taa Qayamat Raah Amal Hain,

Aur Essey Saaf Zahir Hota Hain Ke Quran Aur Hadees Ke Raah Jannat Hain Aur En Hi Per Aamal Ker Kay Jaanat Mey Daqil Hou Jaye.(*) Quran Aur Hadees Maqsade Zindagi Hona Chaiye, Chuke Yeh Duniya Mahulat Ka Muqam Hain, Es Kou Ek Roz Chodna Hain, Esliye Zindagi Ke Tamaam Manazil Kitab-O-Sunnat Ke Mutabiq Tay Kerte Huwe Aakhri Saans Chodna Hi Kaameyabi Ke Manzil Hian Aur Woh Aakhri Manzil Jaanat Hain.
Paigham-E-Elahi(*) Aay Iman Walo Apne Aap Kou Aur Apne Ahlo Aayal Kou Dozaq Ke Aag Say Bachao. (Surey Tahreem Aayat # 6)
Tashree: Roz-E-Qayamat Es Ke Baaz Paras Hogi, Es Neejat Ke Liye, Islami Taleem Waa Tarbiyat Say Apne Ahlo Aayal Kou Waqif Kara Ke Baa Aamal Banane Ke Koshish Karey,
Yeh Sadare Khandan Ke Bohath Ahem Zimmmedari Hain Aur Hidayat Dena Allaha Ke Eqtiyaar Mey Hain Hum Sirf Koshish Ker Sakhte Hian Aur Duwa Ker Sakhte Hain.
Paigham-E-Rasool(*) Rasool (Pubh) Ney Farmaya Ke Baap Apni Aulaad Kou Ju Kuch Deyta Hain Es Mey Sub Say Bahetar Aatiya Eske Acchi Taleem Aur Tarbeeyat Hain. (Tirmizi, Mishkat)
Explanation: Waaliden Ka Bahetareen Aatiya Aulaad Ke Saahi Taleem Wa Tarbiyat Hain Islam Ney Baccho Ke Taleem Wa Tarbiyat Kay Silsiley Mey Bohath Hi Takeed Ka Hukum Diya Hain,
Es Hadees Ke Maine Yeh Nahi Hian Ke Koi Aatiya Hi Naadiya Jaaye Yaa Jayedad Warsa Mey Naa Chode Jaaye Balke Avaliyat Aur Sub Say Ziyada Ahmiyat Taleem Aur Tarbiyat Kou Dee Jaaye.
Apne Aamal Kou Zaya Naa Karo Kafir Aur Musalman Mey Taqabil Key Silsiley Mey Ek Baath Aarz Ker Dena Zaroori Samajhta Hou,
Woh Yeh Ke Aakhirat Ka Inkar Kerne Wala Kafir Kitna Bhi Naik Kam Kare Es Kou Sawab Nahi Milta, Balke Duniya Hi Mey Kuch Naseeb Hou Jaata Hain Bar Khilaf Es Ke Aakhirat Ka Eqrar Kerne Wala Musalman Agar Quran Aur Hadees Ke Mutabik Aamal Naa Karey Tou Eska Koi Naik Kam Khuwa
Woh Kitna Hi Bahetar Hou Allaha Talaha Ke Pass Khabil-E-Khubul Nahi Hota Aur Naa Es Kou Jannat Naseeb Hoti Hain.
Ek Guzarish Hum Allaha Say Duwa Kerte Hain Ke Aay Dilo Kou Phare Wale Tamaam Musalmano Ke Dilo Kou Apne Khalis Islam Ke Taraf Aamal Kerne Ke Taraf Phare Day Aur Hamey Hidayat Naseeb Farma (Aameen)
Hamari Aap Sub Say Yehi Iltija Hain Yehi Guzarish Hian Yehi Khawaish Hain Yehi Darkhast Hain Yehi Hamari Daawat Hain Yehi Hamara Manhaj Hain Key Hum Apne Tamaam Tar Eqteelaf Kou Meeta Kar Ek Hou Jaye Aur Firqa Parasti Say Baaz Aa Jaye Balke Ek Hou Ke Ek Allaha Kay Deen Kou Phaylane Mey Lag Jaye, Yaad Rakho Kay Allaha Kou Hamari Zaroorat Nahi Hain Balki Hum Kou Allah Ke Rahem-O-Karam Ke Zaroorat Hain,
Mere Bhaiyo Naa Hum Kisi Firqey Kou Maante Hain Naa Kisi Jamaat Kou, Hum Ney Apna Imam Sirf Aur Sirf Mohammed (Pubh) Kou Maana Hain,
Allama Iqbal Ney Kaha Tha, Firqa Parasti Hain Kahi , Aur Kahi Zaatey Hain Kya Zamane Mey Panap Ney Ke Yehi Baatein Hain,
Agar Aap Kou Es Mey Kahi Kuch Ghalat Nazar Aa Jaye Tou Hamari Eslah Zaroor Ker Di Jiyega, Allaha Aap Kou Jaza-E-Khair Deygaa,
Allaha Hum Sub Kou Quran Aur Sunnat Pay Aamal Kerne Ke Naik Toufeek Ata Farmaie(Ameen)

[ Is Artical Mai Mere Dost Yasir Ka Bhut Bara Hath Hai Jo KE Fiqah Hanfi, Aur Mera Talluq Fiqah Shafi SE Hai .. Par Ye Maslak Batane Ka Mqasad Har Giz Ye Nahi Hai Ke Hum Kisi Fiqah Se Talluq Rakhy Hai ..
Har Giz Nahi Hamara Batany Ka Mqasad Ye Hai Ke Hum Alaq Alaq Maslak Ke Hokar Bhi Musalm Hai Aur Yehi Chaty Hai Ke Sub Musalmn Ban Jaie Na Ke Hanfi,Maliki, Shafi Aur Na Hambali :)

Hum Bus Yehi Chaty Hai Ke ALLAH Hame Tmaam Maslak Se Pak Farmaie
Akhir Mai EK Ayat Ke Sath Ijazat Chahoga
اے ایمان والو! اللہ سے اتنا ڈرو جتنا اس سے ڈرنا چاہیے (١) دیکھو مرتے دم تک مسلمان ہی رہنا
سورة آل عمران
102

Aur Akhri Mai Firqa Bandi Par Ek Ayat :
بیشک جن لوگوں نے اپنے دین کو جدا جدا کر دیا اور گروہ گروہ بن گئے (١) آپ کا ان سے کوئی تعلق نہیں بس ان کا معاملہ اللہ تعالٰی کے حوالے ہے پھر ان کو ان کا کیا ہوا جتلا دیں گے۔
سورة الأنعام
159

Fi-Amanillah]
 

Sufyna Xhaikh
About the Author: Sufyna Xhaikh Read More Articles by Sufyna Xhaikh: 6 Articles with 10344 views My concern is with MQM
And the MQM is a very good movement

And there is no communal
I'm A Muslims
And followers of a prophet(P.B.U.h)

And Be
.. View More